Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shaadi ke baad ??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Shaadi ke baad ??

    Assalam O Aliukum,

    I m here again .. hehe ...
    woteva comin to ma mind ..
    i m askin u all n sharing my thoughts wid u here..
    hmmm ..

    so wat u guys... think abt a married couple life??

    aik married couple ko family mein (in-laws/susral) mein
    hi zindagi bitaa deni chahye wahin ke rules regulations ko apna-na chahye?

    yaa

    aik married couple mein itni power honi chahye aur unhen itni encouragement milni chahye ke wo
    separately apni life sakoon se bitaayen ??
    apni marzi se sab kuch karen ??

    wot u guys think abt it ???

    dono soorton mein
    good n bad effects zaroor wazih karen...
    ll be okay wid examples also...


    13
    shadi ke baad couple ko family(parents/everybody) ke saath rehna chahye?
    76.92%
    10
    shaadi ke ba'ad couple ko separate aik hi city main rehna chahye?
    23.08%
    3
    shadi ke ba'ad couple ko separate door kisi aur country or city mein rehna chahye??
    0.00%
    0

    The poll is expired.

    Visit My Early PS Work
    You Are Welcome To Comment

  • #2
    Re: Shaadi ke baad ??

    mere khyaal se shadi ke baad couple ko family mein rehna chahiye...is tarah us larki ki apne saas suser se coordination bhi paida ho gi aur muhabat bhi...usay apni deewaron aur nandon se bhi baat cheet ka mooka milay ga aur wo bhi apne aap ko us ghar ka hissa samjay gi...kuch saal couples ko joint family mein zaroor guzarnay chahiye...lekin waqt ke saath saath her cheez mein tabdeeli aati he...shower ke bhai behan shadi shuda ho jatay hein...aur phir aik naye ghar ki zaroorat perti he...it is the time to get separate from the joint family peacefully...aur ub yeh couple apni merzi se jo chahay karay...but still they shouldn't isolate themselves from their families...they should visit their families atleast once in a weak.
    :thmbup:

    Comment


    • #3
      Re: Shaadi ke baad ??

      joint family main saas susar tak to theek hai ...baki jo poora tabbar sath rehta hai woh i don't like :tauba
      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

      Comment


      • #4
        Re: Shaadi ke baad ??

        Originally posted by Aanchal
        joint family main saas susar tak to theek hai ...baki jo poora tabbar sath rehta hai woh i don't like :tauba
        Tubber se zindagi banti he janat bhi jahanam bhi
        Yeh saas suser apni fitrat mein na noori hein na nari hein :bhago:
        :thmbup:

        Comment


        • #5
          Re: Shaadi ke baad ??

          It depends ......... ke ous family mei already kitney members hai ager kuch barey bhai hai jo already married hai aur oun ke 2-3 bachey bhi hain to wo family to already ek bara tabaar hai :tauba :tauba :tauba :tauba ........... aisi bari joint families mei nok jhok to phir very natural hai ...

          laikin ager family mei already kam afrad yani saas, sasur aur koi ek do behan bhai hain then the best thing i sto live with joint family ..kiu ke wht ever it is after getting married you dont only need a husband :tauba ....... maan baap behan bhai ki kami saas sasur dewar nanad kuch hadth tak to poori kertey hain na .
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Shaadi ke baad ??

            joint family............voted...:thmbup:

            Comment


            • #7
              Re: Shaadi ke baad ??

              joint family system is the best system

              western media ki aik aur kohsish yeh bi hay key logon ko un key waldein sey dor kia jaeey , old people ko old houses main sarney key liya bej dia jaeey

              keeon key wo log jealous hotey haan , pakistan main logon ko apney waldein key sath rehtay dehk kar

              joint family ka sab sey bara faida yeh hay key gher key kam easily divide hotey haan , mohabat bharti hay .

              yeh aj kal ki modern and islam sey dor larkion ka shok hay key angrezoon ki nikali kerty hoey aleda kerna and waldein ko old houses main dhaka dey dena

              and i hate living seperately
              i love my joint family
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment


              • #8
                Re: Shaadi ke baad ??

                Originally posted by Aania
                Assalam O Aliukum,

                walikum as Salam
                Originally posted by Aania

                I m here again .. hehe ...

                koi bat naeen khe khe khe....
                Originally posted by Aania
                woteva comin to ma mind ..
                i m askin u all n sharing my thoughts wid u here..
                hmmm ..

                so wat u guys... think abt a married couple life??


                koi bat naeen hota hota , mind main aksar is tarah key khelaat atey haan
                hmm
                married couple life..........

                :mm:
                Originally posted by Aania

                aik married couple ko family mein (in-laws/susral) mein
                hi zindagi bitaa deni chahye wahin ke rules regulations ko apna-na chahye?

                ofcourse jin waldein and behn bahion ney itna bara kia hota hay kia un key sath zindagi guzarna muskil hota hay kia
                ager itna hi muskil tha to shadi sey pehlay keeon naeen chor detay .

                acchay , friendly and loving log her tarah key regulations ko mohabat sey apni marzi main convert kerwa letay haan


                Originally posted by Aania

                yaa

                aik married couple mein itni power honi chahye aur unhen itni encouragement milni chahye ke wo
                separately apni life sakoon se bitaayen ??
                apni marzi se sab kuch karen ??


                yeh power sey app ki kia morad hay .

                yeh to sara sir zeati hay . and selfishness hay key jab tak insan apney parents and other family memebers per dependent tha to un ki kamayi per esh kerta raha , jesay hi shadi hoi fori tor per bewi ki bazo main bazo dali and alag jaga ko chal dia , yeh sochey samjeh bager key koi aur ab us per dependent ho sakta hay .

                really selfish hotey haan wo log jo esa kertay haan
                wasey main ney life main dehka hay key jo log esa kertay haan wo kabi kush naeen rehtay .


                Originally posted by Aania

                separately apni life sakoon se bitaayen ??
                apni marzi se sab kuch karen ??


                to joint main kon un ko rokta hay key apni mazi sey kuch na kareen
                kia joint family main sakoon naeen hota

                kia akelay reh ker wo sakoon hasil ker lain gaeeen

                shame on them jo key is tarah sochtey bi haan

                Originally posted by Aania

                wot u guys think abt it ???

                dono soorton mein
                good n bad effects zaroor wazih karen...
                ll be okay wid examples also...

                sab kuch to likh dia hay aur kia likoon :D
                People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                Comment


                • #9
                  Re: Shaadi ke baad ??















                  Ok na?

                  Ur parents need u

                  Comment


                  • #10
                    Re: Shaadi ke baad ??

                    ...
                    Attached Files
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Shaadi ke baad ??

                      Originally posted by Masood
                      ...
                      asalamoalikum

                      berdash kernay walay ko ager kumhimut samujh ker itna berdash kerwaae jo wo ker na sake pher aap kia khae gai?? . ziyaadty loog us ke sath kerte hai jis ka un ko pata hoo ke koee us ke pechay bolne wala nhai hai,

                      Comment


                      • #12
                        Re: Shaadi ke baad ??

                        Originally posted by arusa
                        asalamoalikum

                        berdash kernay walay ko ager kumhimut samujh ker itna berdash kerwaae jo wo ker na sake pher aap kia khae gai?? . ziyaadty loog us ke sath kerte hai jis ka un ko pata hoo ke koee us ke pechay bolne wala nhai hai,
                        Agree - aap aik khali glas main pani bharein to kab tak pani bhartey jaein gey, aik waqt mein pani kinaron sey girna shuru kar dey ga. Isi tarha bardasht bhi hoti hai, agar kisi ko us key zabt sey ziyada aazmaya jaey to woh baghawat kar deta hai. Aankhon dekha haal hai keh saal-ha-saal ki bardasht key baad jab paimana labrez hota hai to phat jata hai.

                        Yahan per jis bardasht ki baat ki gaee hai woh yak'tarfa nahin, balkey do'tarfa hai - agar dono taraf sey ho gi to koi kisi ko uskey zabt sey ziyada nahin aazmaey ga :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: Shaadi ke baad ??

                          Originally posted by Masood
                          Agree - aap aik khali glas main pani bharein to kab tak pani bhartey jaein gey, aik waqt mein pani kinaron sey girna shuru kar dey ga. Isi tarha bardasht bhi hoti hai, agar kisi ko us key zabt sey ziyada aazmaya jaey to woh baghawat kar deta hai. Aankhon dekha haal hai keh saal-ha-saal ki bardasht key baad jab paimana labrez hota hai to phat jata hai.

                          Yahan per jis bardasht ki baat ki gaee hai woh yak'tarfa nahin, balkey do'tarfa hai - agar dono taraf sey ho gi to koi kisi ko uskey zabt sey ziyada nahin aazmaey ga :)
                          lakin aap is baat se bhe itifaaq kare gai ke hamarai society main berdasht sirf lurki ko kerna perta hai kion ke us ka gher badulta hai doosray loogo ke bech main rehna perta hai lakin lurkay ke lia kuch change nhai hoota same family members hote hai or wo yeh sonch bhee nhai sukta ke khud us ki apni family ke loog jin ki merzy or khooshy se us ki shaadi hoee hai wo khood us ke samne or pechay us ki wife ke sath double behave kare .tu yaha ager lurki berdasht na kare or husband se kuch khenay ki koshish kre tu us ki bewaquffi hoogi kion ke 90% chances hai ke wo choop rahi ga ya belive nahi karega . ya pher luraee ??? tu hum khe sukte hai ke berdasht lurki ko hi kerna hai haa i think waaqt ke sath sath aap adjust kersukte hai apne aap ko ager husband aap ke sath hai or khood bhee understand kerne lagay situations ko.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Shaadi ke baad ??

                            With Family :) Voted :rose
                            Allah

                            Comment


                            • #15
                              Re: Shaadi ke baad ??

                              with family....i voted for that coz...... its fun living with family...you get to have loads of support arround when you need it.. you dont do any of the house work on your ownor hire a maid to do things for you.....when you live alone with you hubby or wife....you run out of thingsto sayto eachother.. in a famliy you can have loads of people to talk to ....always keeping busy.. when you are alone you tend to get bored easly...its like when you arent with famliy you are cut out from improtant famliy matters... its like youhave a life of your own....:ghug: :salam:

                              Comment

                              Working...
                              X