Re: ~*~Fifa WC - Germany 2006~*~
I hope kul Brazil vs Ghana ke match se aap ko bohat se jawaab mil hi gaye hon ge :)
France ke saath mujay hamdardi thi, lekin me yeh janta hoon ke wo under perform ker rahay thay...lekin kul patric viara aur zidane ke goals ne apni kuch position justify ker di.
Aap ghana ki favour ker rahay thay, yeh sooch ke ke wo bohat achi team he...no doubt wo acha kheltay hein, lekin aap yeh dekhiye ga ke wo kitna jazbaati ho ke kheeltay hein, wo body-play kitna kertay hein, un ki tackling kesi he...us ke ber-aks barazilian kitni tameez mein kheelay. Ghana ke paas jazba he, lekin wo skills nahi jo Parera ke team ke paas he.
Kul bud-kismati se spain aur france ka match nahi dekh saka...match start honay se lug bug 15 min pehlay hi soo gaya aur jub utha to match ko khatam huay half an hour ho chuka tha...bohat ghusa aaya mujay.
Ub France vs brazil ho ga...but i am still hopeful for brazilian...not because they are defending champion but is liye ke wo individually aur as a team bohat achay players hein...haan kul kaka kuch acha perform nahi ker paye.
Originally posted by Masood

Comment