Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Hijab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Hijab

    Asalm-o-Alikum :rose

    Hijab ka mtlab parde kie ya chupe howe kie ate ha...hijab do kism ka hota ha ek woh jo ham dil se kare aur ek woh jo zor-o-zaberdasti se kiya jaie...asal mein tu hijab dil hi ka hota ha...Islam mein jaha per aurto ko hijab mein rehne ka hukam ha waha per mardo ko bhi Hijab ka hukam ha..mardo kie Hiajab ka matlab yeh kie woh bhi apni nazro kie hifazat kare...hamre yaha Saudia mein ek qanon hah jis kie mutabiq her woh aurat jo Saudia mein dakhil ho chahe woh musilm ho ya non muslim use hijab lena zarori ha otherwse us kie sath qanoni qarwi kie jate ha...mein non-muslim kie bat nehi kerta lekan Muslims mein se kuch log ese ha jo yaha per pora hijab kerte ha aur jab apne mulko mein jate ha tu es ka ehtimam bhi kerte ha us ko chorte nehi ha lekan baz ese bhi ha jo Airport per hi hijab(burqa) utar dete ha..
    aap kie khial mein kiya yeh sehe ha?? baz logo ka yeh bhi khial ha kie hakomat kie pabndi se hame hijab ka pta chla werna hame hijab hi ka nehi pta tha aur es ko bht srahte bhi hah.. sawal yeh ha kie jo log utar dete ha kiya woh sehe kerte ha aur kehte ha kie ham dil se parda kerte ha kiya yeh sehe ha ? aur jo nehi utarte kiya woh sehe kerte ha ?
    aur aap kie nazer mein hakomat kie yeh pabandi sehe ha ya aap kie khial mein sara-ser ghalt ha??? :rose

    Allah Hafiz :rose
    Bhulana Sakoo Gay Mujhe Bhool Kar Tum
    Mein Aksar Tumhein Yaad Ata Rahonga
    Kabhi Khuwab Ban Kar Kabhi Yaad Ban Kar
    Mein Neendein Tumhari Churata Rahonga


  • #2
    Re: Hijab

    chooti si baat karon ga

    aurat ke liye Hijaab kerna lazim he...jo auratein nahi kertein, ghalti kerti hein
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Hijab

      Originally posted by zeeshan
      Asalm-o-Alikum :rose
      walikum as salam

      Hijab ka mtlab parde kie ya chupe howe kie ate ha...hijab do kism ka hota ha ek woh jo ham dil se kare aur ek woh jo zor-o-zaberdasti se kiya jaie...asal mein tu hijab dil hi ka hota ha.


      kash key app ney yeh word asal mein na lagaya hota , keeon key is sey lagta hay key jesay liknay wala jism key perday ko na manta ho , kher

      ..Islam mein jaha per aurto ko hijab mein rehne ka hukam ha waha per mardo ko bhi Hijab ka hukam ha..mardo kie Hiajab ka matlab yeh kie woh bhi apni nazro kie hifazat kare

      beshak
      If you read the - before the mentioning of the for the women, the mentioned the , and a big list of , the close relatives which she can marry is given, and but natural, in front of the chaste women - Besides these, she should maintain the Hijab.

      app ney teek kaha


      ...hamre yaha Saudia mein ek qanon hah jis kie mutabiq her woh aurat jo Saudia mein dakhil ho chahe woh musilm ho ya non muslim use hijab lena zarori ha otherwse us kie sath qanoni qarwi kie jate ha..

      yeh to her muslim state ka faraz hay , yeh bahla kesay guwara kia ja sakta hay key muslim logon key liya azmaish bana ker khawateen ko beperda un key samney chor dia jaey chayeh wo muslim ho ya non muslim
      .mein non-muslim kie bat nehi kerta lekan Muslims mein se kuch log ese ha jo yaha per pora hijab kerte ha aur jab apne mulko mein jate ha tu es ka ehtimam bhi kerte ha us ko chorte nehi ha lekan baz ese bhi ha jo Airport per hi hijab(burqa) utar dete ha..

      her shaks ki apni kabar hay , app ka kam sirf itna hay key haq bat un tak poncha do, government chonkey hath sey borai ko rok sakti hay is leya us ney kanon bana ker rok dia , jahan naeen rok saktey keh dia jaey , naeen to dil main to bora kaha jana chayeh is ko
      aap kie khial mein kiya yeh sehe ha??

      offcourse not
      baz logo ka yeh bhi khial ha kie hakomat kie pabndi se hame hijab ka pta chla werna hame hijab hi ka nehi pta tha aur es ko bht srahte bhi hah

      acchi bat hay pir to
      pata to laga na , islam ki taraf wapis to ayeh na

      .. sawal yeh ha kie jo log utar dete ha kiya woh sehe kerte ha aur kehte ha kie ham dil se parda kerte ha kiya yeh sehe ha ? aur jo nehi utarte kiya woh sehe kerte ha ?

      pehli baat key wo ghalat kertay haan
      dosray jo kehtay haan key hmm dil sey perda kertay haan
      to wo actually bahana banatey haan and kuch naeen
      app ney sora nissa key ayat number 31 to dehk hi li ho gi
      jab Allah ka hukam aa gia to pir kia bahana and ju pora naeen kerta
      to app sura tuba kia ayat number 24 dekain key jo log apney duniawi mobaaton ko Allah sey bahr ker samjtay haan wo muslim hi naeen hotey

      aur aap kie nazer mein hakomat kie yeh pabandi sehe ha ya aap kie khial mein sara-ser ghalt ha??? :rose
      aik muslim hakomat ka faraz banata hay key wo yeh pabandi lagey keeon key is sey mard aur aurat dono ki hifazat hoti hay

      Allah Hafiz :rose
      Allah hafiz
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #4
        Re: Hijab

        Asalam-o-Alikum!!!!

        Iss dunia mai agar koi chiz daimi ya hamesha rahnay wali ha tu woh Allah ha ......Allah aur uss kay insaan ka darmiyan ka rishta daimi ha.....phir kiun logg ya chahtay hain kah hum jab kesi mard ya aurat ka samnay jain tu sajh dhaj kar jain .....kiya milay ga uss ko asa karnay se...ya uss ki naafs ki khawaish ka taqaza ha...Insaan ka naafs ussay bay perdagi ki tarf maaiel karta ha......aur Naafs ki khawish poray karnay walay hamesha dunia aur Akhrat mai nuksan othatay hain.....
        Apnay NAafs ko control karna uss ki khawishat ko ignore karna JHAAD BILNAAFS hai.......Aur sab se afzal Jhaad Naafs se jhaad ha..........Zaroori nahi kah Jung ho tu jung ma shamil ho kar ...larai kar kah ...jhaad kiya jay...balkay jhaad karna tu har insaan ka bas mai ha.........Woh ba asaani apnay naafs ki khawishat ko Allah kay tabay kar ka bas iraday ki zaroort ha AUr khuda asay shakhs ki khud madad famata ha....iss tarhana woh Afzal Jhaad ka mustakhik ho sakta ha aur Allah kay mehbob bando ma shamil ho saktay hain...............
        Hum kesi ka dill ki baat ya uss ki niyat ka ilam nhi rakahtay ,iss liya hum kesi bhi shakhs ka baray ma koi raiy qaiym nahi karsaktay....yani uss na hijaab kiun kiya aur phir kiun otar diya???Ya sab Allah janta ha Woh har chiz ka janany wala ha!
        kuch log ya kahtay hain kah Hijaab is barrier for Women freedom jabhi woh hijaab karnay se inkar kartay hain aur Allah ka diya howay ahkaam ka inkar kartay hain ...Jab kay hum ko ya souchna chaiya ha Hijaab ka hukum tu Allah na aurat ki apni hi hifazat ka liya diya ha.....pardhay ma rah kar aurat zayda Purwaqar/bawaqar tariqay se aur full confidence ka sath apnay kam sar anjam day sakti ha....Buri aur galat nighao se bach sakti ha.....Balkay dosray logg bhi ussay izaat ki nigha se dekhtay hain aur logg kahtay hain aik muslman aurat guzar rhi ha....ya uss ka liya aazaaz ki baat ha!!!iss souch ka sath hijaab kiya jay tu dill se hijaab karnay ka mutradeef ha...
        Allah hum sab ko Naik hadiyat ata farmay aur uss ka batay howay rastay per chalnay ki toufeeq ata farmay (Ameeen)


        Comment


        • #5
          Re: Hijab

          Walikum Assalam!

          1stly itni zabar10 discussion k liye buhaat sa thx!
          mera zatti khiyal hai k ik ISLAMIC COUNTRY ko her lihaaz se ISLAMIC hoona chahiye.....is tarah fitne k berhne k chances kamm hoote hain.
          jis jaga HIJAB n baaqi ISLAMIC LAWS ki pabandi ho gi wahan 100% citizens usko manin ge q k man'na un per farz ho ga by ISLAM as well as by govt.
          jab hum ik jaga rehte hain to rules ko chahte/na-chahte hoe follow kerna hoota hai.
          ager govt. ISLAMIC ho to wo zaroor ye sabb common karey gi or kerna chahiye bhi!
          is main koi zabardasti ya ghalt baat nahi hai q k govt. ik accha step le rahi hai.....or is tarah logon k liye atleast fitna phelana easy nahi ho ga
          laakin jahan media open ko......burai ko xposure mil raha ho wahan araam se burai phelai ja sakti hai....

          so mera khiyaal hai k govt. ager aisa koi rule rakhti hai to ye ik ISLAMIC GOVT. ka farz hai or aisaa hoona chahiye.....baaqi jinhoo ne burai kerni hai wo karin ge per chupp ker n darr ker unhe azaadi nahi ho gi jesi k Pakistan mai aj kal azaadi hai her cheez ki!

          KHUSH RAHIYYE!:salam:

          Comment


          • #6
            Re: Hijab

            Originally posted by fari
            Asalam-o-Alikum!!!!

            Iss dunia mai agar koi chiz daimi ya hamesha rahnay wali ha tu woh Allah ha ......Allah aur uss kay insaan ka darmiyan ka rishta daimi ha.....phir kiun logg ya chahtay hain kah hum jab kesi mard ya aurat ka samnay jain tu sajh dhaj kar jain .....kiya milay ga uss ko asa karnay se...ya uss ki naafs ki khawaish ka taqaza ha...Insaan ka naafs ussay bay perdagi ki tarf maaiel karta ha......aur Naafs ki khawish poray karnay walay hamesha dunia aur Akhrat mai nuksan othatay hain.....
            Apnay NAafs ko control karna uss ki khawishat ko ignore karna JHAAD BILNAAFS hai.......Aur sab se afzal Jhaad Naafs se jhaad ha..........Zaroori nahi kah Jung ho tu jung ma shamil ho kar ...larai kar kah ...jhaad kiya jay...balkay jhaad karna tu har insaan ka bas mai ha.........Woh ba asaani apnay naafs ki khawishat ko Allah kay tabay kar ka bas iraday ki zaroort ha AUr khuda asay shakhs ki khud madad famata ha....iss tarhana woh Afzal Jhaad ka mustakhik ho sakta ha aur Allah kay mehbob bando ma shamil ho saktay hain...............
            Hum kesi ka dill ki baat ya uss ki niyat ka ilam nhi rakahtay ,iss liya hum kesi bhi shakhs ka baray ma koi raiy qaiym nahi karsaktay....yani uss na hijaab kiun kiya aur phir kiun otar diya???Ya sab Allah janta ha Woh har chiz ka janany wala ha!
            kuch log ya kahtay hain kah Hijaab is barrier for Women freedom jabhi woh hijaab karnay se inkar kartay hain aur Allah ka diya howay ahkaam ka inkar kartay hain ...Jab kay hum ko ya souchna chaiya ha Hijaab ka hukum tu Allah na aurat ki apni hi hifazat ka liya diya ha.....pardhay ma rah kar aurat zayda Purwaqar/bawaqar tariqay se aur full confidence ka sath apnay kam sar anjam day sakti ha....Buri aur galat nighao se bach sakti ha.....Balkay dosray logg bhi ussay izaat ki nigha se dekhtay hain aur logg kahtay hain aik muslman aurat guzar rhi ha....ya uss ka liya aazaaz ki baat ha!!!iss souch ka sath hijaab kiya jay tu dill se hijaab karnay ka mutradeef ha...
            Allah hum sab ko Naik hadiyat ata farmay aur uss ka batay howay rastay per chalnay ki toufeeq ata farmay (Ameeen)
            Fari is this really you :mm:

            Excellent...aray aap bhi bohat umda likhti hein...aap ke points bohar powerful hein. Aap ko is tarah likhta dekh ke me ko khushi hui :)
            :thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Hijab

              Originally posted by munda_sialkoty
              Fari is this really you :mm:

              Excellent...aray aap bhi bohat umda likhti hein...aap ke points bohar powerful hein. Aap ko is tarah likhta dekh ke me ko khushi hui :)
              Ap ko koi shak ha:donno: mai fari hi hon:)

              compliment ka liya bohat bohat shukriya :salam:

              Comment


              • #8
                Re: Hijab

                bahut khobsurat baatay aap sab ney ki hay
                Jazak Allah khair
                wasalaam....

                Comment


                • #9
                  Re: Hijab

                  great
                  :welcome: :welcome: www.jandanwala.com:welcome::welcome:

                  Comment

                  Working...
                  X