Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Akhbaarat kia apnay faraiz sahi anjaam day rehaye hain ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: Akhbaarat kia apnay faraiz sahi anjaam day rehaye hain ?

    Assalamalikum
    zaray-e-ablagh main akhbaarat bhi kafi ehmeyat reakhtay hian .....akhbaarat/resayal daily, weekly, monthly bhi hotay hian ....
    aap ki nazar main awaam kay ko masayail hain un main akhbaar kitna eham kirdar adakar rehay hain ? ya inki koi ehmeyat nahi ...kia yeh apnay faraiz sahi saranjaam day rehay hain ?
    8
    han
    50.00%
    4
    nahi
    50.00%
    4
    pata nahi.....
    0.00%
    0
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Akhbaarat kia apnay faraiz sahi anjaam day rehaye hain ?

    Originally posted by Aanchal
    Assalamalikum
    zaray-e-ablagh main akhbaarat bhi kafi ehmeyat reakhtay hian .....akhbaarat/resayal daily, weekly, monthly bhi hotay hian ....
    aap ki nazar main awaam kay ko masayail hain un main akhbaar kitna eham kirdar adakar rehay hain ? ya inki koi ehmeyat nahi ...kia yeh apnay faraiz sahi saranjaam day rehay hain ?
    w.salam,
    kitni mazaydar baat hai kay "NO" vote ziadah hain....!!
    kia vote daynay walay tamam hazrat ko "print media ki zimaydarioN" ka elm hai...?? aur kia koi sahab NO vote kay sath comments dayna pasand karain gaiy...??
    That's Enough...!!

    Comment


    • #3
      Re: Akhbaarat kia apnay faraiz sahi anjaam day rehaye hain ?

      Vote for YES,
      Print media ki jitni zimaydari hai woh pori kar'rha hai, print media ka maqsad halat say bakhabar rakhna hota hai, laikin shayad kuch log yeh samajhtay hon kay print media INQELAB la sakta hai to yeh ghalat fehmi hai, asal haqaiq aap kay samnay rakh deay jatay hain ab yeh aap ka kaam hai kay aap saheh aur ghalat samajhtay hain ya nahee...
      yaqinan kuch akhbarat sirf KAROBAR kartay hain aur advertisement say paisay kama kar ghar baiTh jatay hain magar woh akhbarat awam main paRhay bhi nahee jatay...!! aur jo akhbarat mash'hor o ma'roof hain woh yaqinan haqaiq say parda poshi nahee kartay....
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: Mubahisa: Akhbaarat kia apnay faraiz sahi anjaam day rehaye hain ?

        Walikum Assalam Aanchal!

        Nice topic Aanchal!
        per i wud say k it depends upon the news paper........jesa k kuch news papers buhaat accha kaam ker rahey hain like jang/The News/Dawn/Nation/Times/Jinnah/Nawae Waqt......

        or kuch news papers like dopeher......khabr........ye sirf naam kamaney n pese kamaane k liye hi hain q k main perh chuki hoon ye sab news papers......jinka maine last main zikr kiya ye signals per milte hain or in main ik bhi kam ki news nahii hooti:donno:

        well 80% news papers r going well........
        per buhat se news papers main xtra news per ziada emphasize hoota hai
        anyways going 4 YES

        KHUSH RAHIYYE
        WASALAM:rose

        Comment

        Working...
        X