Depression, Stress, aur dunya jahan ki worries, yahi sab hai jiss ney Insaan ki zindagi itni sochon sey bhar di hai k wo kuch bhi aur nahi soch sakta hai. 99.9% cases mey in sabhi Alfaaz ka ta'aluk Insaan k mustaqbil k sath hai. Kal kya ho ga ? Agar aeysa na hua ? Agar waisa ho gaya? Bohot saarey agar aur bohot saarey Kyun? ... Akhir Kyun Insaan ki zindagi bas issi k gird ghoomney lagi hai? Kyun Insaan her cheez apney Ikhteyaar mey samajta hai? ya phir apney Ikhteyaar mey leyney ki koshish kerta hai? Ya phir aeysa hota hai k Insaan samajta hai k wo sab kuch khud theek ker raha hai, theek ker sakta hai, theek ker deyta hai. Issi liye wo samajta hai k uss k ikhteyaar mey hai lekin her cheez uss ki ikhteyaar mey nahi hoti hai aur phir aik waqt aeysa ata hai k wo apni saari energy bhi laga ley tau wo kuch bhi theek nahi ker pa sak raha hota hai, aik dam sey jab wo khud ko beybas dekhta hai tau uss sey apni beybassi bardasht nahi hoti, wo ye tasleem nahi ker pata k wo sab kuch theek nahi ker sakta hai aur result kya hota hai : Na khatam honey wala depression, zehni azziyat ? ...... Aur iss ka hal?
Quran Paak ki aik bohot pyari Ayat hai: ".... Hukum tau sirf Allah hi ka hai, Ussi per mera bharossa hai aur bharossa kerney walo.n ko Ussi per bharossa kerna chahiye" (Yusuf: 67)
Iss dunya mey sab kuch Allah T'ala k hukum sey hota hai, aur Allah T'ala apney bando.n ko sirf aur sirf behtareen a'ta kertey hain. Bando.n ka kaam sirf Shukur baja laana hai, balkey iss shukr baja laaney per bhi shukr ada kerna chahiye Uss Rab ka jiss ney hamien iss qabil banaya k ham uss ka shukur ada ker sakein.
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
No More ...!
Collapse
X
Collapse