Saraapa e aziyat
Main saraapa e aziyat
Aur haiN daaman meiN mire kaante
Khushi ke phool main laaoN
Chun ke aakhir kis jahaN se
Talkh yaadoN ki haiN zanjeereiN ab har soo
Kaante hi kaante mere har soo
tum mohabbat ke matlaashi
aur hooN saraapa e nafrat
laaoN halaawat ke main gul
Chun ke aakhir kis jahaN se
Apne hi hisaar meiN yuN
Hui muqayad ke ab koi raah e faraar nahiN hai
TumheiN miri sangat ki
Aur saraapa e hijr hooN main
phool sangat ke main laaoN kis jahaN se
Rista lahoo dil ki in surkh deewaroN se
girta ho wo jharna jaise aabshaaroN se
ChahtoN ki barkha ho tum
Aur hooN saraapa e Vehshat
Dil ki narm laaoN mitti main
Chun ke aakhir kis jahaN se
Kar parastish tu na meri baad az khuda
De sakooN gi na main silla ke hoon be wafa
samjhe mujhe muqadas tum
aur hooN saraapa e haqaarat
yeh saheefe gulloN ke laaoN to laaoN
Chun ke aakhir kis jahaN se
Muqadar hua hai KANWAL ka bas yeh paani
phir talaab ho ya ho ashk e rawaani
Tum aman ke matlaashi hue aur
main saraapa e baghaawat
HaaN
Tum saraapa e murawat
Aur main saraapa e adaawat
Main sakooN ke phooL laaoN
Chun ke aakhir kis jahaN se