Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

    Assalamalikum
    pakistan main seyasat main intekhaab larnay key leye B.A ki sharat lazmi honi chaye ? ya nahi ?:)
    10
    ji han
    60.00%
    6
    ji nahi
    40.00%
    4
    pata nahi....
    0.00%
    0
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

    Lazmi honi chahiye...ager mere jese un-perh her jagah pe aa gaye to is mulk ka sateyaa-naas ho jaye ga...perhay likhay loog achay decision maker hotay hein...lekin perhay likhay honay se bhi ziada un loogon ko honest hona chahiye...Dillon ke baid to Allah hi janta he
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

      Originally posted by munda_sialkoty
      Lazmi honi chahiye...ager mere jese un-perh her jagah pe aa gaye to is mulk ka sateyaa-naas ho jaye ga...perhay likhay loog achay decision maker hotay hein...lekin perhay likhay honay se bhi ziada un loogon ko honest hona chahiye...Dillon ke baid to Allah hi janta he
      Walikum Assalam Aanchal!

      ji main bhi yahii kahoon gi k atleast graduation takk education hooni chahiye intikhabat k liye coz they r performing imp duties related 2 the citizens...

      per main apki ooper kahi hoi bat se disagree hoon.......perhey likhey logoon main soch ki wus'at ziada hooti hai bcoz they know how 2 handle n cope wid diff situations....
      per mere nazdeek her wo insaan jiski observation sharp ho(observation can b related 2 anything i-e it can b ur surroundings/someone else task/diff ppl/diff situations)her aisa person buhaat kamyaab hota hai apni feild main......or wo buhat behter decisions bhi bana sakta hai q k uski observation sharp hoti hai wo logon ki ik ik moment se buhaat kuch seekh rahaa hoota hai
      ik martaba business management perte hoe hamare sir ne poocha tha k apk khiyal main konsa businessman ziada successful ho ga wo jo perha likha hai ya wo jo un-perh hai........tabb bhi mera answer yahi tha k jo mentally ziada mature hai or jiski observation ziada sharp hai he would b successful n my teacher agreed wid me!

      Khush Rahiyye:salam:
      Wasalam!

      Or Aanchal........Voted!:)

      Comment


      • #4
        Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

        agar B.A kar kar bhi banday ko us kaam main knowledge na hovi to ?
        or yeh bhi hota hai kay kamparhay logoo ko bhi kaam ka acha khasa "experience" hota hai :)
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

          Originally posted by Aanchal
          agar B.A kar kar bhi banday ko us kaam main knowledge na hovi to ?
          or yeh bhi hota hai kay kamparhay logoo ko bhi kaam ka acha khasa "experience" hota hai :)
          Agreed!
          per aj kal logon ki observation buhat poor n weak hai........thatz y koi observation n xperience se ager na bhi seekhey to atleast education ki waja se usko kuch to pata ho ga.......:).....asal mai hamaarey haan koi intikhaabat mai itna ghaur hi nahi kereta k logon ki salahiyyat ko jaanch sakin:)

          Comment


          • #6
            Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

            Ashfaq Ahmed likhtey hain keh "ham aaj tak parhey likhey honey ki defination hi nahin kar sakey keh parha likha insaan kissey kehtey hain. UNO ney aik baar apnry mardam shumari key forms mein likha keh parha likha woh hai jo ABC ki shanakhat kar sakey, phir iskey tabdeel ker diya aur likha jo kuchh parh likh ley. Har bandey key paas parhey likhey honey ki apni defination hai, doctor kahey ga jisney Ph.D. ki hai, Army waley kahein gey jisney M.A. kiya huwa hai aur kuchh kahein gey jisney B.A. kiya huwa hai.

            Aksar oqat yeh dekhney mein aata hai keh jo log anparh hain, kabhi school ka munh nahin dekha hota woh parhey likhon, degrees holders sey ziyada achhi soch-o-bichar rakhtey hain...

            Hamarey mulk mein degrees ka hasil karna kaun sa mushkil kaam hai. Komal (Pegham ki Moderator) key mutabiq aaj kal hamari universities mein taleem nain di jati balkey log waqt zaya karney aatey hain. Aur phir jab imtihanaat hotey hain woh kamyab bhi ho jatey hai :donno:.

            Main ney kaii aik B.A. key logon sey baat ki hai, magar afsos key saath kehna parta hai keh unki to general knowledge bhi drust nahin hoti. Hamarey kaii aik mojoodah wuzraa key barey mein kaha geya hai keh unhon ney apni degrees khareedi hain.

            Baat chhoti si hai, insaan soch ka parha likha hota hai degrees ka nahin. Main pakistan mein kisi aisi aik bhi shiq ko nahin manta jo insaan ka waqaar past karey aur aik insaan ko doosrey insaan sey kamtar bnaey!!

            Voted.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

              Originally posted by Aanchal
              Assalamalikum
              pakistan main seyasat main intekhaab larnay key leye B.A ki sharat lazmi honi chaye ? ya nahi ?:)
              B.A "Zahanat" ki sanad hai ya "sharafat" ki.... kioN kay siasat main qillat in he donoN ki hai :wk, assembly main B.A pass ka zehen yahan tak he chalta hai kay woh kisi female member ko "chit'thi" bhaij day..... aur phir baqi uTh kar us ki piTai karain aur phir sab 2, 3 din kay leay mu'at'tal ho jain... B.A aur M.A say kisi ki sehat par kuch farq nahee paRta bas aik sanad hai kay yeh hazrat inna sara paRh likh gaiy hain is leay inhain "nokri" day di jaiy...:D
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                wasey meray nazdeek Government chalaney key leyh atleast PHD ki degree honi chayeh
                i know koi meray sey agree naeen keray ga
                but from my point of view , yeh kam un ko suit zeada kerta hay jo key research field sey taluk raktay hoon and her cheeze ko proper kernay key aadi hoon

                baki BA atleast un perh sey to behtar hay keeon key aj kal atleast dono ki priorities different hoti haan . BA curruption kertay hoey sochey ka key kaeen pass hi na jaon , log kitna bora maney gay , so wo 1 karoo ki jaga 90 lakh 90 hazar ki curruption keray ga , and un perh ko to kisi ka kihal hi naeen hota so wo 1 karoo ki jaga 10 percent zeada yani 10 karoor ki curruption keray ga and baney ga mr 10 % :zuban:
                Last edited by tauruskhan; 29 June 2006, 14:10.
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment


                • #9
                  Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                  intikhabbat honay hi nahin chhcaiye
                  badshahat ka system ho kion k un ko is say yeh pata ho ga k jo bhi corruption karein gay khud say karein gay
                  mager democracy mein to log kehtay hain k bas kha lo is say pehlay koi aur kuch kha jaye:hathora
                  hahahhahah

                  ager badshaht system ho to mein PRINCE banoon ga
                  hahahahha

                  Comment


                  • #10
                    Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                    Originally posted by Me Here
                    Walikum Assalam Aanchal!

                    ji main bhi yahii kahoon gi k atleast graduation takk education hooni chahiye intikhabat k liye coz they r performing imp duties related 2 the citizens...

                    per main apki ooper kahi hoi bat se disagree hoon.......perhey likhey logoon main soch ki wus'at ziada hooti hai bcoz they know how 2 handle n cope wid diff situations....
                    per mere nazdeek her wo insaan jiski observation sharp ho(observation can b related 2 anything i-e it can b ur surroundings/someone else task/diff ppl/diff situations)her aisa person buhaat kamyaab hota hai apni feild main......or wo buhat behter decisions bhi bana sakta hai q k uski observation sharp hoti hai wo logon ki ik ik moment se buhaat kuch seekh rahaa hoota hai
                    ik martaba business management perte hoe hamare sir ne poocha tha k apk khiyal main konsa businessman ziada successful ho ga wo jo perha likha hai ya wo jo un-perh hai........tabb bhi mera answer yahi tha k jo mentally ziada mature hai or jiski observation ziada sharp hai he would b successful n my teacher agreed wid me!

                    Khush Rahiyye:salam:
                    Wasalam!

                    Or Aanchal........Voted!:)
                    aap ki is baat se agree kerta hoon ke jo loog ziada sharp hein wo ziada successful hotay hein. lekin

                    Aisay loogon ko perakhnay ka kia tareeka kaar he? shayad koi nahi

                    lehaza recognized institue se degee holder eligibal hona chahiye, cuz, perhay likhay aur un-perh ka koi mukabla nahi. Jo loog khud perhay likhay nahi wo education ko kia promote karein ge, wo kia policy maker banein ge.

                    Perha lika hona ya atleast graduate honay wali shart bilkul sahi he.
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                      Originally posted by silentocean
                      intikhabbat honay hi nahin chhcaiye
                      badshahat ka system ho kion k un ko is say yeh pata ho ga k jo bhi corruption karein gay khud say karein gay
                      mager democracy mein to log kehtay hain k bas kha lo is say pehlay koi aur kuch kha jaye:hathora
                      hahahhahah

                      ager badshaht system ho to mein PRINCE banoon ga
                      hahahahha
                      jis tarah pakistan mein democratic system ki implimentation he, us se ziada behtar yahan pe dictatorship honi chahiye
                      :thmbup:

                      Comment


                      • #12
                        Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                        ye sab dikhawa hai .. well
                        treu election means.. in my perspective. an intellegent advocate should apply for any kind of seat to be elceted as a public servant..

                        LLB must hona chahye .. us se kam ka matlab khud se bhi dhoka hai public se bhi .. if u dono wot LAW, Legislation, Jurisdiction, Reulation is ?? then how can you be a wise politician ??

                        sab fake hai .. elcetion ke naam pe dunya bhar main har jagah money talk chalti hai .. money digester kheltey hein ye game ... i dont believe on fake-governments.. whish actually are based on the protection of common people but not fulfilling their duties... not even in any single country ..
                        Visit My Early PS Work
                        You Are Welcome To Comment

                        Comment


                        • #13
                          Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                          mery khiyal main nahi huna chayee sab k sab unParr jahil aur ganwar huny chayee....
                          Kiun k B.A ker k b wo sab siasatdaan aisy hain to pher BA ka kia faida...
                          ===============

                          Comment


                          • #14
                            Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                            B.A ki sharat is sharat kay sath lazmi honi chay kay taleem kay nizam ko bhi behtar banaya jaye ...har cheez dossri cheez kay sath munslik hoti hai ....jaali degree bananay walye logoo ko pakra jaye .....aik strong taleemi nizam banaya jaye .....or jo seyasat main loog atay hain un kay oral test honay chaye kay us field kay leye un ki kitni knowledge hai .........warna B.A ki sharat reakhian hi na ..loog jaali degreian bana laytay hain or yeh pak main aam cheez hai :lpop:
                            Last edited by .; 1 July 2006, 09:44.
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment


                            • #15
                              Re: Inkekhabat main B.A ki sharat honi chaye ?

                              Originally posted by Aanchal
                              B.A ki sharat is sharat kay sath lazmi honi chay kay taleem kay nizam ko bhi behtar banaya jaye ...har cheez dossri cheez kay sath munslik hoti hai ....jaali degree bananay walye logoo ko pakra jaye .....aik strong taleemi nizam banaya jaye .....or jo seyasat main loog atay hain un kay oral test honay chaye kay us field kay leye un ki kitni knowledge hai .........warna B.A ki sharat reakhian hi na ..loog jaali degreian bana laytay hain or yeh pak main aam cheez hai :lpop:
                              ub loog oral test de ke syasatdaan bananay se rahay...ager aisa ho to pakistan mein is waqt 1 Crore se bhi ziada syasatdaan moojood hein...her koi kahay ga mera oral test lo me Prime Minister bunana chahta hon :khi:
                              :thmbup:

                              Comment

                              Working...