Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

** Chamakti BhooRi Aankhain **

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ** Chamakti BhooRi Aankhain **



    [ NishaaT - E - Ghum ]

    December Ka Koi Yakh Basta DiN ThaMain

    Europe Ke Nehaayat Door Ufaadaa'

    ILaaiqe Ki
    Kisi Veeran Teeraa'n Gaah'

    Mein
    BiLkuL AkeLi Banch Per BeThi

    Thii
    ELaan - E - Safar Ki Muntazir

    Thii
    Jahaa'n Tak Aankh Sheeshe Ke

    Udhar JaaTii
    Udaasi Se GaLaY MiLTii

    MusaLsaL BarF-BaaRi Ho Rahi

    Thii
    Achanak Mene ApnaY Se MukhatiBBohaT

    Maanoos Ik Aawaz Dekhi
    Aap Kesii Hain?

    AkeLii Hain?
    GhhanaY BaaLon,

    Chamakti BhooRi Aankhon

    DiL-Nasheen Baato'n Se Pur
    Woh

    PuR-Kashish Ladka Kaha'n Hai

    Aap Dono'n KiTnaY AchhaY LagtaY ThaY !

    Mere ChehraY PaY Ik Saaya Saa Lehraya

    Tha Shayad
    Woh AagaY Kuch Nahin BoLa!

    Mera DiL Dukh Se Kesa Bhar Gaya Tha

    Magar Tah Mein Khushi Ki Laher Bhi Thii

    Puraane Log Abhi Bhoole Nahin Hum Ko

    Humein Bichhrde, Agar Che
    Aaj SoLa SaaL HogaYe!.................

    Poet : Parveen Shakir
    Book : Inkaar



Working...
X