jane jana
tum tu kehti thein
janu! aap mere bache ho
mujh ko aisa lagta hai tum orh ke mere laho ko
mere badan main soye rehe ho
meri rooh ka nasha pi ker mere andher koye rehe ho
mere jism ka hi hissa ho
jane jana tum tu kehti thein
janu! aap mere bache ho
liken aise
jis ko main anchal ke goshon main tu chupa ker rekh sakti hoon
jis ko ankh ki putli main pinhan tu ker sakti hoon
is bache ko
Janu! aap ko
duniya ki nazroon main lana mumkin nahi
bara kathan hai
is dharti ki zalim resmain
sab jhagray aur sabhi masail
kab tasleem nahi hain mujh ko
liken jana
yeh batlao
kia koi maa
apnay bache ko sardi main
khuli hawa main weran sarak per
raat ki bheegi tanhai main
sun sun kerti hui hawa ke jhoonkon ke maqtal main
chor ke tanha
manzal wali roshon rah per chal sakti hai
kia koi maa
aisa b ker sakti hai
liken tum ne yehi kia hai
Jane jana....!