Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

    assalamalikum

    aap kay khayal main insaan ko job taleemi qabelayat ki waja say (koi degree,diploma hoo) milni chaye ???


    ya taleem zaida na hoo lekan tajraba hoo kaam ka us ki bina pay milni chaye ????


    taleemi qabelayt ya experience?? :)
    7
    Taleemi qabelayat
    71.43%
    5
    Tajraba
    28.57%
    2
    pata nahi
    0.00%
    0
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

    Mushkil sawal hai
    pehli job to aap taleemi base hi milni chahiye aur agey phir sath sath aap ka experience to zaroor count hota hai
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

      umm ofcourse taleem ki bina per:)
      kioky ager experiance ki bina per dainy lagy to phir jo na'ay aany waly hain un ka kia hogaa
      means ager sab he experiance ki base per job dainy lagy to na'ay loog kesy aay hain unko kon job day ga..

      Comment


      • #4
        Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

        honi to taleem ki base per chayeeh per reality main sirf tajurbey ki base per milti hay
        kitnay afsoos ki baat hay
        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

        Comment


        • #5
          Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

          But is wawal ka jawab to confusing hai... Wese dekah jayeh to taleemi qabliyat ke hisab se job milni chahiyeh, cause is tarah new comers ko chance nahi miley ga.

          Magar yeh baat bhi hai k kuch fields aisi hain jahan technical experience hona lazmi hai, to waha experience ke hisab se job milti hai.

          Ab vote kya kero :cc:
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

            :)
            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

            Comment


            • #7
              Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

              filhal kuch keh nahiee sakthahoon...
              YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

              Comment


              • #8
                Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                Tajraba

                Comment


                • #9
                  Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                  Originally posted by Aanchal View Post
                  assalamalikum

                  aap kay khayal main insaan ko job taleemi qabelayat ki waja say (koi degree,diploma hoo) milni chaye ???


                  ya taleem zaida na hoo lekan tajraba hoo kaam ka us ki bina pay milni chaye ????


                  taleemi qabelayt ya experience?? :)

                  Walikum Assalam

                  u ve started another intresting topic:clap:

                  sis itssssss a bit difficult question.
                  education is a must thing per insaan ki qabliyaat insaan ki degrees/diplomas main zaahir nahi hooti........kuch logon k paas degrees to hoti hain per knowledge nahi hooti.
                  Knowledge is a basic thing jis ki base per job milni chahye
                  or knowledge ka andaza aksar interviews mai ho jata hai:mm: or saari asliyat khul jaati hai:blush: or job haath se nikal jaati hai
                  wasy honestly speaking xperience ko to kise haal main bhi job ki reason nahi hoona chahye is tarah new comers ko chance hi nahi milta...
                  main to roz jab bhi news papers main add perhoon atleast 1 yr ka xperience required hota hai to new comers kese enter hoon ge firms main?

                  they should welcome n check all the new comers as well
                  interview aisa hona chahye jis se sab kuch samne a jae....
                  per of course then degree is a must thing to b considered.

                  KHUSH RAHYEEE:)
                  WASALAM
                  Me Here

                  Comment


                  • #10
                    Re: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                    mera khial ye hai taleem our tajarbe main se kisi ko b ignor nahi kia ja saktakoin k kuch jobs main taleem ko ziada ahmiat hasil hoti hai our kuch maintajarbe ko our kuch jobs aisi hoti hain jin main dono ko madd-e-nazar rakha jajata hai. lehaza mere khial main dono main se kisi ko b ignor nahi kia ja sakta
                    HAVE A NICE DAY

                    ہمیں یہ گمان کہ چاہا ہمیں زمانے نے
                    عزیر سب کو تھےمگر ضرورتوں کی طرح


                    Comment


                    • #11
                      Re: MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                      yes ............ameen is right,..
                      YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                      Comment


                      • #12
                        Re: MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                        mery khial main jobs milni chaien sab se pehy toooooooooooooo
                        Last edited by aabi2cool; 24 November 2006, 19:17.
                        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                        Comment


                        • #13
                          Re: MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                          Originally posted by aabi2cool View Post
                          mery khial main jobs milni chaien sab se pehy toooooooooooooo
                          :salam: :salam: :salam:

                          Comment


                          • #14
                            Re: MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                            Originally posted by Aanchal View Post
                            assalamalikum

                            aap kay khayal main insaan ko job taleemi qabelayat ki waja say (koi degree,diploma hoo) milni chaye ???


                            ya taleem zaida na hoo lekan tajraba hoo kaam ka us ki bina pay milni chaye ????


                            taleemi qabelayt ya experience?? :)

                            Ek option aur hona chahiye,
                            Qualification and Experience



                            Experience ke buniyad pe 8 class pass banda Diploma hodler (jise ham log diplomachy kahtey hain) engineering level pe Engineering Professiona se attached hai, and he is getting good salary.

                            Qualification ke buniyad pe 25 saal padhayi karta hai, admission lene mein kitni diqqaton ka samna karna padta hai tab jaa kar haath mein ek deegre milti hai...agar diploma holder ko experience ke buniyad pe job mil rahi hai to phir wo degree holder itni mehnat kyon kiya

                            so above in both cases it is not fair.

                            Taalim ke buniyad pe job honi chahiyie, bhale hi emoluments kam ho...dheerey dheery jab experience haasil ho jaye to unki increment ho sakti hai, otherwise qualified person ke saamney bahut options hain.
                            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                            Comment


                            • #15
                              Re: MUBAHISA: job taleem ki bina pay milni chaye ya tajrabaye ki bina par ??

                              Ek baat aur main bata doon, Diploma holder ko Qualified person ke rank mein nahiin rakh saktey
                              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                              Comment

                              Working...
                              X