Choota jo tera hath to hum toot k roye.
Tum jo na rahe sath to hum toot k roye.
Chahat ki tamana thi aur zakham diye tum ne.
Payi jo ye soghat to hum toot k roye.
Imkan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka.
Dekhe jo ye halaat to hum toot k roye.
Anjan the hum ab tak dard ki surat se.
Hoi jo mulaqat to hum toot k roye.
Jeeti thi sada hum ne har bazi tere sath.
Tanha jo sahi mat to hum toot k roye.
Logon ne bht pucha sabab wirani-e-dil ka.
Jab ho na saki bat to hum toot k roye.
Thi dhoop bht tez har simt judai ki.
Barsi jo na barsat to hum toot k roye.
Zad min tha khizaon ki ab k dil-e-barbad.
Bichre jo shajar-e-paat to hum toot k roye.
Din bhar to rahe chup k duniya ki nazar thi.
Bheegi jo siyah rat to hum toot k roye.
Samjha tha sada tujh ko apna hi koi hissa.
Tukron min bati zat to hum toot k roye.
Hum karte rahe aaj talak us chaand ki khwahish.
Yad aayi jo auqat to hum toot k roye.