Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

    Asalam alaikum Pegham,

    Akbar ney aik mussawar ko apni tasweer bana ney key liye kaha, jab wo tasweer ban gai to us ney ussey deewar per latka diya aur bohot saarey doosrey mussawiron ko bulwaya aur un sey kaha key is tasweer mey koi khami hai to ussey point out karo

    hua ye key her mussawar baari baari ata aur tasweer per kaheen na kaheen aik daira laga deyta jahan ussey lagta key ghalti hai

    jab akhri mussawar ki baari bhi guzar gai to us tasweer ka haal ye ho gaya key her jaga chotey chotey gol dairay they

    Ab Akbar ney kaha key ab aap mey sey koi aye aur in ghaltiyon ko theek ker dey

    UN MEY SEY KOI AIK MUSSAWAR BHI AAGEY NAHI AAYA!

    -------
    doosron key kaamon mey ghaltiyan nikalna ya in other words un key actions per criticise kerna bohot assan hota hai
    APni hakumaton ko bhi hum bohot araam sey criticise ker deytey hein


    yahi sab sey barha masla aaj kal key musalmano key sath hai key wo tanqeed to kertey hein leykin Amal nahi kertey hein


    Aap sey meyra sawal ye hai key kya hum Musalman justify hein apney apney mulkon mey honey waley her incident ko Maghrib key sar per daalney key liye??
    Last edited by Z.; 21 July 2006, 21:02.
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

    Walikum Assalam!:)

    or barg sis :masha apney ik buhaat acchi baat hamarey saath share ki:salam:
    mera khiyal ye hai k TANQEED baraye TAMEER her insaan k liye zaroori hai q k her insaan main kuch na kuch mistakes zaroor hoti hain jinhe hum log being a part of society door ker k next person ko near 2 perfectness ker sakte hain:)

    TANQEEND baraye TANQEED ik person main -ve cheezon ko mazeed ubhaar deti hai....so ik person ko sahee kerne k liye tanqeed honi chahiye per tameer k gharz se!

    jahaan takk hamare politicians ka taulluq hai to sis wo log tanqeed ko invite hi nahi kerte jabkey unhe tameer k liye tanqeed ko invite kerna chahiye......ise liye shaid log un per tanqeed baraye tanqeed hi kerte hain....

    Nice discussion barg sis!
    keep coming!:thmbup:
    KHUSH RAHIYYE:lpop:
    WASALAM:salam:

    Comment


    • #3
      Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

      thanks barish,

      Hamarey jo politicians hein wo baatein itni zaberdast kertey hein key un ki baatein sun ker we get lost
      jaisey wo kehtey hein pakistan ki economy pata nahi kahan sey kahan phonch gai hai,gurbat khatam ho rahi hai,foriegn investment itni hui hai in saalon mey key history mey kabhi nahi hui

      magar in reality ye cheezien bohot kam nazar aati hein

      ab aatey hein tanqeed ki taraf,

      aaj kal key musalman naraz hein, aur us ki sab sey barhi waja aaj kal key musalmano key halaat hein, jo America musalmano key sath ker raha hai

      wo is liye bhi naraz hein key jo hamarey leaders hein wo to American policies ko follow ker rahey hein jab key Ummah us key khilaf hai, wat we are missing is, tamaam muslim countries mey koi bhi aeysi country nahi hai jis ka leader us key logon ko represent kar raha ho

      Isi liye musalman tanqeed per tanqeed ker rahey hein leykin jab Mualman naraaz nahi they to wo tanqeed nahi kertey they



      magar ab key musalman apna qeemti waqt tanqeed sirf tanqeed per hi laga rahey hein ..... tanqeed in ka haq hai kyon key Musalman angry hein magar meyrey khayal mey agar aaj bhi Musalman apna waqt tameeri kaamon per lagaein to hum phir sey pehley ki tarhan strong ho saktey hein
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

        musbit point ho to point out kia ja sakta hai lekan sirf mazak urnay kay leye koi tanqeed karay to woh to theek nahi na....
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

          Originally posted by Aanchal View Post
          musbit point ho to point out kia ja sakta hai lekan sirf mazak urnay kay leye koi tanqeed karay to woh to theek nahi na....
          bilkul Aanchal :)
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

            salam
            aap ny bilkul theek likha k tankeed kerna kitna asaan huta hay//
            aur tankeed kerny waly her aik bandy ka apna mind level huta hay jehan osy apny level kee kammi mehsoos huti hay wo biyan ker daita hay....ya yeh kahen k jo chez osy achi nahi lagti os per tankeed ker daita hay....
            lakin yeh insaan kee nafsiyat hay k wo tankeed lazmi kerta hay siraf apny aap ko khush kerny ya skoon k liy...( yehni k wo apna ranja raazi kerta hay loolz)
            aur tankeed karny waly........khudh os chez jis kee to tankeed kerty hain on sy bala ter huna chayee...ya uun kahein k os painting main ghalti theek ker sakain wo hee akser tankeed ker sakty hian waisy es ka matlab kuch un hay
            meaning a person who offers reasoned judgement or analysis, value judgement, interpretation, or observation. The term can also be used to describe an adherent of a position disagreeing with or opposing the object of criticism.
            tankeed tahmeeri hu to achi hay werna aik kisam kee jealeusy hay.

            Comment


            • #7
              Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

              Originally posted by yellowsky View Post
              Asalam alaikum Pegham,
              w/salam, tanqeed sirf tanqeed hoti hai is maiN tanqeed braiy tanqeed aur tanqeed braiy islah izafi hain, aaj kay daur maiN aap kisi par tanqeed karaiN to woh us kay leay "tanqeed braiy tanqeed" aur aap ki nazar main "tanqeed braiy islah" he hoti hai... aur yeh humara qaumi mizaj hai....!!
              agar tanqeed braiy islah kuch hai to is ki jagah nasehat kioN nahee ki jati...?? kia tanqeed karna he zarori hai...!! wesay aaj kal nasehat ko bhi tanqeed ki saf maiN he khaRa kardia gaya hai...
              mozo acha hai aur kafi paichdar bhi...
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                Originally posted by Khalil View Post
                salam
                aap ny bilkul theek likha k tankeed kerna kitna asaan huta hay//
                aur tankeed kerny waly her aik bandy ka apna mind level huta hay jehan osy apny level kee kammi mehsoos huti hay wo biyan ker daita hay....ya yeh kahen k jo chez osy achi nahi lagti os per tankeed ker daita hay....
                lakin yeh insaan kee nafsiyat hay k wo tankeed lazmi kerta hay siraf apny aap ko khush kerny ya skoon k liy...( yehni k wo apna ranja raazi kerta hay loolz)
                aur tankeed karny waly........khudh os chez jis kee to tankeed kerty hain on sy bala ter huna chayee...ya uun kahein k os painting main ghalti theek ker sakain wo hee akser tankeed ker sakty hian waisy es ka matlab kuch un hay

                tankeed tahmeeri hu to achi hay werna aik kisam kee jealeusy hay.

                gud thoughts khl:thmbup:
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #9
                  Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                  Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                  w/salam, tanqeed sirf tanqeed hoti hai is maiN tanqeed braiy tanqeed aur tanqeed braiy islah izafi hain, aaj kay daur maiN aap kisi par tanqeed karaiN to woh us kay leay "tanqeed braiy tanqeed" aur aap ki nazar main "tanqeed braiy islah" he hoti hai... aur yeh humara qaumi mizaj hai....!!
                  agar tanqeed braiy islah kuch hai to is ki jagah nasehat kioN nahee ki jati...?? kia tanqeed karna he zarori hai...!! wesay aaj kal nasehat ko bhi tanqeed ki saf maiN he khaRa kardia gaya hai...
                  mozo acha hai aur kafi paichdar bhi...
                  Mmm

                  bohot had tak durust magar ye bhi to deykhein key ...kaisey kaha jaye....

                  deykhein aik cheez per aap achai key liye bhi tanqeed ker saktey ho aur burai key liye bhi

                  agar waqai aap achai key pehlu sey tanqeed ker rahey ho to wo theek hai warna ghalt ho gi

                  Naseehat to diff. hoti hai....nahi??
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                    Originally posted by yellowsky View Post
                    Mmm

                    bohot had tak durust magar ye bhi to deykhein key ...kaisey kaha jaye....

                    deykhein aik cheez per aap achai key liye bhi tanqeed ker saktey ho aur burai key liye bhi

                    agar waqai aap achai key pehlu sey tanqeed ker rahey ho to wo theek hai warna ghalt ho gi

                    Naseehat to diff. hoti hai....nahi??
                    meri nazar maiN tanqeed sirf tanqeed hoti hai aur tanqeed karna bhi aik fun hai, tanqeed us waqt ki jati hai jab insaan sun'nay aur samajhnay kay bajaiy apni he baat par aRa howa ho.... tanqeed un alfaz kay istemal karnay ka naam hai jis say dosray ki khopRi ToT jaiy :blush:, tanqeed ki hi us waqt jati hai jab baat samjhanay ki had say aagay nikal jaiy... ustad-e-mohteram ki aik "tanqeed" aap kay samnay paish karta hoon....
                    jesa kay sab jantay haiN kay Pakistan ko Asian Tiger bana'nay ki bataiN humaray hukmran kartay rehtay hain, magar woh apnay say neechay dekhtay he nahee aur is bad'haal muashray ko Asian Tiger bananay kay khuwab dekhtay hain jis par Hassan Nisar sahab nay apnay aik colum maiN kuch yooN likha kay "mery pass aik nojawan aaya jisay imdad ki zarorat thee us nay mujh say dar'khuwast ki, maiN nay hat'al-Imkan us ki madad ki, phir woh aakhir maiN us nojawan kay ghar ka address quote kartay hain kay falaaN sheher, kay falaN muhallay maiN yeh gali hai aur yeh ghar hai jis kay gate say Asian Tigar nikalnay he wala hai, aap apni imdad us tak pohnchaiN....!!
                    That's Enough...!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                      Mera khiyaal hai keh kisi insaan, kisi muashrey ki ta'meer us waqt tak nahin ki jaa sakti jab tak ussey tanqeedi shakanjey sey na nikala jaey. Magar tanqeed karney mein aur taz'heek karney mein bohat farq hai. Balkeh dono ko aik doosrey ki zidd hona chahiye. Taz'heek har koi karta hai kyun keh doosron ko ya doosri cheezon ko kamtar sabit karna sab sey aasan kaam hai, issey ham tanqeed nahin taz'heek kahein gey - mazzak urrana.

                      Tanqeed - jaisey merey janam janam key dushman ney kaha - aik fun (kabhi Urdu wala aur kabhi English wala) hai :p - yeh har kisi key bas ki baat nahin. Tanqeed karney key liye ilm key saath saath tajarbah, soojh boojh, alfaaz ka zakhera aur waqt ki nazakat ko bhi samajhna chahiye. Aisa har koi nahin kar sakta.

                      Tanqeed honi chahiye, warna khamiyon ka patah nahn chalta.

                      Taz'heek karney waley key liye in baton ki pabandin nahin, woh har moqa per har waqt per kuchh bhi kah saktey hain - woh siraf mazzak URRANA hota hai - mazzak PEDAH karney bhi nahin hota...
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #12
                        Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                        Originally posted by yellowsky View Post
                        Asalam alaikum Pegham,

                        Akbar ney aik mussawar ko apni tasweer bana ney key liye kaha, jab wo tasweer ban gai to us ney ussey deewar per latka diya aur bohot saarey doosrey mussawiron ko bulwaya aur un sey kaha key is tasweer mey koi khami hai to ussey point out karo

                        hua ye key her mussawar baari baari ata aur tasweer per kaheen na kaheen aik daira laga deyta jahan ussey lagta key ghalti hai

                        jab akhri mussawar ki baari bhi guzar gai to us tasweer ka haal ye ho gaya key her jaga chotey chotey gol dairay they

                        Ab Akbar ney kaha key ab aap mey sey koi aye aur in ghaltiyon ko theek ker dey

                        UN MEY SEY KOI AIK MUSSAWAR BHI AAGEY NAHI AAYA!

                        -------
                        doosron key kaamon mey ghaltiyan nikalna ya in other words un key actions per criticise kerna bohot assan hota hai
                        APni hakumaton ko bhi hum bohot araam sey criticise ker deytey hein


                        yahi sab sey barha masla aaj kal key musalmano key sath hai key wo tanqeed to kertey hein leykin Amal nahi kertey hein


                        Aap sey meyra sawal ye hai key kya hum Musalman justify hein apney apney mulkon mey honey waley her incident ko Maghrib key sar per daalney key liye??
                        main ne to bohat shiddat se .. Racism dekhi aur samjhi hai bunyadi ghaltyon aur revenge ke hisaab se USA main .. in case of muslim people .. mein ne jahan tak bh jab tak bhi history history ko kisi bhi rukh se samjha jana .. early times main .. Yazid .. bazat e khud muslim hotey huye .. Muslim dushmani dikha gia .. aur pey dar per .. ye amal jaari o saari hai .. "Khuda us qaoum ki halat nahen badalta jo khud na chahey .." True hai ..
                        agar Muslim khud na chahey to dushman ko zer kerna mushkil nahen ..lekin agar muslim ka dushman khud muslim hi thehra to konsi jang ya phir ye kehna parrey ga sab Karb e Bala ko dekhtey parhtey samajhtey huye bhi jaan boojh ker .. shetan ke behkawon mein hain..

                        meri observation main guzaishta chand salon mein .. bohat se logon ka haqeeqi musalaman hona .. is baat ka saboot apney aap main hai ..ke maghrib main majority .. non-religious acts pe believe kerney lagi hai .. reasons can be vary .. to news ke through bohat se log aap ko ham ko nazar aa jataye hein aur bohat se aam insaan wo hain jo musalman huye .. lekin nazar nahen aatey .. common sense ki baat hai maghribi koi bhi mazhab ka ho jab islam ko samajh ker Islam laney ka khuwahan ho jata hai .. to muslims ko kia ho gia .. lil while agi me ne aik video post ki thee... tupac ke Napolean ko dekha suna ho ga .. ke us ki observation mein jo real born muslims hain maghrib ko apna ker kesey fakhar se khush hotey hein aur maghrib ko apna-ney mein barraii samajhtey hein .. (these are his words) .. according to him us ke parents ko muslims ne kill kia tha .. lekin reason insaf pe thee.. so I would say ke jo dunya itni tabahyon ka shikar hoti nazar aa rahi hai .. is main Musalman kisi na kisi taour khud mulawis hain kahin mazloom ke rooop kahin maghrib ka pehnawa orhey huye ...

                        thats all from my side ..

                        Allah miyaan ham sab ko nek aur aik musalman ban-ney ki taufeeq ataa fermaaye aameen ..
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment


                        • #13
                          Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                          Originally posted by Masood View Post
                          Mera khiyaal hai keh kisi insaan, kisi muashrey ki ta'meer us waqt tak nahin ki jaa sakti jab tak ussey tanqeedi shakanjey sey na nikala jaey.
                          Allah Khush Rakhay :rose..
                          Humari mu'ashrati lughat maiN kitnay he aisay alfaz hai jis kay mani hum ghalat letay hain, Ana, Tanqeed aur Sab'r....!! Ana ko bura bhala kehtay hain magar Iqbal ki khudi par sar dhuntay rehtay hain...!! Tanqeed ko bura samajhtay hain laikin is kay shikanjay say nikalna nahee chahtay...!! Apni kamzori ko chupanay kayleay Sab'r ki Dhaal laytay hain...!! tum nay jo kaha hai is say loog yeh matlab laiN gaiy kay tanqeedi shikanja khatam hona chaheay aur tanqeed nahee honi chaheay, laikin kitnay he sochaiN gaiy kay tum nay shikanjay say nikalnay ki baat ki hai ??
                          hum mutad'did alfaz ko ghalat mani pehnatay hain... tanqeed bhi unhi maiN say aik hai.... tanqeed par 2 terha kay rad-e-amal samnay aatay hain...!! maslan Ustad-e-Mohteram ka yeh kehna kay
                          • Nazareay ka tal'luq Nazar say hota hai, Andhay ko Nazar he nahee aata aur Bhainga jo dekhay ga woh TeRha hoga...!!
                          ab is par 2 terha ki souch ho sakti hai...!!
                          1. Tanqeed karnay walay nay Andhay aur Bhaingay logoN ko nishana banaya hai aur un ka mazaq uRaya hai...!!
                          2. Dosri souch yeh peda hogi kay pehli souch par matam kia jaiy...!!
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mubaahisa: Tanqeed--aap ki nazar mey?

                            Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                            Iqbal ki khudi par sar dhuntay rehtay hain...!! tum nay shikanjay say nikalnay ki baat ki hai ??
                            hum mutad'did alfaz ko ghalat mani pehnatay hain... tanqeed bhi unhi maiN say aik hai....
                            Iqbal ki soch ko nahin ham unkey NAAM ko dhuntey hain :) (yahan per kisi ka naam chal jaey sahi :tauba ab iqbal ka koi shair Masood key naam sey sunao log kahein gey: abhi islah ki gunjaish hai :lol)

                            Main ney jo kaha hai tum ney samajh liya hai - meri tasali ho gaii
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            Working...
                            X