Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

    Assalam-o-Alikum pegham.com!






    Humin her saal k end main pani ka buhat problem hoota hai especially Karachi main or Islamabad k bhi buhat se ilaaqoon main
    or her saal selaab bhi aatey hain
    to aakhir ye selaab ka pani jata kahaan hai????
    kiya again ye hamari na-ehli nahi?
    or hum kis kis na-ehli ki nishan-dahii karin??
    apkey comments imp hon ge

    KHUSH RAHIYYE
    WASALAM
    Me Here

  • #2
    Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

    Sailab ka pani beacharay gareeb logoo kay makanoo or fasloo main jata hai ...
    Dam banain gay to pani store kia ja sakta hai na ......
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

      Originally posted by Me Here
      Assalam-o-Alikum pegham.com!






      Humin her saal k end main pani ka buhat problem hoota hai especially Karachi main or Islamabad k bhi buhat se ilaaqoon main
      or her saal selaab bhi aatey hain
      to aakhir ye selaab ka pani jata kahaan hai????
      kiya again ye hamari na-ehli nahi?
      or hum kis kis na-ehli ki nishan-dahii karin??
      apkey comments imp hon ge

      KHUSH RAHIYYE
      WASALAM
      Me Here
      dam main isi pani ko roka jata hay
      lakin jis mulk main dam baney na dia jaey to wahan yehi pani selab ban jata hay
      so simple
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #4
        Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

        Shumaila behna baat yeh hai keh hamarey mulk mein Allah ka diya sab kuchh hai. Har tarha key wasaeel mojood hain aur agar hamarey hukmraan aur paisey waley log mufaad'prastiyon ko chhorr ker mulk ki fiker karein to ham apney mulk ko ameer mumalik ki saf mein laa kharra kar saktey hain. Ab aap dekhein paani ka masla bohat bada masla ban geya hai. Logon key paas peeney saaf paani nahin. Halankeh har saal achhi barshein hoti hain, sailaab aatey hain aur sara paani zaya ho jata hai. Hakoomati satah per yeh hamari intihai na'ahli hai keh ham koi khatir khawah mansoobah bandi nahin kar sakey aur jab koi hakoomat Kala Bagh Dam (jus an exm.) bnaney ka tahayya karti hai to mufaad prast log ussey bnaney nahin detey. Hamarey mulk mein dams ki sakht zaroorat hai jo daryaoun, barishon ka paani mehfooz kar sakein magar................. aawam ko maarna aasan hai, unehin zindagi den mushkil...
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment


        • #5
          Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

          pata nahi

          Comment


          • #6
            Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

            Originally posted by Khalil
            pata nahi
            Gal siraf itni si hai paa ji keh jaisey hamarey mulk ki awaam ki aksariyat yeh samajhti hai keh chand din ki zindagi hai issey enjoy karo ussi tarha hamari hakoomat samajhti hai keh chand din ko hakoomat hai issey enjoy karo - awwam marti hai to marney dey, jeeti hai to jeeney dey - GEO dekho aur aesh karo :lol, selab ka paani jin logon key gharon ko tabah karta hai to karney dey ....
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

              Originally posted by Khalil
              pata nahi
              kabhi to kuch pata kar lia karoo :p
              اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
              اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

              Comment


              • #8
                Re: Mubahisa: Selaabon Ka Paani Kahaan Jata Hai...?

                Sailabon ka paani jhoron, nadi naalon se se deryaon, aur aakhir kaar samanar mein ya zameen ke neechay chala jata he...Hamaray liye yeh masla nahi ke yeh pani jata kaha he, hamaray liye masla yeh he ke her saal seelab kyoon aata he...Doosray mamalik mein kisi ilaqay ko rehaishi ilaqa karar dene se pehlay us ilaqay ko properly planned kia jata he, pehlay proper severage system ki installation ki jati he, phir roads aur streets banti hein aur phir makan bantay hein....hamaray haan pehlay makan bantay hein, phir sarkein banti hein, aur phir galiyan jin mein severage hi nahi hota akser. Pani to us taraf bahay ga jahan usay moora jaye ga.....Lekin ager pani ke bahao ke liye koi system hi nahi to pani kahan jaye ga, obviously seelab ki shakl ehteyaar karay ga...Yahan pe paani ki kami ki waja se her saal be-intha load-sheding ki jati he...Bafazl-e-Khuda yahan paani ki kami bilkul nahi...kami he to pani ko utilize kerne ki, is ke storage capacity ki...Dam bananay chahiyein, is se seelab per bhi kafi kabu paya ja sakta he aur faltu pani ki storage bhi ki ja sakti he. lekin almiya yeh he ke ager aik Dam bananay ki taraf kadam berhata he to doosra us ki taang khainch leta he. Koi haal nahi is mulak ka...mein to soocha raha hoon ke afghanistan chala jaoon :hehe:
                :thmbup:

                Comment

                Working...
                X