Hamesha piyar karney ka chalo iqraar kartey hain
Ekhattey jeeney marney ka chalo iqraar kartey hain
Safar kesa bhi ho, banhoun mein banhein daal kar kaatein
Hamesha saath chalney ka chalo iqraar kartey hain
Mohabbat mein miley sadma tou apne dil pe jheelenge
Kissi se kuch na kehney ka chalo iqraar kartey hain
Zamana tou hamesha he se dushman hai mohabbat ka
Zamaaney ko badalney ka chalo iqraar kartey hain
Tumhara mera raasta rokney parbat bhi aa jaayen
Pahaadoun se ulajhney ka chalo iqraar kartey hain
Nagar waley agar humko jaga koi nahi dengey
Tou phir jungle mein basney ka chalo iqraar kartey hain
Hum apne sehen ke phooloun ko murjhaney nahi denge
Khezaan ko qaid karney ka chalo iqraar kartey hain