phir hareef-e-bahaar ho baithe
jaane kis kis ko aaj ro baithe
thi, magar itni raaygaaN bhi na thii
aaj kuch zindagii se kho baithe
tere dar tak pahuch ke laut aaye
ishq ki aabroo dubo baithe
saari dunyaa se door ho jaaye
jo zaraa tere paas ho baithe
na gayi teri berukhi na gayi
ham teri aarzoo bhi kho baithe
Faiz hota rahe jo hona hai
sher likhte raha karo baithe
Faiz Ahmad Faiz
jaane kis kis ko aaj ro baithe
thi, magar itni raaygaaN bhi na thii
aaj kuch zindagii se kho baithe
tere dar tak pahuch ke laut aaye
ishq ki aabroo dubo baithe
saari dunyaa se door ho jaaye
jo zaraa tere paas ho baithe
na gayi teri berukhi na gayi
ham teri aarzoo bhi kho baithe
Faiz hota rahe jo hona hai
sher likhte raha karo baithe
Faiz Ahmad Faiz