Ye sara hafta mera sawalaat, soch, jawabaat, aur khawab dekhtey huye guzra hai. Ye poora week meri zindagi ka aik aur speed breaker tha, Jahan aap ruktey hein sochtey hein aur chal perhtey hein. Ye kuch seconds ka rukna kabhi minutes, din, haftey ya is sey bhi ziada ho jata hai. Pata nahi aap ki zindagyion mey speed breakers kis raftaar sey atey hein, aap wahan kitni deyr ruktey hein, kya sochtey hein, aur kaisey agey chal perhtey hein?
Mujhey aeysa lag raha hai jaisey mey kaheen kho gai hun, manzil ko paaney k liye jiss raastey ko mey ney muntakhib kiya tha uss sey bhattak gai hun, ye bha-takney ka amal bhi ajeeb ho ta hai, mey ney dekha hai k apney raston per chaltey huye kabhi jab meri tawujo rasstey sey hat ker kaheen aur muntaqil ho jati hai tau mey rasta bhattak jati hun, hosh mey tab ati hun jab rasta mukammal taur per bhattak jaoun, aur bohot saari bhool bhaliyon sey hotey huye phir sey apney matlooba raastey per pohanch jati hun..._______ baat manzil ki ho rahi thi_____mey ney itney raastey badl liye hein k apni manzil hi kho di hai, meyri saari sochein inhi raaston ki sujh bujh per lagi hui hein aur mey ye tak bhool gai hun k meyri manzil thi kya? itni efforts, itni mussafatein? mey ney kyun karein, itni mushqatein, itni peceedgiyan ..... kyun ? Aeysa kya kyun hua k meyri soch apni manzil per sey hat gai ?
wahi saarey sawal, wahi sab kuch aur kabhi tau apni Shanakht pe bhi sawal uth.tey hein________Mey kaun hun? kya ker rahi hun? kahan ja rahi hun? kyun ker rahi hun, kyun chali ja rahi hun? Bohot fursat sey sochney k baad
Mey apney raastey per wapas aa gai hun ...!
kabhi manzil ka pata nai hota tu kabhi raston ka
its all life i think
main apni thoughts kabhi iss tarhan nai likh pai:)