Salaam Kamal Hatvi sahab ka ek aur khoobsurat kalaam share karna chahungi...mujhe bahut pasand hai..shayad aap ko bhi pasand aa jaaye :)
Anjaam agar yehi hai to phir ibtida na ho,
Koi tumhari tarah kisi se juda na ho.
Manzil agar naseeb nahi hai to ai Khuda,
Main jis taraf badhau.n kadam, raasta na ho.
Khud par nigaah daale zamaane guzar gaye,
Darta hoon aaiine me koi doosara na ho.
Dono gunaah-e-ishq ke mujrim sahi magar,
Allah! uske vaaste aisi sazaa na ho.
Maayusiya.n kuchh aisi siwaa ho gayi.n ki bas,
Yu.n lag raha hai jaise kahee.n par Khuda na ho.