Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: pakistan or india ki doosti ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: pakistan or india ki doosti ?

    Assalamalikum
    pak or india kay logoo main ab pehlay say zaida doosti barhti ja rahi hai :thmbup: ..aap kay khayal main is doosti ko mazeed agay lay janay key leye kia karna chaye ?

    is silsilay main media ka kitna role hai aap ki nazar main ?
    aap paki hai to kisi indian say agar indian hain to kisi paki say doosti kesay hovi ? pehli pehli baar :D:
    aap is doosti kay baray main apnay point of view likhaye :salam:


    (topic say hat kay koi baat na kejey , na larai jhugray wali batain karain :na:)
    Shukria:rose
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: pakistan or india ki doosti ?

    Walikum Assalam Aanchal!


    Mera zaati opinion ye hai k ye dosti kabhi bhi mukhlisana dosti nahi ho pae gi.....reason ye hai k Pakistan govt. so called Islamic govt. hai or indian govt. ik non-islamic govt..........or humin hamara Madhab batata hai k:

    "GHAIR MUSLIMS KABHI BHI TUMHAREY (MUKHLIS) DOST NAHI SAKTE IS LIYE INKO APNA MUKHLIS NA SAMJHO"


    ye xact translation to nahi per ik AYAH ka mafhoom hai.....
    so according 2 this ager hum fr.ship ki ik jhooti kaavish ker bhi lain to ye impossible hai hum doosti ki aar main waar ker sakte hain na hum unkey liye trust k qabil ho pain ge or na wo hamare liye so ik jhooti fr.ship kerne ka kia faida???

    or ik or baat ye k jis tarah se hum fr.ship ker rahe hain ye way totally wrong hai media jis tarah se indian movies ko support ker raha hai ye sirf be-hayai ko dawat dena hai n i m totally against of these sort of things......

    KHUSH RAHIYE Aanchal
    WASALAM!:salam:

    (If some1 has any objection me here 4 debate:))

    Comment


    • #3
      Re: pakistan or india ki doosti ?

      Originally posted by Me Here


      Mera zaati opinion ye hai k ye dosti kabhi bhi mukhlisana dosti nahi ho pae gi.....reason ye hai k Pakistan govt. so called Islamic govt. hai or indian govt. ik non-islamic govt..........or humin hamara Madhab batata hai k:

      "GHAIR MUSLIMS KABHI BHI TUMHAREY (MUKHLIS) DOST NAHI SAKTE IS LIYE INKO APNA MUKHLIS NA SAMJHO"
      pakistan ki or bhi to kai non muslims countries say doosti hai :wk
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: pakistan or india ki doosti ?

        Originally posted by Aanchal
        pakistan ki or bhi to kai non muslims countries say doosti hai :wk
        yes absolutely rite!:thmbup:
        per yahan hum 2 countries ko nahi 2 qomoon ko qareeb laaney ki koshish ker rahe hain.......
        2 countries means trade ki waja se intenational relations + defence ki waja se relation rakhna
        or 2 qomoon ko paas laaney ka matlab indians ko apna friend samajhna or ye ummed kerna k wo mukhlisana sabit hon ge

        so donoo alag batin hain.......hum qomoon ko paas laney k liye unkey traditions apna chukey hain unkey dresses apna chukey hain n that is nothing hum andhi taqleed ker rahe hain or end mai wahi india humin paas bula ker phir se hamari country ka koi part separate ker de ga or hum phir yahi kahin ge k indians buhat chalaak hote hain,unho ne apni chalaki se ye kiya wo kiya (jesa k yahan course books mai hai abt india in PAkistan Studies).......jabkey ghalti hamari ho gi k humne 2 alag qomoon ko pas laney ki koshish ki

        main ye nahi kehti k ap indians se nafrat karooo.......nafrat ka haqq to humin kise bhi insan se insaniyat k rishte k tehat nahi hoota per ap un per andha itimaad na karin or unkey ghalt traditions mat apnain..........or hamari dosti main yahi ho raha hai.....hum kam dresses ko apni shaan samajh rahe hain or apne dopatte utaar rahe hain ager fr.ship hai to indians q humin follow nahi kerte????
        wo q complete dresses ki taraf nahi aate??
        her bar hum hi q follow kerte hain?
        Q K HER KOI HUMIN OVERCOME KER JATA HAI..........HER KOI DOMINANT NIKALTA HAI...........
        or aise fr.ship mujhe nahi manzoor!

        wasey no doubt Aanchal u ne ques bara classic uthaya:wk :clap:

        Comment


        • #5
          Re: pakistan or india ki doosti ?

          Originally posted by Aanchal
          Assalamalikum
          pak or india kay logoo main ab pehlay say zaida doosti barhti ja rahi hai :thmbup: ..aap kay khayal main is doosti ko mazeed agay lay janay key leye kia karna chaye ?

          is silsilay main media ka kitna role hai aap ki nazar main ?
          aap paki hai to kisi indian say agar indian hain to kisi paki say doosti kesay hovi ? pehli pehli baar :D:
          aap is doosti kay baray main apnay point of view likhaye :salam:


          (topic say hat kay koi baat na kejey , na larai jhugray wali batain karain :na:)
          Shukria:rose
          Islam ka lafzi matlab salamati, aman aur peace ke hein. Islam ne kabi non-muslims ke saath kabi bhi ghalat rawish apnanay ki talkeen nahi ki...hum apne atwaar mein behtari la ker india se achay taalukaat astawaar ker saktay hein...aur kerna bhi chahiye...islam nafrat ka ders bilkul bhi nahi deta :)

          Surely media can play role...lekin media ko bhi kuch lehaaz rakhnay hoon gay.
          :thmbup:

          Comment


          • #6
            Re: pakistan or india ki doosti ?

            Originally posted by munda_sialkoty
            Islam ka lafzi matlab salamati, aman aur peace ke hein. Islam ne kabi non-muslims ke saath kabi bhi ghalat rawish apnanay ki talkeen nahi ki...hum apne atwaar mein behtari la ker india se achay taalukaat astawaar ker saktay hein...aur kerna bhi chahiye...islam nafrat ka ders bilkul bhi nahi deta :)

            Surely media can play role...lekin media ko bhi kuch lehaaz rakhnay hoon gay.
            :) bilkul sahee!

            per hum jesii dosti ker rahe hain apko us main kahin koi accha ya +ve point nazar a raha hai?
            mujhe ye dosti mehez ik drama or dikhawa is liye lagta hai q k jese k abhi Mumbai main bomb blast hoa.......sab shakook n terrorism k labels Muslims per ain ge.......or jahan media k farogh ka soocha jata hai to wahan hum friends ban jate hain

            apko nahi lagta k ye dosti humin mazeed ISLAM se door ker rahi hai?
            apko nahi lagta k ye sirf media ko farogh dene k liye hai?
            apko nahi lagta k iskey peeche koi purity ya khaloos nahi??

            waiting 4 ur RAYE
            n nafrat ka haq humin kise insan se nahii...maine apne points main is bat ko mention kia tha.......per humin aankhin khool ker or sirf khud per itibar ker k aagey berhna ho ga

            Comment


            • #7
              Re: pakistan or india ki doosti ?

              jub dyl sy nuhyn dost manty India waly tou ye dosty dosty kysy huye?
              He who does not want to tease himself, should learn how to keep secrets inside the doors which can just be locked by him and no any other person can keep the keys, trusting just one other person out of your own personality and blood can harm you anywhere and everywhere in the world.
              ~Lucan~

              Comment

              Working...
              X