Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

tum meri bahon min the....!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • tum meri bahon min the....!!






    Un dinon.

    Jab tum the yahan.

    Andhere dekh kar tum ko jagmagate the.

    Murjhaye hoe phool bhi.

    Pal bhar min khil jate the.

    Bhanwron ki shararat tum se thi.

    Rangon min rang ghul jate the.

    Un dinon.

    Jab chand raton min pura sa dikhai deta tha.

    Jhilmilate taaron k labon par.

    Nam tumhara rehta tha.

    Banhon ko phelaye raste.

    Bas tum ko bulaya karte the.

    Manzil ka pata wo khud chal kar.

    Tum ko bataya karte the.

    Un dinon.

    Jab meri ghazlon ko.

    Tere geeton ki sargam milti thi.

    Jab mere dil ki ganga se.

    Tere dil ki yamuna milti thi.

    Hawaon ka aana jana tha.

    Teri zulfon ki dehleezon par.

    Aanchal min chupa kar rakhti thin.

    Tum ghanghoor ghataon ko.

    Na koi kami jeewan min thi.

    Jab tum meri bahon min the.

    Un dinon.

    Jab k tum the yahan…






Working...
X