Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa:Gold........Hamarey Darmiaan Itna Imp Q...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa:Gold........Hamarey Darmiaan Itna Imp Q...?

    Assalam-o-Alikum pegham.net!!

    Hope ap sab acchi lives guzaar rahe hon ge INSHALLAH!:)

    Ghareeb awaam kese phir shaadi k qaabil hon ge???
    Gold ko neccessery part of wedding q consider kia jata hai???
    Aurat koo soney k iwaz q toola jaata hai???

    Ager kise ko kam gold miley to wo naraaz ho jate hain k susral walon ne itna kam gold dia????

    Ap is baarey main kia kehte hain?

    KHUSH RAHIYYE ALL
    WASALAM!:salam:

  • #2
    Re: Mubahisa:Gold........Hamarey Darmiaan Itna Imp Q...?

    Originally posted by Me Here

    Wa Alaikum Aslam!

    mashallah bohat acha nukta uthaya he aap ne. Aurum yani Gold aik precious metal he. Kisi waqt yeh maharaajon aur shehanshaoon ki haisiyat ko maapnay wala aala samja jata tha...aur is metal ne na-janay kitnay karooron larkiyoon ki zindagi pe apne buray asraat chooray. Jahan tak meri nakus akal kaam kerti he mein samajta hoon ke Gold jisay dekh ke loogon ki baachein khul jaati hein is ne insaan ko kabi itna faida nahi pohanchaya jitna is ne nuksaan pohanchaya he. Kitne laakh larkiyaan hoon gi jo Gold ke na honay ki waja se un ki shadiyoon mein halal paray, deeriyaan huein aur shayad kai larkiyaan to shadiyoon se bhi mehroom reh gaein. Almiya yeh he ke hamein moaashra nazar aata he, deen nahi. Deen ki taraf moun kerte hi hamari aankhon ke aagay puti bundh jati he.

    Islam miana-rawi ka ders deta he na ke dikhaway ka. Soonay ke zeewraat aik dikhaway se ziada kuch nahi hein. Akser loog is ka istamaal moaashray mein apni samaji hesiyat dikhanay ke liye kerte hein...doosray lafzon mein gold kisi ki hesiyat ko maapnay wala peemana bun gaya he...Ager fashion ke aitbaar se bhi dekha jaye to artificial jewllary gold jewlary se bhi ziada jazab-e-nazar hoti he..

    Gold ki rasam to hamary moaashray mein na-soor ki shakal ekhteyaar ker gai he...koon uthaye ga is ke khilaaf awaz, koon sub se pehlay is rasam ka sub se pehlay bycott karay ga..koon barish ka pehlay katra banay ga...is ka hamein intzaar he.

    Mein personally is tarah ke jewllary ke bilkul bhi haq mein nahi hoon jo insaani zinadagi pe her tarah se buray asraat hi muratab kerti he
    :thmbup:

    Comment

    • #3

      AOA,

      Yaqeenan bohat acha sawaal hai k gold larrki ko kion diya jata hai main apne N.W.F.P ki baat karoon ga yahan rawaaj kab se hai kahna moshkil ho ga kon kitna daita hai ye haisiyat k motabik hai lakin yahan larrke wale daite hain sona apni haisiyat k mutabik wo larrki ka haq tasawor kia jata hai yahan bohat kam daikhne main milta hai k larrke wale larrki ko sona na dain agar daikha jaye to ye baihter hota hai har aik k sochne ka andaaz mokhtalif hai aur uss ko haq hasil hai wo apni rahye ka izhaar kare mere khaiyaal se larrki ka khuab hota hai k uss k paas sona ho aur wo pahne kisi shadi baiya k mohkepe agar larrke wale de sakte hain to un ko daina chaye larrki wale jahaiz daite hain to larrke wale sona agar na hoon to donoon cheezain nain honi chayain.

      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment

      • #4

        Originally posted by munda_sialkoty

        Thx 4 the pasandeedgi!:)

        Wasey ager boys apni shadi k pehle ye ilaan ker dain k wo gal ko gold nahi koi or metal dain ge to mayb kuch sochain badaal jain per I think gals ko bazaat-e-khud kuch kerna chahiye!

        KHUSH RAHIYYE!
        Thx 4 ur comments
        WASALAM:salam:

        Comment

        • #5

          Originally posted by khan

          Walikum Assalam!

          Thx 4 the appreciation!

          Lerki khud q nahi samajhti????

          KHUSH RAHIYYE:salam:
          Thx 4 sharing ur opinion
          WASALAM!

          Comment

          • #6

            Mehere ji...aap ki sooch kabil-e-kader he.

            Almiya yeh he ke loog mazhat se ziada tradition, society aur culture ka khyaal rakhtay hein, mazhab ki ungli paker ke chalna to loogon ne seekha hi nahi aur na hi seekhna chahtay hein...lehaza kyoon na un cheezon ko seedhay raastay lagaya jaye jin ki loog ungli paker ke chaltay hein, i mean tradition. Humain apni tradition hi change kerne ki zaroorat he...loog without gold fakhar ke saath shadiyaan karein aur is cheez ko exposure diya jaye (jo ke aaj kul ke loog chahtay hein) through Media. Loogon ko inspiration ho aur loog dekha dekhi ya dikhaway ke toor pe hi is tradition ka khaatma karein. ager loogon ne is baray soochna shuru ker diya...step lena shuru ker diya to faraq per sakta he :)
            :thmbup:

            Comment

            • #7

              Thx Bhai!
              YES......Media buhat fascinating cheez hai hamare liye.......to isko acchi sense main fascinate kerna chahiye.....hum social values per kam n fashion/style/standard of living per ziada kaam ker rahe hain....
              ager hum apne culture ko hi khoobsoorat n simple bana ker logon ko dekhaain to log zaroor kuch seekhin ge.....
              so ye step lena chahiye......
              apko pata hai k aj kal hum mehndi itni zoor-o-shoor se q kerte hain 10/8 saal pehle q nahi kerte the?
              MEDIA KI WAJA SE........ab her TV Drama main mehndi k tradition main jo kuch add kia gaya aj wahi hamari mehndion main bhi hai....
              media ko chahiye zindagi asaan banai.....simple banai per.......:tauba

              Comment

              • #8
                Re: Mubahisa:Gold........Hamarey Darmiaan Itna Imp Q...?

                Originally posted by Me Here
                Walikum Assalam!

                Thx 4 the appreciation!
                Lerki ka haqq kia hai…….hum q nahi samajhte????
                Lerki khud q nahi samajhti????

                Lerki ka haqq pyar/muhabbat/tawajju hai…..sirf husband ki nahi balkey in-laws ki bhi…..or yahi lerki ka farz bhi hai…..to ye SONA q haqq tasawwur kia jata hai?

                Ye khuawb ghalt hai….100% wrong…..ye materialistic approach hai…ager lerki aise khwab sajae gi to zindagi main usko moral values ka kese pata chaley ga????wo to material k peeche doorey gi….usko pyar/tawajju ki khwahish hi na ho to wo yaqeenan de bhi nahi pae gi pyar n tawajju ……yuun wo ik nasl ko tabah karey gi
                Gals ko apna ye khwab badalna ho ga…..unhe 1st preference moral values ko deni ho gi……material aj hai or kal nahi per moral values always help u

                Main sirf itna kehna chahti hoon k jahez ya barii ( clothes/jewelry 4om groom side) main GOLD k hooney ko compulsory nahi hona chahiye or ye gold wala trend ab badalna chahiye…..
                Humin moral values per emphasize kerna chahiye material per nahii….

                KHUSH RAHIYYE:salam:
                Thx 4 sharing ur opinion
                WASALAM!
                AOA,

                Aap ka bohat shukria aap nain koch kahne ka mohka faraham kia aap nain bohat se sawalaat kar diye:) aap nain baat ki larki ko paiyaar khaloos o muhabaat darkaar hoti hai bila shuba aap nain theek kaha yahan haq mahair ki mad main sona ada kia jata hai jo yahan (N.W.F.P)ka reet rawaaj hai agar naslain tabha hoteen to pak k sadoor se lai kar har shohba e zindagi main namwar shkhsiyaat janaam na laiteen:) aap ki baat se ye itafaaq karta hoon k larki k wo haq nain diya jata jo islaam nain diya hai :) larki ki shadi k hawale se waldain aur ghar waloon ko bohat khadshat aur abhaam hota hai khuda na khawasta ahsa na ho waisa na ho go jidadat ayi lakin abi tak iss kadar nain k waldain ahsa qadam uhayain ye soch kareeban logoon ki hai yahan koch hain jo ahsi batoon ko acha nain jante aap ka bohat shukria:)

                Sohail Abbasi.
                Apna haq ada karo.

                Comment

                Working...
                X