Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~Abhi Kuchh Der Pehlay~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~Abhi Kuchh Der Pehlay~

    Abhi Kuchh derr Pehley

    Abhi kuch der pehley yaadon ke dukhi qafley guzrey thay
    Aarzoo aankh se beh rahi thi
    kuch jazbey merey ander dam torr rahey thay
    aur tumhari kathan tabiyat, meri zindagi ko rokey khari thi,
    abhi kuch der pehlay naheef umangein jaagi theen
    kabhi tumhari be-niaazi meri mohabbat ki qaael ho jaye
    jo qatra qatra umad raha hai, wo tera sahil ho jaye
    Abhi kuch der pehley umeedon ki kashtiyan
    samander key beech khari theen, ek ek kar ke doob rahi theen,
    baadbaan na koi sahaara
    shab ke musaafiron ko, deep na koi ista'aara
    abhi kuch hi der pehley saara manzar badal diya hai

    tooti ummeedon ko, majbooriyon aur dam torti adhoori khwahishon ko,
    hamesha hamesha ke liye sulaa diya hay.


    :rose
Working...
X