Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Humen Tum Se Mohabbat He”!!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Humen Tum Se Mohabbat He”!!!


    Mohabbat aag he to phir.
    Meri rag rag min bharki he.
    Meri aankhen hen aik shoula.
    Meri sansen hen aik agan.
    Alao teri yadon ka.
    Mere dil min kahin roshan.
    Mujhe ab fikr he koi.
    Na hi gharz he is se.
    K teri yad min shab bhar.
    Wafa ka nam le le kar.
    Kahin hum khud jalte hen ya k deep jalate hen.




    Mohabbat yad he to phir.
    Mere dil min he yon raqsan.
    K hum ko fikr he koi.
    Na hi hosh he baqi.
    Faqat aik yad he baqi.
    Jo dil ki baanjh dharti par.
    Ashkon k sang baras jaye.
    To phir barsat ki lay min.
    Kahin aik phool khilta he.
    Hum us phool ki khushbu tumhare nam karte hen.
    Tumhari yad min aksar subah se sham karte hen.




    Mohabbat gar he samandar.
    To phir meri wafaon k.
    Sabhi gohar-o-sadaf us ki.
    Gehrai min baste hen.
    K mere dil min pala he.
    Ajab chahat ka ye sagar.
    Han jis ki aakhri had se.
    Sabhi thehre se jazbon ko.
    Yon hum-kinar karna he.
    Mila kar aankh ka dariya.
    Is behr-e-kinar ko.
    Be-kinar karna he.




    Mohabbat dasht he koi.
    To phir pairon min ab mere.
    Nhi he larzishen baqi.
    Mere pairon se uljhe hen jo ye raste sab hi.
    Mujhe tere junoon-o-shoq min.
    Aik safar la-haq he.
    K jis k mour par akhir mujhe bhatak hi jaana he.
    Aur yon hum aik tasalsul se.
    Teri janib rawan is aik musalsal hi safar ki.
    Bas ghubaar-o-gard hi thehre.
    K hum se khaksar to sehra-naward hi thehre.




    Mohabbat he gar koi khushbu.
    To phir hum sarkashi k aik numayan dayire min hen.
    K jis k ird-gird pheli ye tere lams ki mehkaar.
    Meri sanson min shamil he.
    Mere dil se nigahon tak kayi aarasta raste.
    Teri hi simt aate hen.
    Suhane geet gaate hen.
    Mujhe teri chahat min yon in ka saath hasil he.
    K mujh par ab nhi zaahir.
    Manzil he meri khushbu.
    K khusbu manzil he..




    Mohabbat khawab he koi.
    To phir khwabeeda ye aankhen.
    Kayi neendon k aik ghehre hisaar-e-sehar min hen qaid.
    Meri palkon pe hen bethe kayi hi an-ginat sapne.
    K jin ki manzilon k ab ameen tumhi to ho thehre.
    Humari khwab-nagri k makeen tumhi to ho thehre.
    So is ahd-e-mohabbat min.
    Nhi ab dar koi la-haq.
    Muqabil aandhiyon k in.
    Roshan sab chiraghon ki ab tabeer ho jese.




    Mohabbat gar fasana he.
    To phir inkaar he hum ko.
    K meri aankh min roshan tumhare nam k jugnu.
    Mere dil min darakhshan sab tumhari yad k pehlu.
    Meri sochon pe hawi wo tumhari qurb ki khushbu.
    Mere jazbon ki sachayi, wafaon k rang-o-lahu.
    Koi farzi kahani hen na hi afsana koi.




    Mohabbat aaina soorat.
    K jis min sabt hu-bahu aik aks-e-haqeeqat he.
    Mohabbat to mohabbat he.
    Kabhi dasht-o-samandar he kabhi aag ki soorat.
    Kabhi yadon ki khusbu kabhi khwab ki soorat.




    Magar ab raas hen hum ko.
    Mohabbat k sabhi mousam, mohabbat ki har aik soorat.
    K sab mansoob hen tujh se.
    Mohabbat k haseen raste.
    Mohabbat k sabhi dariya.
    Teri janib rawaan hen yon.
    K chahat k sabhi mousam.
    Kisi aik khaas nukte par.
    Khud min gum ho jayen.
    Sarapa tum ho jayen.




    Mohabbat tum hi thehre,
    Mohabbat gar tumhi thehre.
    To phir rahon min haail in.
    Bichre sab hi barson ki.
    Qasm he mere jazbon ko.
    K wo tajdeed kar daalen faqt itna hi keh daalen.
    "K kal bhi dast-e-ulfat ko aik matloob tum hi the.
    Ab bhi mere lafzon se bas maqsood tum hi ho.
    Kal bhi tum se thi poori meri be-had adhoori zaat.
    Ab bhi mere jeewan ki bas aik hi zaroorat he.
    Humen iqraar tha kal bhi.
    Humen iqraar he ab bhi.

    Humen Tum Se Mohabbat Thi.
    Humen Tum Se Mohabbat He”.


Working...
X