Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee

    tamaam aiHbaab kee Khidmat meN kyuN Allah se shikwah jaa'ez samjhtaa jaa'ey aur gumrah lowgoN ko Hawaalah ke taur par pesh kiyaa jaataa hai, kis ne iss baat kee ijaazat iss mu'aashre ko de rakkhee hai aur kyuN ?

    tamaam SaaHib ilm o adab maahireen e shEr o suKhan se ek sawaal

    kyuN sune gaa tuu bhalaa abb mujh gaNwaar kee
    tuu kahe hazaar kee aur maiN bekaar kee
    tujh meN mujh meN farq hai kuchh istaraH kaa yaar
    tuu kare sunaar kee tow maiN lohaar kee
    shikwe gile meN rab se tuu ratbul lisaan hai
    yeh jaan le keh tuu ne zindagee Khwaar kee
    kyuN aajizee naheeN hai tujh meN ,aur Khushoo KhuZoo
    kee shakl e mominaaN bhee tuu ne iKhtiyaar kee
    khul jaa'eN tujh peh qudratoN ke beshumaar baab
    lafz e "kamee" tauheen hai parwardigaar kee
    kaamil yaqeeN kee shart hai laazim tuu sunn miyaaN
    jis ne lagaa dee ayeRh tow KhaNdaq hai paar kee
    kaafir butoN se apnee muraadoN ko paa gayaa
    momin Khudaa se joRe hai be aitbaar kee
    shikwah gilah shayetaan kaa shewah hai yaad rakh
    la'anat kaa tauq hai liye sazaa dhutkaar kee
    apne yaqeeN ko puKhtagee kee nehj tak pohNchaa
    yaa laa kisee walee se yeh daulat udhaar kee
    dhokaa "Khayaal" zindagee se khaa rahaa hai tuu
    maaNge KhizaaN se kis liye hai rut bahaar kee


    taalib e nazar
    Ismail Ajaz Khayaal

    Attached Files
    Last edited by Ismail Ajaz; 9 February 2011, 09:25.
    Ismail Ajaz (Khayaal)

    muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
    Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa
Working...
X