Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

    Assalamalikum

    aaj ka topic filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ?

    abhi news main sun rahi the aik india ki film hai krish ...usay deekh kay aik bachay nay us ki taraha bannay ki kushish ki or building say chalang maar di .....bach to gia hai abhi hospital main hi tha....

    or bhi kai aisay waqeeta sunaye hovey hain kay aik bachay nay wrestling deekh kay apni behan ka hath toor dia woh itna mutsar hoo gia tha us wrestling walye say ....

    2 bachoun nay aik film main phansi ka scene deekha to khud kay galay main bhi phanda daal kay phansi day di ...

    aik larkay nay film deekhi koi hollywood ki us ki jo story the us say inspire hoo kay apni sootele maa or behan ko qatal kar dia ....

    yeh hollywood, bollywood or lollywood har jaga chalta hai ......is ko rooknay key leye kia karna chaye ?
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

    promote islamic media
    like Quran tv , peace tv etc in hour houses

    bachey bi wohi kuch dehkatay haan jo barey dehktay haan
    so bachoon sey zeada yeh qasoor baroon ka hay
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

    Comment


    • #3
      Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

      Kuchh roz pehley main ney socha keh aaj office nahin jata, ghar per rah ker kaam karta hoon. Laptop on kiya to socha chalo aaj ghar to dekhein keh is time TV per kya chal raha hai. ARY Digital on kiya to unka subah ka programme chal raha tha aur usmein log live call bhi kartey they. Topic tha "kya aaj ka media muashrey ki akasi karta hai" aur is tawasut sey keh hamarey tv dramas kya muashre ki akasi kartey hain? Jin logon ney call ki un mein chand aaik ney kaha nahin, magar aksariyat (aur jin mein ziyada tar khawateen thin) yehi kehti thi keh jinti tezi sey muashra tabdeeli paa raha hai us mein tv per jo dikhaya jata hai theek hai.

      Is baat ney merey ander aik aag si laga di. Kuchh arsa pehley Prime TV per aik drama dekha jis mein main ney pehli baar aik PAKISTANI DRAMA mein aik pakistan male actor ko aik pakistani female actor ko kiss kartey dikhaya geya hai. Kya yehi woh tabdeeli hai jo ab hamarey gharon mein dikhai jaey gi?

      TV aur filmon ka hamarey zehno per shadeed asar hota hai. Jadeed tareeqon sey sabit huwa hai keh jo ham parhtey hain uska bohat kam yaad rakhtey hain, jo suntey hain uska bohat kaam yaad rakhtey hain, magar jo DEKHTEY hain ussey bohat der tak yaad rakhtey hain. Aaj hamarey TV per aisi behoodgiyaan dikhai jaein gi to hamarey bachon per kya asar parey ga? Woh wohi asar qabool karein gey jo woh dekhein gey.

      Aazadi ney hamein bad'kari ki taraf maayil kar diya hai. Hamein dekh ker bhi cheezon mein buari nahin lagti, aik taraf ham taqreerein kartey hain keh larkiyon ko apna jism dhanpna chahiye, doosri taraf hamarey gharon mein indian/pakistan behoodah filmein chalti hain jin mein larkiyon ka libas dhoondna parta hai. Hamari sochon ko zang lag geya hai aur lamha bhar ki entertainment key liye apney zameer ko murdah kar letey hain.... iskey burey asraat phailein gey abhi aur phailein gey - abhi to mehndi/shadi ki rasmon per pehley jahan larkiyaan alag apney kamron mein shughal maila kar liya karti thin ab sar-e-aam nachti hain keh yeh kaun sa bura kaam hai - abhi mazeed lanat phailey gi
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

        Masood bhaeee, zabardast topic hai yeh, yeh nehait hii afsosnaak baat hai k hum log saray haqaiq ko jaantay huey b kuch naeeh kar saktay , b coz yeh culture ubb hamary mooashray main iss tarha phail gaya hai k ..... Allah muafee.
        Aik din hamary gaoon main Cable ka connection cut off ho gaya, main nai uss din logon ko itnaa preshaaan dekha k khudanakhastaa lagta thaa k unn ka koi rishtaadaar fout ho gaya hai, yeh saraa sirf isss liyay thaa k unn logon nai STAR PLUS per drama dekhna thaa aur HBO per movies b dekhnii thiiii..
        Afsosnaak baat yeh yah k Din main 5 baar namaz tou hum chor datian hai tou kabhii hum nai socha b nahee . Laikin agar aik din Cable na ho tou hum khana nahee khatay, Yahii haaal hamaray bachon ka hai,. Woh naee Films dekhatain hai aur Filmi heroes unn k Ideal bun gaye hain, Koi Shah Rukh Khan aur koi Suleman Khan ki copy kartaa hua nazar aaa raha hai, jo k aik nehaait hi takleef dey baat hai....
        main nai apnai aik rishtadaar bachay ko apnay paas bulaya aur uss sey Gupshup lagana start kar di, woh class 5th ka student hai, usss ko apny Deen-e-Islam k baray main koi ilam nahee , balkay yah zaroor ilam thaa k aaaj Amir Khan ki new film "Faana" release ho rahee hai aur woh uss k intizaar main baithaa hua tha,
        Mujhay yeh dekh kar bara dukh hua, Laikin aisaa zaroor ho ga jub uss k ghar main uss k parents ki yeh soch ho ge tou yeh sub kuch zaroor ho ga,
        Yaad rakho k Cable aur CD aur Doosray media main paidaa hueye bachay kabhi b Muhammad Bin Qasim , Tariq Bin Zayad ya Ghazi Aamir Cheema Shaaheed naheen bun saktay..
        Allah hum sub ko Aaaqa Karim (SAW) k sadqaay hadayat ataaa farmay.. (Aaamin)...

        Comment


        • #5
          Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

          Masood bhaeee, zabardast topic hai yeh
          Encouragement goes to Aanchal yeh unka topic hai aur bohat aala topic hai :)
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment


          • #6
            Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

            pehly aap mujy yeh batain ...k filmain kiun banai jati hain...
            logon per aser chorny k liy ???
            ya k just for mony...\
            =====================
            yeh bilkul theek hay k bachon per aser perhta hay aur perhna b chayee
            filmoon main buhat achee achee chezain milti hain new idias milty hain for beter life.......main khudh buhat ziyada aser laita hun filmoon sy...
            khas toor ther the matrix to main ny 100 time dekhain kia philosophy hay film kee...
            han yeh dekhna chayee k achi ya buri film konsi hay ...zaher hay achi film aur buri films ka aser huta hay jo k definatly perhta hay.



            aur dear A man of later
            mujy belive me ghazi elam din shaeed aur muhammad bn qasim ka siraf un kee zindgi per banny wali films dekh ker hee pata chala tha.

            Comment


            • #7
              Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

              Originally posted by Masood
              Kuchh roz pehley main ney socha keh aaj office nahin jata, ghar per rah ker kaam karta hoon. Laptop on kiya to socha chalo aaj ghar to dekhein keh is time TV per kya chal raha hai. ARY Digital on kiya to unka subah ka programme chal raha tha aur usmein log live call bhi kartey they. Topic tha "kya aaj ka media muashrey ki akasi karta hai" aur is tawasut sey keh hamarey tv dramas kya muashre ki akasi kartey hain? Jin logon ney call ki un mein chand aaik ney kaha nahin, magar aksariyat (aur jin mein ziyada tar khawateen thin) yehi kehti thi keh jinti tezi sey muashra tabdeeli paa raha hai us mein tv per jo dikhaya jata hai theek hai.

              Is baat ney merey ander aik aag si laga di. Kuchh arsa pehley Prime TV per aik drama dekha jis mein main ney pehli baar aik PAKISTANI DRAMA mein aik pakistan male actor ko aik pakistani female actor ko kiss kartey dikhaya geya hai. Kya yehi woh tabdeeli hai jo ab hamarey gharon mein dikhai jaey gi?

              TV aur filmon ka hamarey zehno per shadeed asar hota hai. Jadeed tareeqon sey sabit huwa hai keh jo ham parhtey hain uska bohat kam yaad rakhtey hain, jo suntey hain uska bohat kaam yaad rakhtey hain, magar jo DEKHTEY hain ussey bohat der tak yaad rakhtey hain. Aaj hamarey TV per aisi behoodgiyaan dikhai jaein gi to hamarey bachon per kya asar parey ga? Woh wohi asar qabool karein gey jo woh dekhein gey.

              Aazadi ney hamein bad'kari ki taraf maayil kar diya hai. Hamein dekh ker bhi cheezon mein buari nahin lagti, aik taraf ham taqreerein kartey hain keh larkiyon ko apna jism dhanpna chahiye, doosri taraf hamarey gharon mein indian/pakistan behoodah filmein chalti hain jin mein larkiyon ka libas dhoondna parta hai. Hamari sochon ko zang lag geya hai aur lamha bhar ki entertainment key liye apney zameer ko murdah kar letey hain.... iskey burey asraat phailein gey abhi aur phailein gey - abhi to mehndi/shadi ki rasmon per pehley jahan larkiyaan alag apney kamron mein shughal maila kar liya karti thin ab sar-e-aam nachti hain keh yeh kaun sa bura kaam hai - abhi mazeed lanat phailey gi
              bhai aap kee batian b damm rakhti hain

              Comment


              • #8
                Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                Originally posted by filbahere
                promote islamic media
                like Quran tv , peace tv etc in hour houses

                bachey bi wohi kuch dehkatay haan jo barey dehktay haan
                so bachoon sey zeada yeh qasoor baroon ka hay
                nice sugischan:salam:

                Comment


                • #9
                  Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                  aik sawal yeh bhi utha hai na kay agar ghar main na lagaian TV to kia bachaye deekhna choor day tv ...kisi rishatadar kay ghar to ja saktay hian na ? kisi friend kay ghar ja kay deekh saktay hian ?

                  TV hona chaye ghar main ...aap ka kaam achay or booray ki pehchan batana hai unhaye ...or aksar loog yeh soouchtay hain yeh to abhi bachaye hian unhay kia pata kia hoo raha hai TV main..lekan aisa nahi hai bachaye ab itnay bhi bachay nahi hotay :khi: woh apnay toor par cheezoun ka nateeja akhaz kar laytay hian ...yeh jo action wali movies hoti hain bachoun ko batana chaye yeh haqeqat nahi hoti ...ghar main aisi cheezian try na karain ..
                  اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                  اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                  Comment


                  • #10
                    Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                    Originally posted by Aanchal
                    Assalamalikum

                    aaj ka topic filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ?

                    abhi news main sun rahi the aik india ki film hai krish ...usay deekh kay aik bachay nay us ki taraha bannay ki kushish ki or building say chalang maar di .....bach to gia hai abhi hospital main hi tha....

                    or bhi kai aisay waqeeta sunaye hovey hain kay aik bachay nay wrestling deekh kay apni behan ka hath toor dia woh itna mutsar hoo gia tha us wrestling walye say ....

                    2 bachoun nay aik film main phansi ka scene deekha to khud kay galay main bhi phanda daal kay phansi day di ...

                    aik larkay nay film deekhi koi hollywood ki us ki jo story the us say inspire hoo kay apni sootele maa or behan ko qatal kar dia ....

                    yeh hollywood, bollywood or lollywood har jaga chalta hai ......is ko rooknay key leye kia karna chaye ?
                    Very Good Topic Anchal...Frankly speaking aap jo bhi topic start kerti hein wo kafi interesting hota he...aap ki selection achi hoti he :thmbup:

                    Ub on the topic baat karon ga...media jo pheela raha he us pe discuss kerne ki bajaye mein yeh behtar samjoon ga ke Buchon se related kuch suggestions doon.

                    Dekhiye...buchay aik kachi mitti ki tarah hotay hein, unhein aap jis saanchay mein dhaalna chahein ba-aasani dhaal saktay hein. Hum loog dekhtay hein ke falan buchay ki terbiyat achi nahi, is se pehlay hamein yeh soochna chahiye ke is buchay ki terbiyat is ke maan-baap ne achi nahi ki...un ki terbiyat mein kuch faults aur flaws reh gaye.

                    Buchon ke saamnay movies na dekhiye...buchon ko cartoons dikhaiye...saath mein maa ya baap ko beth ke buchay ki couceling bhi kerni chahiye aur batana chahiye ke yeh sahi he aur yeh ghalat...buchay bari jaldi pick ker lete hein. 4 saal se hi buchay ki mazhbi taleemaat ki taraf rugbat dilani chahiye, usay batana chahiye ke Allah aik he, jhoot bolna achi baat nahi, such bolnay walay buchay achay hotay hein...ziada TV dekhna buchon ke liye sahi nahi...buchon time table ke paband nahi hotay...lekin pyaar se is pabandi ki aadat daali ja sakti he...yani buchay time pe sooein, time pe uthein, time pe perhein, time pe kheelein, aur time pe Cartoons dekhein.

                    Ager aap buchay ko movies dikha rahay ho to yeh zaroori he ke aap buchay ke paas betho, unwated scenes ko aanay se pehlay forward ker do, aur buchay ko saath mein samjao ke yeh jo movies hoti hein yeh real nahi hotein...i think is tarah ki chooti chooti cheezein se kafi farak per sakta he.
                    :thmbup:

                    Comment


                    • #11
                      Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                      Walikum Assalam Aanchal sis!:)














                      Aanchal buhat accha topic share kiya thx a lot
                      KHUSH RAHIYYE
                      WASALAM:salam:
                      Me Here:lpop:

                      Comment


                      • #12
                        Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                        Originally posted by Me Here
                        Walikum Assalam Aanchal sis!:)














                        Aanchal buhat accha topic share kiya thx a lot
                        KHUSH RAHIYYE
                        WASALAM:salam:
                        Me Here:lpop:
                        aik aur nuksan app ko bata doon tv ka ( halankey main overall tv key khilaf naeen hoon ) key aj key dor key bachey sports sey door ho gaey haan

                        wasey main tv key mamley main parents ko zeada kasoor war tasawer kerta hoon .
                        ager tv ka remote controll un key pass na ho, and wo bachoon per control na kerain , to bacha behtar naeen ho sakey ga
                        its all depends on parents

                        wasey ager hmmarey haan key bi chutey bachey tv chor ker sports main aa jaein to ho skata hay key kal hmm bi kisi pakistani star ko wambildon and fifaworld cup main khelta dehkain
                        shayeh sirf aik khuasih jo shayed kabi pori na ho
                        People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                        Comment


                        • #13
                          Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                          Originally posted by filbahere
                          aik aur nuksan app ko bata doon tv ka ( halankey main overall tv key khilaf naeen hoon ) key aj key dor key bachey sports sey door ho gaey haan

                          wasey main tv key mamley main parents ko zeada kasoor war tasawer kerta hoon .
                          ager tv ka remote controll un key pass na ho, and wo bachoon per control na kerain , to bacha behtar naeen ho sakey ga
                          its all depends on parents

                          wasey ager hmmarey haan key bi chutey bachey tv chor ker sports main aa jaein to ho skata hay key kal hmm bi kisi pakistani star ko wambildon and fifaworld cup main khelta dehkain
                          shayeh sirf aik khuasih jo shayed kabi pori na ho
                          NIce Point!!:thmbup: :thmbup:
                          mera khud bhi sports per buhat emphasize hoota hai....
                          jab main chooti thi tab buhat in touch rahi wid sports wid my bros per ab sab hi barey ho gae.........n sab hi itne bussy hain k main sports se bilkul door ho chuki hoon......per in order to b in touch wid sports i tried 2 join sports...per berhter hoota hai ager family k sab hi log sports se in touch rahiin or sports ko proper time dain....

                          sports should b the part of life......insan fit rehta hai
                          or bachon ki perwarish main Parents hi unhe sanwarety n bigarte hain thatz y i say k shadi kerna koi choti bat nahi after marriage poori ik generation ko apko sambhalna hoota hai

                          Thx 4 adding a nicoo point
                          or KHUSH RAHIYYE!

                          Comment


                          • #14
                            Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                            Jese ke Khalil aur Anchal ne aik post main kaha ke Behter hay hum buri aur achi cheez pehchanein :) Movies main behoodgi hoti hay :) lekan adventures aur IT wali movies dekhne se bachoN ka zehan khulta hay :) wese bhi Aaj Aap Apne Computer se aik movie ko saaf kar sakte hain :) aur ikhlaqyat se gire hoe scenes ka khatima kar sakte hain :) bilkul aik saaf movie banayi ja sakti hay :)
                            Allah

                            Comment


                            • #15
                              Re: filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ???

                              Originally posted by Aanchal
                              Assalamalikum

                              aaj ka topic filmoo ka bachoun pay kitna asar hota hai ?
                              ---
                              Attached Files
                              That's Enough...!!

                              Comment

                              Working...
                              X