Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

    Assalamalikum

    aaj jo topic hai us main yeh hai kay kia suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?
    sirf han ya na main nahi balkay apnay jawabat dalail kay sath daian ..:salam:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

    zeada tar dekha h k nahi.lekin kahin kahin koi achi misal bhi mil jati he.meri aik cousin is ki misal he jis k 2 sotele kids hen n wo un ke sath bohat achi he or is baat ka pata yun chalta he k wo kids meri cousin se bohat attach hen or bachon ka rawaya btata he k wo apni step mother k kitne kareeb hen,un ki apni asli mother ki death ho chuki he.lekin soteli mother bohat sari zalim bhi hoti hen is ki bhi misalen milti hen or achi step mother ki nisabt zeada buri ki misalen samne ati hen.

    Comment

    • #3
      Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

      Walikum Assalam Aanchal!

      It depends upon the personality n the mentality of the women
      Ager ik women ki mentality +ve ho to wo apne step bachon ko apney saggey bachon ki tarah rakhe gi lakin ager uski mentality main jealousy ka ansar shamil ho ya wo difference karey apne babies main to suteli maan acchi nahii hooti

      Step mothers ko koshish kerni chahiye k wo step babies ko bhi saga samajh ker rakhin main gurantee deti hoon k wo babies bhi apni step mother ko saggi mother samjhin gein q k bacche chahe jitney bhi barey ho jain jab pyar milta hai to wo honest or acche ho jatey hain so step mothers ko khiyal rakhna chahiye

      Main ne ik step mother dekhi hain jo buhat acchi rahi hain apne step babies k sath bhi!

      KHUSH RAHIYYE Aanchal!:rose

      Comment

      • #4

        main nay to aaj tak aik bhi achi step mother nahi deekhi ...woh sagi maa ki jaga to nahi lay sakti lekan han aik achi sooteli maa ban sakti hain agar banna chaian to lekan banti hain nahi...
        kuch aisi hoti hai husband kay samnay bachoun say peyaar kar laiti hain jab woh na houn to sooteloun wala rawwaya apna laiti hain ....

        jab aisi aurtoun ko husband kay bachoun say peyaar nahi hota to shadi karti kayoun hai aisay admi say jin kay pehlay say bachay houn?
        Last edited by .; 22 April 2006, 08:04.
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment

        • #5
          Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

          Originally posted by Me Here

          Dee Dee tum siyani hoti jarhee hoo :phool:
          That's Enough...!!

          Comment

          • #6

            Originally posted by Aanchal
            main nay to aaj tak aik bhi achi step mother nahi deekhi ...woh sagi maa ki jaga to nahi lay sakti lekan han aik achi sooteli maa ban sakti hain agar banna chaian to lekan banti hain nahi...
            kuch aisi hoti hai husband kay samnay bachoun say peyaar kar laiti hain jab woh na houn to sooteloun wala rawwaya apna laiti hain ....

            jab aisi aurtoun ko husband kay bachoun say peyaar nahi hota to shadi karti kayoun hai aisay admi say jin kay pehlay say bachay houn?
            Nahin Aanchal aisa nahi hai

            Aurat k barey main kaha jata hai k ager acchi ho jai to us se MEHERBAAN koi nahi or ager buri ho jai to us se ziada BHIYAANAK (fisad kerwane wali) koi nahi

            Comment

            • #7
              Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
              Dee Dee tum siyani hoti jarhee hoo :phool:
              Thx Bhai :lpop:

              Comment

              • #8
                Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                mery khiyal main bhi ME HERE ny saheeh kaha hy kiuonk maan ki mamta aik jazba hy aur wo jazaba saga ya sootila hony ka mohtaj naheen ....
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment

                • #9
                  Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                  Originally posted by Aanchal
                  Assalamalikum

                  aaj jo topic hai us main yeh hai kay kia suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?
                  sirf han ya na main nahi balkay apnay jawabat dalail kay sath daian ..:salam:
                  hmmm very nice topic aur iska jawab is baat per munahisr hai keh kaun sey halaat hain aur kaun hai. Amooman yehi kaha jata hai keh "maan wohi hoti hai jis ney janam diya hota hai" - lekin isi doran yehi bhi hai keh "janam deney wali sey paalney wali ka haq ziyada hai". Phir baat yehi per aati hai keh yeh aurat ki samajh aur bisarat per hai. Hamarey moashrey mein jahan bohat sari kharabiyan hain wahan per aik yeh bhi hai keh ham doosron ko bachon sey aik ajeeb si doori rakhtey hain khaas kar jab unhein apnaney ki baat ho. Lekin is mein bachon ka kya qasoor hota hai? Bachey to bachey hain jinehin Allah Tala ney masoomiyat dey ker pedah kiya hota hai. Maan wohi hoti hai jo apney aur soteeley bachon ko aik jaisa pyar dey - bohat si misalein aisi hain jahan aisa hota hai, aur bohat si aisi hain jahan aisa nahin hota

                  Lekin jaisey Me Here ney kaha, yeh aurat ki nature per depend karta hai.
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                    Originally posted by Me Here
                    It depends upon the personality n the mentality of the women
                    [/COLOR][/SIZE][/FONT]
                    to kia 90% aurtoun ki mentality kharab hai is mamlay main ????

                    hazaroun main koi aik achi maa ban jati hai ...baki vohi sootela pan deekhatai hain ..
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                      Originally posted by Me Here
                      Nahin Aanchal aisa nahi hai

                      Aurat k barey main kaha jata hai k ager acchi ho jai to us se MEHERBAAN koi nahi or ager buri ho jai to us se ziada BHIYAANAK (fisad kerwane wali) koi nahi
                      [/COLOR][/SIZE][/FONT]
                      han aurat hai aisi mehraban lekan sooteelay bachoun kay mamlay main aksar aik jasi hain ...buhat kam achi sabit hoti hain atay main namak kay barabar ..
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                        Originally posted by Aanchal
                        to kia 90% aurtoun ki mentality kharab hai is mamlay main ????
                        agar sanjeedgi say jawab dia jaiy to is ka jawab "haan" main he hai...!! kion kay aksar isay qabool nahee kar pateeN... laikin yahaan baat horhee hai kay unhain aisa karna chaheay !!, aur mery khayal main me here nay bhi yeh he kaha hai aur jinhoo nay taeed ki hai un ka matlab bhi yeh he hai ...
                        That's Enough...!!

                        Comment

                        • #13
                          Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                          Originally posted by Masood
                          hmmm very nice topic aur iska jawab is baat per munahisr hai keh kaun sey halaat hain aur kaun hai. Amooman yehi kaha jata hai keh "maan wohi hoti hai jis ney janam diya hota hai" - lekin isi doran yehi bhi hai keh "janam deney wali sey paalney wali ka haq ziyada hai". Phir baat yehi per aati hai keh yeh aurat ki samajh aur bisarat per hai. Hamarey moashrey mein jahan bohat sari kharabiyan hain wahan per aik yeh bhi hai keh ham doosron ko bachon sey aik ajeeb si doori rakhtey hain khaas kar jab unhein apnaney ki baat ho. Lekin is mein bachon ka kya qasoor hota hai? Bachey to bachey hain jinehin Allah Tala ney masoomiyat dey ker pedah kiya hota hai. Maan wohi hoti hai jo apney aur soteeley bachon ko aik jaisa pyar dey - bohat si misalein aisi hain jahan aisa hota hai, aur bohat si aisi hain jahan aisa nahin hota

                          Lekin jaisey Me Here ney kaha, yeh aurat ki nature per depend karta hai.
                          Nature acha bhi hoo us ka lekan sooteelay bachoun kay mumalay main aksar dandi maar jati hain ....

                          admi jab shadi kartay hain to unhay apnay bachoun ka pehlay souchna chaye kay un ka mustaqbil mehfooz karain pher doosri shadi karain ....
                          aksar mard pehli biwi fout hovi chaleesa hotay hi nai biwi lay yae kay bachoun ko sanbhlanay key leye maa laye hain ..or us aurat ki marzi jo karay sara ghar jo us kay qabzay main hota hai....

                          aik banday ka acha kushhaal gharana tha , govt ki job the buhat achi ..ghar main kafi pesa tha...un kay 3 bachay they ...chouti beeti peda hovi to un ki biwi fout hoo gai .............
                          rishtadaroun nay kaha shadi kar loo doosri ...or woh sahab fourn hi doosri begum lay aye ....un kay bachoun ko un ki chachi palti the sooteeli maa itna care nahi karti the ...un ki chooti baby bhi beemar hoo gai or fout hoo gai ...usay doodh sahi nahi dia jata tha .....baki 3 bachay bachay ....baap ghar pay hota to maa theek rehti us kay ghar say janay kay bad pher vohi sooteli ban jati ..........kuch arsay bad un ka baap bhi fout hoo gia ......
                          aaj woh bachay buhat ghareeb hain ..jin ka itna acha kushhaal gharana tha jab maa the un ki .....aaj ghar sooteeli maa or un kay bachoun kay qabzaye main hain .....govt ki taraf say pension bhi sooteeli maa laiti hai ....yeh bachay ab baray hoo gay hain lekan itni achi halat nahi hai ....un ka baap ghar hi un kay naam kar jata to un ka mustabil mehfooz to hoo jata ......doosri shadi karnay say pehlay mard ko apnay pehlay bachoun kay mustabil ka khayal kar kay hi pher shadi karnic haye ....
                          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                          Comment

                          • #14
                            Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                            Originally posted by aabi2cool
                            mery khiyal main bhi ME HERE ny saheeh kaha hy kiuonk maan ki mamta aik jazba hy aur wo jazaba saga ya sootila hony ka mohtaj naheen ....
                            hona to nahi chaye ....agar aisa hota to kia baat the :D:

                            par aisa hota nahi na!!
                            اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                            اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                            Comment

                            • #15
                              Re: kia Suteeli maa sagi maa ki jaga lay sakti hai ?

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                              agar sanjeedgi say jawab dia jaiy to is ka jawab "haan" main he hai...!! kion kay aksar isay qabool nahee kar pateeN... laikin yahaan baat horhee hai kay unhain aisa karna chaheay !!, aur mery khayal main me here nay bhi yeh he kaha hai aur jinhoo nay taeed ki hai un ka matlab bhi yeh he hai ...
                              ji me here nay kaha kay sab aisi nahi hoti ....i agreed...lekan aksar aisi hoti hain na ....or kayoun hoti hain ....

                              Working...
                              X