Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

    :(
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

    :(
    2. part
    Attached Files
    Last edited by Masood; 31 July 2006, 15:51.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

      lekin MASOOD ye inqalaab aay ga kaisy, kis main itni himmat hy? kon loogon ko manazzam karee ga? hamaara shaoor sooya nahi marr chuka hy aur marry howy loog jaaga nahi karty

      Comment

      • #4
        Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

        Originally posted by baad-e-saba
        ye inqalaab aay ga kaisy, kis main itni himmat hy?
        Inqilaab laaney key liye koi munazzam tarkeeb nahin sochi jati. Balkey is mein zaroorat is baat ki hoti hai keh HAQ ko pehchan liya jaey aur siraf HAQ ki bulandi key liye deewana waar larr marein, is zimman mein phir jo bhi HAQ ka saath deta hai woh shamil ho jata hai. Inqilaab lana aasan nahin hota. Aur jo inqilaab main soch raha hoon woh khooni inqilaab hai, yeh bohat mushkil hai.

        Originally posted by baad-e-saba
        kon loogon ko manazzam karee ga?
        Jo sab sey pehla qadam uthaey ga. Jo jurrat kar sakta hai.

        Originally posted by baad-e-saba
        hamaara shaoor sooya nahi marr chuka hy aur marry howy loog jaaga nahi karty
        Nahin hamara shaoor mara nahin huwa, zindah hai aur gaahey bgaahey woh beedar hota hai, sar uthaa ker dekhta hai aaya koi hai jo hamari sarprasti kar sakey, jab koi nazar nahin aata to unglaney lagta hai...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #5
          Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

          jo kuch pichle kuch arse say Muslim world k sath ho raha hai es ki zimadari kulli taur per khud humhein per ayed hoti hai.Obviously Leadership is to be blamed.jahan leaders ese hun k woh Iman ka kamzoor tareen izhar yani zaban se bhi zalim ko zalim kehne ko tayar nahi tou kisi behtri ki umeed rakhna abas hai.
          Afghanistan per hamla hua tou hum ne Condemn ka lafz estmaal nahi kiya k kahin so called super power ko burri na lag jaye bulke Deplore ki term use ki gaee..Labenon ki surat-ehal per aik muslim leader ka ye bayan k "meri awanm ko apne mulk main aman aur economic stability chahye so hum kisi bhi clash ka hisa nahi ban-na chahte" bey-hisi ka aik aur barra saboot hai.
          aur ese bey-his leaders ka chunao bhi tou hum awam khud kerte hain na tou Awam bhi es main barber ki sajhey dar hai.jab Eygpt main roti ki qeemat main thorre se izafe per hakoomat ka takhta ulta ja sakta hai tou kiya hum munafiq leaders se chuttkara nahi paa sakte??yaqeenan ye mumkin hai lakin es k liye Ijtmae soch develop kerne ki zaroorat hai..Ehsas pehda ker ne ki zaroorat hai..kese??? baat phir wahin per aati hai..basic Islamic Teachings ko follow kerne he main hamari baqa hai..Islam main zindagi k her maamle chahe woh rozmara zindagi ho ya aik Insaf pasand representative ka chunao..her aik k liye es qader waziya aur sehal hadayat di gaee hain k ager ham grass root level se shru karen tou top level tak her shay tabdeel ho sakti hai..baat shidat-e-ehsas ki hai

          Never trust blindly!!!!

          _______________________________

          _____________________________________________

          Comment

          • #6

            Originally posted by Khushi

            buhat acha likha hy aap ny i totally agree with you.

            Comment

            • #7
              Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

              Originally posted by Masood
              Inqilaab laaney key liye koi munazzam tarkeeb nahin sochi jati. Balkey is mein zaroorat is baat ki hoti hai keh HAQ ko pehchan liya jaey aur siraf HAQ ki bulandi key liye deewana waar larr marein, is zimman mein phir jo bhi HAQ ka saath deta hai woh shamil ho jata hai. Inqilaab lana aasan nahin hota. Aur jo inqilaab main soch raha hoon woh khooni inqilaab hai, yeh bohat mushkil hai.

              Jo sab sey pehla qadam uthaey ga. Jo jurrat kar sakta hai.

              Nahin hamara shaoor mara nahin huwa, zindah hai aur gaahey bgaahey woh beedar hota hai, sar uthaa ker dekhta hai aaya koi hai jo hamari sarprasti kar sakey, jab koi nazar nahin aata to unglaney lagta hai...
              ye pehla qadam koon uthaay ga , mujhy to koii kaabal e zikar shakhas nazar nahi aa raha, shaaed ham jaisy loogon ko hi medaan main utarna parry ga apni koom ko bachaany ky liy :(
              Last edited by Baad-e-Saba; 31 July 2006, 18:22.

              Comment

              • #8
                Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

                Originally posted by Khushi
                jo kuch pichle kuch arse say Muslim world k sath ho raha hai es ki zimadari kulli taur per khud humhein per ayed hoti hai.Obviously Leadership is to be blamed.jahan leaders ese hun k woh Iman ka kamzoor tareen izhar yani zaban se bhi zalim ko zalim kehne ko tayar nahi tou kisi behtri ki umeed rakhna abas hai.
                Afghanistan per hamla hua tou hum ne Condemn ka lafz estmaal nahi kiya k kahin so called super power ko burri na lag jaye bulke Deplore ki term use ki gaee..Labenon ki surat-ehal per aik muslim leader ka ye bayan k "meri awanm ko apne mulk main aman aur economic stability chahye so hum kisi bhi clash ka hisa nahi ban-na chahte" bey-hisi ka aik aur barra saboot hai.
                aur ese bey-his leaders ka chunao bhi tou hum awam khud kerte hain na tou Awam bhi es main barber ki sajhey dar hai.jab Eygpt main roti ki qeemat main thorre se izafe per hakoomat ka takhta ulta ja sakta hai tou kiya hum munafiq leaders se chuttkara nahi paa sakte??yaqeenan ye mumkin hai lakin es k liye Ijtmae soch develop kerne ki zaroorat hai..Ehsas pehda ker ne ki zaroorat hai..kese??? baat phir wahin per aati hai..basic Islamic Teachings ko follow kerne he main hamari baqa hai..Islam main zindagi k her maamle chahe woh rozmara zindagi ho ya aik Insaf pasand representative ka chunao..her aik k liye es qader waziya aur sehal hadayat di gaee hain k ager ham grass root level se shru karen tou top level tak her shay tabdeel ho sakti hai..baat shidat-e-ehsas ki hai
                11 september key baad jo Afghanistan per hamla huwa, us per main zaati tor per samajhta hoon keh pakistan ney waqt ko samney rakhtey huwey bohat achha moaqquf ikhtiyaar kiya tha. I was totaly agree with Musharraf at that time.

                Lekin main samajhta hoon keh ham musalmaan hukmrano sey aik bohat badi tareekhi ghalti ho gaii jab Iraq per hamla huwa. Kyun keh Iraq per hamley key khud Europe aur Amerika khilaaf tha. Agar us waqt teen-char islami mumalik aik jaggah jama ho jatey aur Iraq keh haq mein larrtey to aaj duniya ki halat kuchh aut hoti. Aur shayid islam ko surkh'ru honey ka moqa milta - lekin aik bohat badi ghalti ho gaii hai.

                Ab jo aap ney kaha, back to roots. Islamic teachings ko ragoon mein shamil karna ho ga aur jo andhera hai ussey khatam karna phir hi ham duniya ko lalkaar saktey hain ...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

                  Originally posted by baad-e-saba
                  ye pehla qadam koon uthaay ga , mujhy to koii kaabal e zikar shakhas nazar nahi aa raha, shaaed ham jaisy loogon ko hi medaan main utarna parry ga apni koom ko bachaany ky liy :(
                  Mera khiyaal keh woh bandah amerika sey import karna ho ga :lol
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

                    Originally posted by Masood
                    Mera khiyaal keh woh bandah amerika sey import karna ho ga :lol
                    lekin aap to denmark main rehty hain :hathora

                    Comment

                    • #11
                      Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

                      Originally posted by Masood
                      11 september key baad jo Afghanistan per hamla huwa, us per main zaati tor per samajhta hoon keh pakistan ney waqt ko samney rakhtey huwey bohat achha moaqquf ikhtiyaar kiya tha. I was totaly agree with Musharraf at that time.
                      es main koi shak nahi k halat-o-waqyat ko samne rakhte huwe hamari hakoomat ka uss waqt ka faisla taqreeban sahi tha lakin kuch baten esi thein k jin per compromise kerna ghalat tha..Pakistani base stations ko use kerne ki ijazat dene se ager maazoori show ki jati tou bhi shayed ham fornt line coallation main shamil rehte..like Turkey ham bhi kuch genuine reasons de sakte thay k jin se inkaar mumkin nahi tha.es ka result ye hua k aaj bhi hamare danishwar khate hain k security risk bhot bherr gaya hai..doosra ye k atleast ham buchon and auraton per bombarment k against halka sa ehtjaj tou ker sakte thay..
                      Last edited by Khushi; 1 August 2006, 11:13.

                      Never trust blindly!!!!

                      _______________________________

                      _____________________________________________

                      Comment

                      • #12
                        Re: Falastiniyon/lebananiyon Key Asal Mujrim

                        Originally posted by Khushi
                        es main koi shak nahi k halat-o-waqyat ko samne rakhte huwe hamari hakoomat ka uss waqt ka faisla taqreeban sahi tha lakin kuch baten esi thein k jin per compromise kerna ghalat tha..Pakistani base stations ko use kerne ki ijazat dene se ager maazoori show ki jati tou bhi shayed ham fornt line coallation main shamil rehte..like Turkey ham bhi kuch genuine reasons de sakte thay k jin se inkaar mumkin nahi tha.es ka result ye hua k aaj bhi hamare danishwar khate hain k security risk bhot bherr gaya hai..doosra ye k atleast ham buchon and auraton per bombarment k against halka sa ehtjaj tou ker sakte thay..
                        Aap ki baat se itfaak karta hoon ager pakistan kuch firm stand leta to halaat kuch mukhtalif ho saktay thay. Go ke hakoomati faisla bohat ghalat bhi nahi tha. Pakistani Hakoomat ki policies kuch ziada wazeh nahi ho sakein aur Hakoomat-e-Pakistan awam ke saamnay apna wazeh mookaf beyaan kerne se bhi kaasir rahi, Hakoomat aur awam ke dermeyan ham'aahangi bhi nahi pai gai. Logistic Support ke naam per Pakistan ser-zameen ki air-basis istamal ki gaein aur no doubt pakistan america ke saath front-line coalation bun ke samnay aaya. Lekin is ko kia faida hua, aik do Billion Dollar ki amdad, is jang se pakistan ko jo hasara hua wo to is se bhi kai ziada tha. Aur aakhir kaar america ne pakistan ke saath kia kia...Bush ne Indo-Pak dooray mein India ke saath Neuclear Pact sign kia...aur musharaf ke shoulder pe haath rakh ke dilasa dete huay chala gaya...Afghan jang mein Pakistan ne America ko support kia tha India ne nahi. By the way, Bush ki policy to ayaan he, ke musalman chahay Afghanistan ka ho, Iraq ka ho, Pakistan ka ho ya Lebanan ka us ki her policy anti-muslim he
                        :thmbup:

                        Comment

                        Working...
                        X