Re: why smoking?
aap ki baat se mein aap se kuch share kerna chahoon ga.
Hum lug bug 8, 10 hein jo sunday ke sunday ikathay hotay hein. waise to sabhi doost hein, lekin un mein se aik ziada kareebi he...aur mazay ki baat sub ke sub smooking kerte hein siwaye mere...mein apne us doost ko bohat samjata hoon, even us ke ghar us ki mom aur sis se bhi meri isi baat per ziada behas hoti he, wo loog bhi us ki smooking se aajiz hein. Mein ne usay kai baar warn kia ke smooking choor de ya mujay choor de, lekin wo doono ko choornay pe teyaar nahi...khair last sunday aik public park mein bethay us ne cigrate jalai aur mein ne us se aik cigrate li...aur apne honton mein daba ke jala li, wo hairat se dekhnay laga...kehnay laga aamir tabiyat to theek he na...ya kia fazool herkat ker rahay ho...mein ne kaha ke tu to cigrate chooray ga nahi, lehaza mein hi tera saath diya karon ga, aaj se mein bhi cigrate piya karon ga tere saath...haan albata ager tu nahi piye ga to mein bhi nahi piyon ga.
Is per wo thoora muskuraya aur kehnay laga ke you know mein bhi kuch tere jesa hi ker raha hoon...mein ne poocha kia...kehnay wo jo S he na (wo bhi hamara doost he), wo churs peeta he, mein ne usay kafi rooka lekin rukka nahi...aur ub mein ne usay churs churwanay ke liye khud peeni shuru ker di he, yani us ka saath dena shuru ker diya he...yeh baat sun ke mein ne cigrate neechay phaink diya.
Originally posted by barg.e.gul

Comment