Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

    Originally posted by Khalil
    mery khiyal main nahi huna chayee sab k sab unParr jahil aur ganwar huny chayee....
    Kiun k B.A ker k b wo sab siasatdaan aisy hain to pher BA ka kia faida...
    ===============
    Dil ko lagti he baat GADHAY ki :khi:

    Lagta he Asambliyoon ke inthaabaat ke liye Pakistan ko aik aur ummidwaar mil gaya :khi:
    :thmbup:

    Comment


    • #17
      Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

      Originally posted by munda_sialkoty
      ub loog oral test de ke syasatdaan bananay se rahay...ager aisa ho to pakistan mein is waqt 1 Crore se bhi ziada syasatdaan moojood hein...her koi kahay ga mera oral test lo me Prime Minister bunana chahta hon :khi:
      han na itnay oral test loo itnay oral test lo kay woh seyasat main doobara anay ka naam hi na laian :khi:
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #18
        Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

        Bilkul hona chahye BA pass :) Humare ilaqae mian aik MPA hain na :) jaali degree ke sath unhoN ne intikhab lara tha :) har cheez ka hal hay PK main :)
        Aur aik yeh bhi bat yeh bhi hay ke BA ke nisaab mian Siasyat aur Islamiat ka subjext hota hay ya kam az kam islamiat ka subjest hota hay jis sse siayasat ki alif bay ka pata chal jata hay :) Isi lye government ne yeh system rakha hay :)
        Lkena PakistaniON ke pass har cheez ka aik ulta hal hay
        yahan 10,000 rs se Matric,FA,BA ki jaali certificates(Asnad,Degrees) ban jate
        hain......
        Yahan kabhi koi nai suljh sake ga
        Allah

        Comment


        • #19
          Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

          Originally posted by munda_sialkoty
          aap ki is baat se agree kerta hoon ke jo loog ziada sharp hein wo ziada successful hotay hein. lekin

          Aisay loogon ko perakhnay ka kia tareeka kaar he? shayad koi nahi

          lehaza recognized institue se degee holder eligibal hona chahiye, cuz, perhay likhay aur un-perh ka koi mukabla nahi. Jo loog khud perhay likhay nahi wo education ko kia promote karein ge, wo kia policy maker banein ge.

          Perha lika hona ya atleast graduate honay wali shart bilkul sahi he.
          aise logoon ko parakhne k liye apki apni observation bhi sharp honi chahiye:khi:

          Yes bilkul sahee shart hai i agree n i agree wid ur last point (bold 1)

          Comment


          • #20
            Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

            Originally posted by Aanchal
            han na itnay oral test loo itnay oral test lo kay woh seyasat main doobara anay ka naam hi na laian :khi:
            Dil ko lagti he baat aanchal (bakri) ki

            by the way aap ko political selection mein viva system introduce kerwanay per aap ko atleast imaandaar mera matlab he nobel prize milna chahiye :lpop:
            :thmbup:

            Comment


            • #21
              Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

              Originally posted by Me Here
              aise logoon ko parakhne k liye apki apni observation bhi sharp honi chahiye:khi:

              Yes bilkul sahee shart hai i agree n i agree wid ur last point (bold 1)
              well meri observation sharp hi he alhamdullilah...lekin us awam ki observation kahan jaye gi jo do waqt ki rooti ke liye tarasti he.
              :thmbup:

              Comment


              • #22
                Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                Originally posted by munda_sialkoty
                well meri observation sharp hi he alhamdullilah...lekin us awam ki observation kahan jaye gi jo do waqt ki rooti ke liye tarasti he.
                nahi observation se meri muraad govt. thi k govt. main kuch aise log hone chahiye jo abilities ki basis per logoon ko aagey janey ka moqa dain.....:blush:

                Comment


                • #23
                  Re: Mubahisa: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                  aap jaaanti hein yeh jo loog govt mein khud aagay aatay hein yeh kese aatay hein...kitnay be-gunahon ka katl hota he in ke ser...aisay loog kisi ko kia aanay dein ge.
                  :thmbup:

                  Comment


                  • #24
                    Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                    Originally posted by Aanchal
                    B.A ki sharat is sharat kay sath lazmi honi chay kay taleem kay nizam ko bhi behtar banaya jaye ...har cheez dossri cheez kay sath munslik hoti hai ....jaali degree bananay walye logoo ko pakra jaye .....aik strong taleemi nizam banaya jaye .....or jo seyasat main loog atay hain un kay oral test honay chaye kay us field kay leye un ki kitni knowledge hai .........warna B.A ki sharat reakhian hi na ..loog jaali degreian bana laytay hain or yeh pak main aam cheez hai :lpop:
                    agreed warna aap BA kya Aania ki tarhan LLB ki shart bhi rakh lo to degree aap foran hi deykha saktey hein ;)
                    mazzey ki baat ye hai key Pakistan mey her cheez aap ko fake mil jati hai

                    yahan aik iranian larki hai us key paas fake pakistani driving licence hai aur wo driving ker rahi hai

                    halaat hi koi nahi
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                      Originally posted by barg.e.gul
                      agreed warna aap BA kya Aania ki tarhan LLB ki shart bhi rakh lo to degree aap foran hi deykha saktey hein ;)
                      mazzey ki baat ye hai key Pakistan mey her cheez aap ko fake mil jati hai

                      yahan aik iranian larki hai us key paas fake pakistani driving licence hai aur wo driving ker rahi hai

                      halaat hi koi nahi
                      ab fake licence bhi doosray mulkoo main chalye ja rehay hain :tauba
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment


                      • #26
                        Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                        Originally posted by Aanchal
                        ab fake licence bhi doosray mulkoo main chalye ja rehay hain :tauba
                        Mera aik doost fake licence pe driving kerta he, wo licence us ne ghar mein beth ke banaya :khi:
                        :thmbup:

                        Comment


                        • #27
                          Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                          Originally posted by munda_sialkoty
                          Mera aik doost fake licence pe driving kerta he, wo licence us ne ghar mein beth ke banaya :khi:
                          yeh miltay kahan say hain ?:cc:
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment


                          • #28
                            Re: Mubahisa: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                            well aik liehaz se aik khas criterion set ker dena is good es liye k hamari Cabinets mein es log guzre hain jo apne signatures kerna bhi nahi jante thay aur ye koi bani banaii baten nahin bulke haqeeqat hai..lakin prob ye hai k hamari zehni nash-onama na hone k barber hai so just to get hold of the Seats we try to use back-doors so fake degrees banwana kuch mushkil nahi hai..chunache es shart ka koi faida nahi.secondly humari Pakistani politics Khandani bunyad per chalti hai.Fudalism zindabad.baap k baad baita,phir pota n so on ..so jo log khud es shart per poore nahi uterte woh apni family k kisi na kisi member ko aage pohncha dete hain..faces change hote hain aur bus

                            aik baat aur k Pakistan jese low literacy rate rakhne wale country main B.A ki shart kuch karri bhi hai so ye bhi aik waja hai fake degrees le ker aage aane ki.ager es bare main danishwaron se baqaida discussion ker k faisla kiya jata tou may bhi koi achi tajweez samne aa jati.


                            Never trust blindly!!!!

                            _______________________________



                            _____________________________________________

                            Comment

                            Working...
                            X