aise hambazm hain phir yaar-e-tarahdaar se ham,
Raat milte rahe apne dar-o-deewaar se hum.
Sarkhushi mein yunhe dil shaad o ghazalkhwan guzre,
kuu-e-qaatil se kabhi koocha-e-dildaar se hum.
Kabhi manzil, kabhi raste ne hamen sath diya,
Har qadam uljhe rahe qafal e salaar se hum
Hamse be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sadaa,
Warna waaqif thy har ik rang ki jhankaar se hum.
'Faiz' jab chaaha jo kuchh chaha sada maang liya,
Haath phaila k dil-e-bezar-o-deenaar se ham....!!
Faiz Ahmad Faiz