Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Lakin Baat Hai Sochnay kee

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Lakin Baat Hai Sochnay kee

    Lakin Baat Hai Sochnay kee
    Attached Files

  • #2
    Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

    Good one Khurram
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

      Walikum Assalam!

      Yahan ghareeb awaam kabhi serdi se kaamp ker marti hai kabhi bhook se lakin siyasatdaan sakoon se rehte hain

      GHAREEB GOVT. AMEER RIYAAYAA

      Q k her kise ne apni qabar main soona hai to apne level per zaroor acchai Karin or burai se rookain!

      KHUSH RAHIYYE:salam:

      Comment

      • #4
        Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

        Bohat khoob khuram...yeh bohat aam si baatein hein lekin pakistan ki mo'ayeshat, aur is ke kawaneen ko dheemak ki tarah chaat rahi hein. ager hum Pakistan ki asaas per nazar dooraein to ham yeh bakhoobi dekh saktay hein ke pakistan mein jo bhi syasat-daan aaya us ne mulk ko khaya...yeh to Allah Taalah ki koi khaas karam nawazi he ke pakistan ub tak salamat raha. Pakistan ki awaam bhi is kaar-e-khair mein khush khaas peechay nahi rahi, jisay bhi jub bhi koi mooka mila kisi na kisi tarah se pakistan ki tehreeb-kaariyoon mein zaroor malawis rahi.

        Yahan mein yeh kehna chahoon ga ke awam ko jese chalaya jaye awam chalti he. Zaroorat sirf aik khalas leader ki he...ager mein us leader ko dictator ka naam doon to ziada acha ho ga. Hamein aisa jamhoori nazam nahi chahiye jis mein her faisla kuch le aur kuch de ki bunyaad per ho. Hamein aik aisa haakim chahiye jo sirf Allah ki raza ke liye aur is mulk ki taraki-o-salamti ke liye az ser no kaam karay. Yahan pe mujay aik kool yaad aa raha he aap se share kerna chahoon ga.

        Ager shairoon ke jund ka serdaar bakri ho gi to wo shairon ko bhi bakri bana de gi
        Aur ager bakriyoon ke jund ka serdaar shair ho ga to wo bakriyoon ko bhi shairoon ki tarah hi laraye ga.

        Hamein aik shair ki zaroorat he.
        :thmbup:

        Comment

        • #5
          Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

          Originally posted by Me Here
          Walikum Assalam!
          App ko` bi `walikum as salam

          Originally posted by me here

          Ap buhaat accha topic le ker ai hain……!
          1stly ye k reality ko reality samajh ker usko face kerna chahiye……kuch log kehte hain k Pakistan se itni mohabbat hai k hum iskey against na sun sakte hain na bool sakte hain unki mohabbat apni jaga…..per jab tak ik cheez k weak points ko hum mehsoos na ker lain unhe door kese ker sakte hain?
          mehsoos kareen and `dor bi `kareen `lakin` dandora peet ker apney app ko badnam kernay key ilawa app ko kia milay ga

          baat to yeh hay key app borai `ko rokeen na key us `ki tasheer` kareen

          Originally posted by me here

          Pakistan se mohabbat main aqal ka taqaza hai k weaknesses ko jaan ker unhe door kia jae…..!
          beshak app app `ko bat samj ai hay :D

          Originally posted by me here

          Pakistan ki weakneses ki barii waja yahan k statemen hain…..jo politics main apni merzii se aise changes kerte hain jo unkey liye faidamand h`oon beshak Pakistan ko us se nuqsaan ho rahaa ho…..
          Statemen k hi expenditures poorey nahii hoote…….to ghariib awaam ka kon o`r kab koi sooche ga?
          ``
          Hamaare siyaasatdaan araam talab hain……jo araam se beth ker aaish-o-ishrat se zindagi basar ker k dunya se jana chahte hain or unka zindagi ka maqsad bhi yahii hai……
          Ager history utha ker dekhii jae to pehle k jo siyasatdaan the jo sahee sense main siyasatdaan the…..wo araam talab nahii the jesa k PROPHET SAW k time main……CALIPHS normal zindagi guzarte the……sab logon jesi us main koi aaish-o-ishrat nahii thi…..PROPHET SAW ne khud bhi aise hi simple life guzaari……or iska hi lesson dia…..
          Yahan ghareeb awaam kabhi serdi se kaamp ker marti hai kabhi bhook se lakin siyasatdaan sakoon se rehte hain

          GHAREEB GOVT. AMEER RIYAAYAA
          Anyways……awaam bhi ise liye loose hai or apne hisse ka kaam nahi kertii q k mulk jin haathon main hai wo her cheez se be-khabar bethey hain…..

          Ik ghar main authority usually PARENTS k paas hooti hai or FATHER dominate kerte hain whole family ko……ager ik Father khud kuch follow na karey to wo apne bachoon ko bhi kuch nahi siikhaa pata……..q k jin k paas authority hai pehle un se hi xpect kia jata hai……
          Similarly siyasatdaan hi jab thik se rules follow nahi Karin ge…….to awaam kese karey gi?
          Or siyasatdaan tab tak sahee nahi ho sakte jab tak ISLAM ko follow na ker lain………but no 1 bothers…

          Per being good muslims n citizens humin apne hisse ka kaam zaroor kerna chahiye ager govt per depend kia to hum apne hisse ki neeki se bhi jaain ge……
          Q k her kise ne apni qabar main soona hai to apne level per zaroor acchai Karin or burai se rookain!

          KHUSH RAHIYYE:salam:
          mein` to itna hi kahoon ga `key ahadees key `motabik jis `tarah` ki awam hoti` hay` usi tarah key` ukmaran` un` per `nazil` ker deya jatey haan

          second mera key board mal functioning `ker `raha `hay `is `leya detail ba`ad main `kabi
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment

          • #6
            Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

            Originally posted by filbahere
            App ko` bi `walikum as salam

            mehsoos kareen and `dor bi `kareen `lakin` dandora peet ker apney app ko badnam kernay key ilawa app ko kia milay ga

            baat to yeh hay key app borai `ko rokeen na key us `ki tasheer` kareen

            beshak app app `ko bat samj ai hay :D

            mein` to itna hi kahoon ga `key ahadees key `motabik jis `tarah` ki awam hoti` hay` usi tarah key` ukmaran` un` per `nazil` ker deya jatey haan

            second mera key board mal functioning `ker `raha `hay `is `leya detail ba`ad main `kabi
            DHINDOORA peet'na iskoo nahi kehte....
            ise apni ghaltiion ko saamney rakhna kehte hain
            jab tak ap apni ghaltiion ko jaanin ge nahi tab tak unhe sahe kese karin ge

            REALITY ko face kerna chahiye....
            or REALITY insaan ko buck-up or passionate kertii hai......
            jab tak hamare samne hamaari ghaltiaan nahi hon gi hum sahee nahi ho sakin ge.....

            thatz y maine kaha k apne level per acchai karin........

            keyboard ne bhii maan lia k Me Here sahee keh rahii hai:D :D :D

            Comment

            • #7
              Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

              Mujy to hunsi aati han aisi batian parr ker..

              Comment

              • #8

                hmm pakistani hamesha sey yahi kertay ayeh haan
                apni borai and dosron` ki achai
                ab dunia main` dehkain` hamara image kia ban`chuka hay

                india kia hmm sey agey haan`
                india ko chorian app europion` countries even` america main` dehkain`
                wahan` kitni` gandagi hay
                lakin` un` ko to koi bora naeen` kehta

                hmm ko is leya bora wo boltey haan` key dehko yeh to khod kehtay haan` key pakistan` bora hay
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment

                • #9
                  Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                  Originally posted by Khalil
                  Mujy to hunsi aati han aisi batian parr ker..
                  is main hasney ki kia bat hai?

                  Comment

                  • #10
                    Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                    Originally posted by Khalil
                    Mujy to hunsi aati han aisi batian parr ker..
                    yehi to problem hay key esi batoon` per rona` ana chayeh
                    jab` key app ko hansi ati hay
                    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                    Comment

                    • #11
                      Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                      Originally posted by filbahere
                      hmm pakistani hamesha sey yahi kertay ayeh haan
                      apni borai and dosron` ki achai
                      ab dunia main` dehkain` hamara image kia ban`chuka hay

                      india kia hmm sey agey haan`
                      india ko chorian app europion` countries even` america main` dehkain`
                      wahan` kitni` gandagi hay
                      lakin` un` ko to koi bora naeen` kehta

                      hmm ko is leya bora wo boltey haan` key dehko yeh to khod kehtay haan` key pakistan` bora hay
                      kon kehta hai european countries ko accha?
                      kon kehta hai india ko accha?
                      per PAKISTAN ko hum burra nahi kehte..........hum kehte hain k apni soch sahee karo...sirf baatin nahi karoo...kuch kaam karo......hardworking hoo jaao......susti n araam talabi se kuch nahii hoo ga......

                      eurpeon n weatern countries developed hain or ye unki acchai hai per ye acchai un main KAAM KERNE SE AAI.......to doosroon ki ACCHAI n BURAAI se humin seekhna chahiye.......

                      Comment

                      • #12
                        Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                        Originally posted by filbahere
                        yehi to problem hay key esi batoon` per rona` ana chayeh
                        jab` key app ko hansi ati hay
                        apko aj kisey se maar parii hai???:budhu:

                        Comment

                        • #13
                          Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                          Originally posted by Me Here
                          kon kehta hai european countries ko accha?
                          kon kehta hai india ko accha?
                          per PAKISTAN ko hum burra nahi kehte..........hum kehte hain k apni soch sahee karo...sirf baatin nahi karoo...kuch kaam karo......hardworking hoo jaao......susti n araam talabi se kuch nahii hoo ga......

                          eurpeon n weatern countries developed hain or ye unki acchai hai per ye acchai un main KAAM KERNE SE AAI.......to doosroon ki ACCHAI n BURAAI se humin seekhna chahiye.......
                          app pir baat ko naeen` samjeen
                          kehnay ka maqsad yeh hay key
                          kam na` kerna, sirf bateen` kerna , yeh sirf Pakistan` ka masla naeen` hay
                          umomi tor per yeh pori dunia ka aj masla hay
                          is leya is key khilaf jab baat ki jaeey to country ko beej main` naeen` lana` chayeh key Pakistan hay tabi yeh kuch hay.
                          is ko majmoi andaz main` bi` kaha jata hay

                          lakin is baat ka khial naeen `rakha jata you can see....
                          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                          Comment

                          • #14
                            Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                            Originally posted by Me Here
                            apko aj kisey se maar parii hai???:budhu:
                            apney mulk ka mazak `urtay jab main sunta hoon key dehko hmm kia bora kaheen` tumharey `to apney country` waley us ko accha naeen` samjtey to mera dil khon` key anso rota hay
                            People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                            Comment

                            • #15
                              Re: Lakin Baat Hai Sochnay kee

                              Originally posted by filbahere
                              app pir baat ko naeen` samjeen
                              kehnay ka maqsad yeh hay key
                              kam na` kerna, sirf bateen` kerna , yeh sirf Pakistan` ka masla naeen` hay
                              umomi tor per yeh pori dunia ka aj masla hay
                              is leya is key khilaf jab baat ki jaeey to country ko beej main` naeen` lana` chayeh key Pakistan hay tabi yeh kuch hay.
                              is ko majmoi andaz main` bi` kaha jata hay

                              lakin is baat ka khial naeen `rakha jata you can see....
                              Pakistan developing se developed country miley to sabko hi khushi hoo gi jo REALITY ko saamne rakh ker iski weaknesses door kerna chahte hain unhe bhi or jo collectively isko samne se hata ker mistakes door kerna chahte hain unhe bhi.....:)

                              per mera nazarya yaahi hai k jab PAKISTAN ko represent kerne ka moqa ai to buhat acche tareeqe se represent karo jese is se ziada developed koi country nahi hai......per jab baat PAKISTAN ki taameer ki ai.....to ik ik point saamney rakh ker individual level se collective level tak isko thiik karo......
                              or burai ka hona koi BURAI nahi hai........acchai/burai her jaga hooti hai per BURAI ka BURAI REHNA ghalt hai isko door hona chahiye......

                              hope u've got me now?

                              Comment

                              Working...
                              X