Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

    Assalam-o-Alikum pegham.com!

    INSHALLAH every1 of u wod b fine!




    Kiya waqai sirf private institutes mai perh ker hi hum acchi TALEEM-o-TARBIYAT haasil ker paate hain ya govt institutes main bhi ye possible hai?

    Ap private n govt institutes ko kis nigah se dekhte hain?
    Apkey comments buhat imp hoon ge

    KHUSH RAHIYYE:phool:
    WASALAM:salam:
    Me Here:lpop:
    10
    Govt Institutes
    10.00%
    1
    Private Institutes
    70.00%
    7
    It Depends On The Student
    20.00%
    2

  • #2
    Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

    meri nazar mein...
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

      it depends upon student
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #4
        Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

        Originally posted by filbahere
        it depends upon student
        I am not agree filbahere - it doesn't depend ONLY upon students...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

          Private Institutes............
          yehan per buhat sakhti huti hay teacher per k bachoon ko thek taleem dain werna un kee tankhawa kaat lee jay gii...rules regulation huty hain
          jabky pakistan govt school ka ALLAH malik hay...

          Comment


          • #6
            Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

            assalam-o-Alikum!!!

            Masood bhai na shrou ma hi mention kar diya kah woh pakistan ka taleemi nizam se sahi se waqif nahi ha.............Magar mujhay lagta ha ma kafi achi tarhan waqif hoon aur Mai ya kahon gi kah ajj kal Government aur private se behtar balkay bohat achay institute Semi government ha ...........
            Government institute ma studies ka maayar itna kharab ha kah jo student parhna bhi chahta ho sahi se parh nahi pata .......bohat zayda favortism ha ya mera apna experience ha .......teachers staff kay darmiyan political conflict ha................jes ka dill karta ha parhta ha ..jes ka dill karta ha 10 min baad 1ghantay ki class khatam kar data ha.......koi proper fixed rules nahi ha staff members ka liya jo chahta ha apnay mutabik bana lata ha............
            Magar abb kafi behtari ayi ha magar chand departments ma jahan semister system hain..........

            Abb ma baat karti hoon Mahool ki ..mahol aik important role play karta ha parhai ka liya student kitna bhi acha kiun na ho mahool ka effect hota ha......Government institutes ma mahool schools ma bohat kharab ha...colleges ma acha ha aur universty ma tu jamiyat chalti ha

            Private institute ya log har student ko special attention datay hain aur kuch iss tarhana se parhatay hain kah student bore nahi hotay parhai se na hi tang atay hain......teaching Staff perfect hota ha....aur regular classes hoti ha....teachers are restricted to take classes at time and regular...............Students ko har kesam ka rights diya jata ha......Fees zayda hoti hain magar inspite of this fact they have given special concession and scholarship to student ..jasay Fsc ka students jinho na Matric ma A grade liya ha unki fees sirf 10 rupay ...aur ya scholarship 500 students ko diya giya tha..........
            Abb mahool ki baat kartay hain Private schools ka mahool behtar hota ha magar colleges ka best hota ha agar woh Co na ho..per agar app Universty ki baat karay tu unka acha nahi hota...........

            Now i m from Semi government University and i think its best of all ..It has developed itself very well .Students ko facilties zayda se zayda datay hain studies ka lahaz se.mahool bilkul muhazabana hota ha .Parhai per bohat stress diya jata ha aur strickness bhi limited ha na zayda na kam ha!!Teaching staff ko bhi restick kardiya jata ha to take regular clases

            Apki tesri option per mujhay atraz ha sirf Student per depend nahi karta...kiun kah har student aik jasa nahi hota ...na hi intelligency har aik ma aik c hoti ha.....student ko parhai ka acha mahool dena unko achay tariqay se tackle karna aur unki creativeness ko bahir lana ya sab aik achay institute ka kam hota ha aur private institute ya kam achay tariqay se kartay hain ......aur apnay iss kam kay woh student se uss ka baap ki kamai ka adhay se zayda paisay bhi niklwa latay hain...
            Last edited by fari; 31 July 2006, 17:40.

            Comment


            • #7
              Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

              pak main parhai ka meyaar to bas sooo sooooooooooooo hai ...
              lekan agar govt or private main say kisi aik ko chuna jaye to kuch private idaray behtar hain .....lekan tadad itni nahi hai in ki .....


              last option say bhi main agree nahi karti kay student pay depend karta hai ....us age main students main itna shaoor nahi hota woh achay booray ko pehchan sakian , yeh to banda jab school, college say parh kay bahir niklaye pher pata chalta hai ham nay kia kia tha ,,,ya jahan parha vohan ki taleem aaj kal kay zamnay kay hissab say kitni ihmetay reakhti hain , us ka kitna faida humaye pounch raha hai ....
              kuch private idaray achay hain lekan fees kafi expensive hai aam amdni wala admi isay afford nahi kar sakta ..............
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

                Originally posted by Masood
                I am not agree filbahere - it doesn't depend ONLY upon students...
                main app ko apney bohat sey esay doston sey milwa sakta hoon
                jinhoon ney goverment key un schools sey apni matric tak taleem hasil ki jahan tatoon per perhaya jata tha , aj wo PHD ker rahey haan
                and they are the one of the brilliant students of Pakistan

                is leya yeh kehna key wahan sey student per ker accha naeen ho sakta to ghalat hay yeh khial

                and bohat acchay nami garami , english medium schools sey perhay hoey aj kal siway awara gardi kernay key liya kuch naeen ker rahey , to un ko un key schools ney kia sikha dia
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment


                • #9
                  Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?

                  wasey jitnay bi private schools haan un ki nazar main student sirf aik sonay ka anda deny wali morgi hota hay
                  they are only doing business chayeh pakistani nasal kharab ho ya na ho
                  they don't care
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mubahisa: Private Institutes Ya Govt Institutes..?



                    Never trust blindly!!!!

                    _______________________________



                    _____________________________________________

                    Comment

                    Working...
                    X