Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: khudar ya Ana parast!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: khudar ya Ana parast!!!

    Assalam-o-alikum!!!!!:salam: :rose

    App ki nazar ma Khudari kiya hoti ha aur ana kiya hoti?Kiya app ana parast hain ? ya app Khudar hain?

    :cc: Meri nazar ma ana se Rishtoo ma darar aa jati ha woh matlabi kahlaya jata ha ......Ana parasat insaan khud nahi janta kah woh apni ana ki wajha se kesi ko kitna dukh day raha ha!!!!
    Aur khudar insaan woh ha jo dosro ki khushi chahta ha......aur woh jes kam mai khudari ikhtyar karta ha us per pora abor rakhta ha.......

    Give ur Remarks :lpop:

  • #2
    Re: khudar ya Ana parast!!!

    Originally posted by fari
    Assalam-o-alikum!!!!!:salam: :rose
    w.salam
    agar ANA itni he buri shay hai to iqbal uncle nay jo KHUDI KHUDI kaha hai woh kia bala hai :lpop:, Ana ka matlab ghalat lia jata hai :na:
    That's Enough...!!

    Comment

    • #3
      Re: khudar ya Ana parast!!!

      Originally posted by ScorpioN_RulzZ

      :tomato: :tomato: uncle tu batiya na Ana kiya ha ???????????app ki nazar ma aur Iqbal ki nazar ma maina tu apna nazriya beyan kiya ha? Agar ana rishtoo ma ajay tu woh rishtoo ko barbad kar dati ha :mm:

      Comment

      • #4
        Re: khudar ya Ana parast!!!

        Khud'dari aur Anaa parasti dono alag alag batein hain. Khudari ka matlab hai, khudh apney bal botey per apney pairon per kharey hona, apni zaat mei mukamal khudh mukhtar hona, apni zarortein khudh apni mehnat ke bal per poora kerna kisi ki madad ke bagair ..... issey khud'dari kehtey hain.
        Magar Anaa mukamal torh per alag chiz hai, anaa se murad hai khudh ko dosron se bala tarr samajhna, her baat ei khudh ko sahi aur dosron ko galat samajhna aur sabit kerna, apney aap ko dosro se behter manwana Anaa ke mano'n mei aata hai.

        Khud'dari se rishton mei farq nahi perta, amgar Anaa rishtey ko torh deti hai.
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: khudar ya Ana parast!!!

          Khuddari aur ana mein bohat kam faasla hai, balkey yun kaha jaey keh dono behnein hain to ghalat na ho ga. Yet there is a huge difference.

          Islam aik aisa mazhab hai jis mein balance per bohat tawajoh di gai hai. Agar aap disbalance ho jaein gey to gir jaein gey. Gir jaein gey to uthna mushkil ho jaey ga.

          Aham cheez hai pehchan karney ki!!! Aik khud'dar insaan ana'prast bhi ho sakta hai, zaroori nahin keh woh negative means mein hi ana'prast ho. Sab sey aham baat hai apni shanakhat ki - jab shanakhat ho jaey to wahan per ana zaroor aati hai, ab yeh aap per hai keh aap apni ana ko achhey ya burey tareeqey per utilise kartey hain.

          Iqbal key haan bhi ana, aur khudi mein koi ziyada faasla nahin tha, balkey zaroorat isi baat ki hai keh apni pehchan ho, phir uski hifazat ho!
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: khudar ya Ana parast!!!

            Originally posted by Masood

            is se mutafiq nahi hoon, apni shanakht kerne mei aur anaa parast ban'ney mei buhut farq hai ...
            sigpic

            Comment

            • #7
              Re: khudar ya Ana parast!!!

              Originally posted by Masood
              Khuddari aur ana mein bohat kam faasla hai, balkey yun kaha jaey keh dono behnein hain to ghalat na ho ga. Yet there is a huge difference.

              Islam aik aisa mazhab hai jis mein balance per bohat tawajoh di gai hai. Agar aap disbalance ho jaein gey to gir jaein gey. Gir jaein gey to uthna mushkil ho jaey ga.

              Aham cheez hai pehchan karney ki!!! Aik khud'dar insaan ana'prast bhi ho sakta hai, zaroori nahin keh woh negative means mein hi ana'prast ho. Sab sey aham baat hai apni shanakhat ki - jab shanakhat ho jaey to wahan per ana zaroor aati hai, ab yeh aap per hai keh aap apni ana ko achhey ya burey tareeqey per utilise kartey hain.

              Iqbal key haan bhi ana, aur khudi mein koi ziyada faasla nahin tha, balkey zaroorat isi baat ki hai keh apni pehchan ho, phir uski hifazat ho!

              Thanko for a good and understandable answer uncle:salam:

              Per Ana negative ho ya positive rishto ma ho tu rishtay agay nhi bhar patay???????iss baray ma ap kiya kahain gay???agar ap ka koi dost Ana parast ho jasay ka app nay kaha kah positive ana woh ha kah jes ma koi apni shanakht karway.........Agar app per woh bartari dekhay kah us ki apni shanakht ha tu kiya ya sahi ha???Kiya iss se app ko koi farq nahi paray ga app ki dosti ma farq nahi ay gay???Hosakta ha ap ko bura na lagay per dosro ko tu bura lagta ha......meray khiyal se........Aksar rishtay totay hain tu kaha jata ha kah Ana beach ma agai thi!!!?:mm: :cc:
              Last edited by fari; 12 July 2006, 13:37.

              Comment

              • #8
                Re: khudar ya Ana parast!!!

                Originally posted by Sweet & Sour
                Anaa rishtey ko torh deti hai.

                agar yeh Ana beech main aajaiy kay main yeh rishta nahee totnay donga to phir kia hoga :khi:
                That's Enough...!!

                Comment

                • #9
                  Re: khudar ya Ana parast!!!

                  Originally posted by fari
                  Thanko for a good and understandable answer uncle:salam:

                  Per Ana negative ho ya positive rishto ma ho tu rishtay agay nhi bhar patay???????iss baray ma ap kiya kahain gay???agar ap ka koi dost Ana parast ho jasay ka app nay kaha kah positive ana woh ha kah jes ma koi apni shanakht karway.........Agar app per woh bartari dekhay kah us ki apni shanakht ha tu kiya ya sahi ha???Kiya iss se app ko koi farq nahi paray ga app ki dosti ma farq nahi ay gay???Hosakta ha ap ko bura na lagay per dosro ko tu bura lagta ha......meray khiyal se........Aksar rishtay totay hain tu kaha jata ha kah Ana beach ma agai thi!!!?:mm: :cc:
                  Dekho bacha...

                  Main phir sey aik baat kahoon ga keh ANA aur KHUD'DARI mein bohat kam faasla hai. Khudi sey apni shanakhat karo, jab apni shanakhat ho jaey to uski ana sey hifazat karo. Aik misaal: Yahan ki hakoomat hai (Denmark ki) inhon ney apni shanakhat as DANES ki kar li hai, jis per inhein fakher hai, inhon ney iski hifazat key liye AAIN bnaya jo aaj sey koi 160 saal pehley bana tha, us aain mein SIRAF teen baar tarmeem ki gaii hai 160 salon mei, woh bhi isliye keh waqt badala hai. Ab yeh hakoomat ana sey uski hifazat karti hai.

                  Hamarey mulk mein har do saal baad agar hakoomat badley to woh sab sey pehley aain mein tarameem karti hai, jo ghalat nahin, magar yeh log tarameem APNI hifazat key liye kartey hian, YAHAN per ana ghalat hai aur jhooti hai.

                  Ab aam satah ki baat kartey hain. Agar main khuddar hoon aur apni, apney khandan ki apney gird-o-nawah ki, apney doston ki shanakhat kar leta hoon to phir unhein protect karney key liye mujhey ANAPRAST honey parey ga, meri anaprasti unka saheeh tahaffuz hai. Lekin agar main is mein siraf aur siraf apney zaati mufaad key liye anaprasti karoon ga to woh ghalat hai...
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: khudar ya Ana parast!!!

                    Originally posted by fari
                    Agar ana rishtoo ma ajay tu woh rishtoo ko barbad kar dati ha :mm:
                    kaisay samjhaon
                    That's Enough...!!

                    Comment

                    • #11
                      Re: khudar ya Ana parast!!!

                      Originally posted by Masood
                      Ab aam satah ki baat kartey hain. Agar main khuddar hoon aur apni, apney khandan ki apney gird-o-nawah ki, apney doston ki shanakhat kar leta hoon to phir unhein protect karney key liye mujhey ANAPRAST honey parey ga, meri anaprasti unka saheeh tahaffuz hai. Lekin agar main is mein siraf aur siraf apney zaati mufaad key liye anaprasti karoon ga to woh ghalat hai...
                      Love you jani :hug:
                      Ana woh taqat hai jo apnoN kay leay to badalnay par majboor kar dayti hai magar dosroN ko apnanay kay leay kabhi nahee badalti :wk
                      That's Enough...!!

                      Comment

                      • #12
                        Re: khudar ya Ana parast!!!

                        Originally posted by Masood
                        Dekho bacha...

                        Main phir sey aik baat kahoon ga keh ANA aur KHUD'DARI mein bohat kam faasla hai. Khudi sey apni shanakhat karo, jab apni shanakhat ho jaey to uski ana sey hifazat karo. Aik misaal: Yahan ki hakoomat hai (Denmark ki) inhon ney apni shanakhat as DANES ki kar li hai, jis per inhein fakher hai, inhon ney iski hifazat key liye AAIN bnaya jo aaj sey koi 160 saal pehley bana tha, us aain mein SIRAF teen baar tarmeem ki gaii hai 160 salon mei, woh bhi isliye keh waqt badala hai. Ab yeh hakoomat ana sey uski hifazat karti hai.

                        Hamarey mulk mein har do saal baad agar hakoomat badley to woh sab sey pehley aain mein tarameem karti hai, jo ghalat nahin, magar yeh log tarameem APNI hifazat key liye kartey hian, YAHAN per ana ghalat hai aur jhooti hai.

                        Ab aam satah ki baat kartey hain. Agar main khuddar hoon aur apni, apney khandan ki apney gird-o-nawah ki, apney doston ki shanakhat kar leta hoon to phir unhein protect karney key liye mujhey ANAPRAST honey parey ga, meri anaprasti unka saheeh tahaffuz hai. Lekin agar main is mein siraf aur siraf apney zaati mufaad key liye anaprasti karoon ga to woh ghalat hai...

                        :salam: Samjh gai uncle phir agar mai Ana parast hon aur rishto ki hifazat ka liya ana rakhti hon tu ya sahi hogi ....per phir bhi Uncle iss Ana se logo ko dukh puhnchta ha aur woh mind kar jatay hain unki dil azari hoti ha....Agar ya sahi ha tu log asa kiun souchtay hain negatively Ana parast insaan kay baray ma???????:mm: Woh kesi dosray ki ana ko negative hi samjhtay hain chahay woh uss kay apnay mufaad ka liya na ho ..........rishto ki hifazat ka liya ho!!!!!

                        Comment

                        • #13
                          Re: khudar ya Ana parast!!!

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                          Love you jani :hug:
                          Daffa ho kitney lambey bazu hain tumharey :lol :lol :lol
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment

                          • #14
                            Re: khudar ya Ana parast!!!

                            Originally posted by Masood
                            Daffa ho kitney lambey bazu hain tumharey :lol :lol :lol

                            Achi baat ha jitnay lambay hath hongay utni achi hifazat karen gay app ki
                            Kanon ka hath bohat lambay hotay hain thakur:kr: :kr: :kr:

                            Comment

                            • #15
                              Re: khudar ya Ana parast!!!

                              Originally posted by fari
                              :salam: Samjh gai uncle phir agar mai Ana parast hon aur rishto ki hifazat ka liya ana rakhti hon tu ya sahi hogi ....per phir bhi Uncle iss Ana se logo ko dukh puhnchta ha aur woh mind kar jatay hain unki dil azari hoti ha....Agar ya sahi ha tu log asa kiun souchtay hain negatively Ana parast insaan kay baray ma???????:mm: Woh kesi dosray ki ana ko negative hi samjhtay hain chahay woh uss kay apnay mufaad ka liya na ho ..........rishto ki hifazat ka liya ho!!!!!
                              Ana parast ko shayad isi leay bura samjha jata hai kay woh kisi unknown person kay leay khud ko nahee badalta, us ka nazariya yeh hota hai kay maiN apnoN kay leay to badal sakta hoon apna bana'nay kay leay nahee :na:, aur loog yeh bhi kehtay hain kay Ana ki wajah say gharoor aata hai yeh bhi ghalat hai.....
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              Working...
                              X