Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Jitna aya he tere bad nazar barish min.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Jitna aya he tere bad nazar barish min.





    Jitna aya he tere bad nazar barish min.
    Itna sunsan na tha pehle nagar barish min.



    Dhul gaya lamhon min salon ka para gard-o-ghubar.
    Ho gaye aur bhi sar-sabz shajar barish min.



    Tujh ko maloom nhi royi hoi aankh ka gham.
    Kar k dekho to kisi sham safar barish min.



    Kam to pehle bhi nhi tha magar ay bichre hoe.
    Barh gaya aur tere gham ka asar barish min.



    Har taraf aik udasi si utar ati he.
    Kisi zindan min dhal jata he ghar barish min.



    Ay alamnak ghataon use ja kar kehna.
    Takta rehta he koi janib-e-dar barish min.



    Is qadar rasmi he wo shakhs k bas hole se.
    Puch leta he janab aaj kidhar barish min ?






Working...
X