Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Gar mujhey iska yaqeeN ho

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Gar mujhey iska yaqeeN ho

    Gar mujhey iska yaqeeN ho
    mere humdum, mere dost
    gar mujhey iska yaqeeN ho
    ke tere dil ki thakan
    teri ankhooN ki udasi, tere seeney ki jalan
    meri diljooi, mere pyar se mit jaey gee
    gar mera harf-e-tasalli
    woh dava ho, jis se
    ji uthayy phir se tera ujda hoa bay-noor diyar
    teri paishanee se dhul jaiN yeh tazleel ka daagh
    teri beemar javani ko shifa ho jaey
    gar mujhey iska yaqeeN ho
    mere humdum mere dost
    rooz-o-shab, shaam-o-sehar
    maiN tujhey bhelata rahoon
    maiN tujhey geet sunata rahoon
    halkey sheereen
    absharoon ke, baharoon ke, chaman_zarooN ke geet
    amad-e-subh ke, mehtaab ke, sayyarooN ke geet
    tujh se maiN husn-o-mohabbat ki hikayaat kahooN
    jaisey maghroor haseenaooN ke barfaab se jism
    garm hathoon ki hararat se pighal jatey haiN
    jaisey ik chehrey ke Thaihrey hoey manoos naqoosh
    dekhtey dekhtey he badal jatey haiN
    kis tarah aariz-e-mehboob ka shafaf baloor
    yakbayak baada-e-ahmer se dekhak jata hai
    kaisey gulcheen ke liye jhuktee hai Khud jhuktee hai shaaKh-e-gulaab
    kis tarah raat ka aiwaan mehak jata hai
    yoonhee gata rahoon, gata rahooN, tere Khatir
    geet bunta rahooN, baiTha rahoo, tere Khatir
    par mere geet tere dukh ka madava he nahi
    naghma jarrah nahi, moonis-o-gum_Khuwar sahi
    geet nashtar to nahi, marham-e-azar sahi
    tere azar ka charaa nahi, nashtar ke siva
    aur ye safaak maseeha
    mere qabzey main he nahi
    is jahaN ke kisi zee-rooh ke qabzey maiN nahi
    haaN magar tere siva, tere siva, tere siva
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

Working...
X