Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Islam aur Hum...!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Islam aur Hum...!!

    ---
    Attached Files
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: Islam aur Hum...!!

    Islam Dunya Ka Wahad MAzhab Hai jo Aaj b USi Soorat Mai Moujoud Hai jasa Aaj say 1400 saal pahlay apnay Aghaz Pay tha..
    NAbi SAW k dour mai Namaz 5 waqt ki thi aaj b hai,
    Quraan k 30 paray thay Aaj b hain,,
    Haj k b wahi tareeqa hai wasay hi 10 Zilhaj ko Ada kiya jata hai,
    Kalma b wahi hai,
    Zakat ka nizam b wasa hi hai,
    Rozay ab b 30 hain aor ramdan Mai Rakhay jatay Hain,
    2 Ediain Hain
    tu bhai ye tu Bunyadi batain thien jo manay nay kien hain.............Ye nahi na Badlay.....tu ISka Matlab Hai ISlam Nahi Badla...........ISlam ki Sorat wahi hai jo thi.........nabuwat k baad 13 saal k kalil arsa Mai Makkah Fatah Hota hai ,,,,,,,,,kuffar juke dar juke Islam mai Dakhil ho rahay hain,,,,,Aaj b asa nahi hai????
    Kia Kuffar Muslims ki barti hoi ta_adad say khofzada nahi hain???

    aik farq hai ..............Islam nahi badla............musalmaan badal gia hai..........US k andar say Roohay mUhammadi SAW nikal gai hai..Musalman aik chalti phirti laash hai.ye badla ha,roshan khyal ho gia haii,apna cha_hra mas_kh kar baitha hai.....
    tu Sawwal ye hai k ye kuffar phir kasay musalman ho rahay hain..????
    Quraan,Hadees Par k nabi SAw aor sahab-i- karam RA ki zindagi k mutaliya kar k abhi b lakhon ki tadad mai musalman ho rahay hain..
    ISKA matlab ISlam Wahi .....Ham nay apany axis pay move karna chor diya hai aor Khala mai bathak rahay hain...............

    ohuuuu...........Suriyya Say Zameen pay Asman nay Ham ko day mara
    Last edited by Say_lani; 20 April 2006, 09:45.
    Hamain Khabar hai K ham Hain churag Akhir shab
    ~~~HamaraY Baad Andaihra nahi Ujala Hai ~~~

    Comment


    • #3
      Re: Islam aur Hum...!!

      Originally posted by Say_lani
      Islam Dunya Ka Wahad MAzhab Hai jo Aaj b USi Soorat Mai Moujoud Hai jasa Aaj say 1400 saal pahlay apnay Aghaz Pay tha..

      bayshak Asal Deen-e-islaam taqayamat mojod rhay ga..
      laikin yahaan baat horhee hai kay hum loog islam ki tashreeh ghalat kion kartay hain, aur apnay mafad kayleay koi baat kion nikal laytay hain, jab kay haqiqatan aisa nahee hota ... ??
      Thanks 4 reply :rose
      That's Enough...!!

      Comment


      • #4
        Re: Islam aur Hum...!!

        Originally posted by Say_lani
        Islam nahi badla............musalmaan badal gia hai..........US k andar say Roohay mUhammadi SAW nikal gai hai..Musalman aik chalti phirti laash hai.ye badla ha,roshan khyal ho gia haii,apna cha_hra mas_kh kar baitha hai.....
        :thmbup: Agree, muslman badal gaya hai aur ghair mehsoos tareeqay say islam ko bhi badal rha hai matlab muslman deen ko apnay sanchay main dhaal rha hai na kay deen k sanchay main dhalay k...!!
        That's Enough...!!

        Comment


        • #5
          Re: Islam aur Hum...!!

          Jazak ALLAH aap ny nahayat hee umda topic per baat kerny ka moka dia hay..
          aur aap ny 100% theek fermaya hay k hum ny Islam ko apni zororat k mutabik dhahal lia hay...jaisa hum chahty hian waisa hee Islam hu..
          aur Quraan kee tafaseer k bary main to aap ny jo likha hay os per main gawah hun kiun k main ny kai tafaseer ka mutal'ia kia hay..
          aik aur baat kehta hay aur aik aur
          balky aab to yeh hay k aap aik Quraan Loo es main pory hawaly diy jaty hain k janab yeh ayat ka terjuma es aalam ny yeh likha hay aur os ny wo likha hay..
          aab banda kis ka tarjuma pary...
          ==============================================
          asal main hamari ba'd naseebi yehi sy shoro huti hay jab sy hum ny Quraan aur Sunnat (saw)ko Mashale Rah nahi banaya...
          ALLAMA Iqbal sahib kehty hain
          wo zamany main muha'zz thy musilman hu ker
          tum zalil khawar huy tarak e Quraan hu ker( theek tarah sy yaad nahi)
          Humain chayee to yeh k ALLAH k kalam ko samjny k liy khudh aarabic sekhy mager yeh hum sy nahi hu saky ga..
          lakin hum doseri fazool guftagoo per pata nai kity ghanty saraf ker sakty hain.

          Comment


          • #6
            Re: Islam aur Hum...!!

            Originally posted by Say_lani
            Quraan k 30 paray thay Aaj b hain,,
            sipary nahi thy balky sorat thee jiN main aik aik mukamal mazamin huta hay
            sipary to Khalifa haroon rashid ny banway thee jo k os ny tareekhi ghalti kee the

            Comment


            • #7
              Re: Islam aur Hum...!!

              Originally posted by Khalil
              Jazak ALLAH aap ny nahayat hee umda topic per baat kerny ka moka dia hay..
              mery khayal main Pegham bana he isi wajah say hai k hum yahaan par sanjeeda topic par khul kar behas karsakain.. :rose
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Re: Islam aur Hum...!!






                Zindagi ka asal maqsad hum se buhat door chala gaya hai or hum apney nafs k puujari log NAFS KI SEWA ko hi apna maqsad banai hoe hain or hamara sara focus nafs ki pooja per hi hai



                Hum asal main shetaan ko khud khuli choot dete hain k wo hamare zehnoon main ai or hamari sochon ko muntaashir kare

                Buhat accha topic tha bhai
                Hope mere points clear ho gai hon ge
                KHUSH RAHIYYE!:salam:

                Comment


                • #9
                  Re: Islam aur Hum...!!

                  ise bhi dekh lain apkey topic se milta julta thread hai!:)



                  http://www.pegham.net/showthread.php?t=4722

                  Comment


                  • #10
                    Re: Islam aur Hum...!!

                    Haali ka shair hai.....

                    basti ka koi had se guzarna daikhe....
                    Islam ka gir ke na ubharna daikhe.........
                    mane na kabhi maad hai jazer ke baad....
                    dariya ka jo humare utarna daikhe....

                    Aap ne jo likha woh hum ne padha aur is ki sirf aik wajah jo humari sumjh mein aayi hai woh yeh hai ke hum ISLAM ko as a MAZHAB daikhte hain jub ke Islam DEEN hai...aur aap yaqeen kijye jis din Islam as a deen accept ker liya jaye ga na us din yeh saare shikway dooooor ho jayenge....(Inshallah)

                    Comment


                    • #11
                      Re: Islam aur Hum...!!

                      reply karnay ka shokria me here n umeed ... :rose
                      main inshaAllah kal tafseeli reply karonga..
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Islam aur Hum...!!

                        Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                        reply karnay ka shokria me here n umeed ... :rose
                        main inshaAllah kal tafseeli reply karonga..
                        no tafseeli reply :na:, kisi k pass tumhari bakwas sun'nay ka time nahee :lol
                        That's Enough...!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Islam aur Hum...!!

                          Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                          no tafseeli reply :na:, kisi k pass tumhari bakwas sun'nay ka time nahee :lol
                          wait kerwa ker aisa nahi kehte bhai :na:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Islam aur Hum...!!

                            Originally posted by Me Here
                            wait kerwa ker aisa nahi kehte bhai :na:
                            wait karwanay par sorry..:embarasse, laikin likhonga phir bhi nahee :(, ab to soch rhaa hoon apna waseyat nama tayyar karlooN :lpop:
                            That's Enough...!!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Islam aur Hum...!!

                              Originally posted by ScorpioN_RulzZ
                              wait karwanay par sorry..:embarasse, laikin likhonga phir bhi nahee :(, ab to soch rhaa hoon apna waseyat nama tayyar karlooN :lpop:
                              itnii na-ummmidi q?
                              me ko chahiye reply warna u me here ko jaante hi hain na?dangerous cheez hoon:hathora

                              Comment

                              Working...
                              X