Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

marz-e-laaElaaj

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • marz-e-laaElaaj

    yeh nazm mey ne aania ki nazm se muttasar ho kar likhi haijo kuch aisi hai,
    ye marz laaElaaj hai dawa karen tho kia karen
    mey aania ji se pehle muaafi chaahtha hun,un key sher ki infiraadiat apni jaga par hai lekin meri nazm tho sirf aik waqthi hansi mazaq hai.
    ye marz laaElaaj hai dua karen thoba karen
    tafsil apney hath se achah hai ke bheja karen

    hai elaj-e-qalb gar kuch saath aur bemaarian
    khhana pina khoob ho bus sher kam likha karen

    gar junoon ashaar aaya dosti ya ishq mey
    thhandey pani se nihana mujh se ye wada karen

    ik ghazal sone se pehle ik ghazal bus sham ko
    khoon-e-jigar ho saaf tho iss se siwa hum kia karen

    dua qabool-e-aam ho kuch rokhhrda bhi chahiyie
    bojh apney sir pe aap aur ziada naa karen

    gar baad me khaarish hui tho sirf maqtha arz ho
    aur quwwat-e-aadab ka bhi hosla pedaa karen


    more on public demand!
    Last edited by Mujahid Khan; 5 April 2007, 23:36.
Working...
X