Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Adding Move To and Copy To to any file/folder

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Adding Move To and Copy To to any file/folder

    Asalam o alikum,

    Aaj aap sab doston kay liay jo registry hack lay kar hazir hua hoon, iss ki madad say aap kisi bhi file ya folder ko sirf right click ki madad say kahein bhi copy ya move kar saktay hain.

    1) Sab say pehlay aap Start>Run regedit likh kar enter karain

    2) Ab aap yahan par jian

    HKEY_CLASSES_ROOT->*->shellex->ContextMenuHandlers
    ContextMenuHandlers par right click karain aur New key bana lein iss ka naam Copy To rakhein, ab aap right plane mein Default par double click karain aur iss ki value mein yeh enter karain

    {C2FBB630-2971-11d1-A18C-00C04FD75D13}
    Issi tarah aap ContextMenuHandlers par phir say right click karain aur new key banaien iss ka naam Move To rakh dein, aur Default ki value mein yeh copy kar keh ok karain

    {C2FBB631-2971-11d1-A18C-00C04FD75D13}
    yeh ho jia files kay right click menu mein move/copy to option enable karna, issi tarah aap registry mein yahan browse karain

    HKEY_CLASSES_ROOT\Directory\shellex\ContextMenuHan dlers
    aur iss mein bhi Copy To, Move To ki new key bana kar default mein jo uper values hain wohi enter karain

    Ab agar aap kisi bhi file/folder par right click karain to aap ussay kahein bhi copy ya move kar saktay hain
    Last edited by pakgates; 22 April 2009, 11:52.


Working...
X