lab pay ek harf e talab tha, na raha teray baad
dil mein taseer ki khuahish na dua teray baad
aqs o aaeina mein ab rabt ho kia teray baad
hum to phirtay hein khud apnay say khafa teray baad
dil na mehtaab say uljha na jala teray baad
eik jugnu tha k chup chap bhuja teray baad
eik hum hein k hein bay berg o nova teray bad
werna abad hay sub khalq e khuda teray baad
eik qayamat ki kharaashein meray chehray pay sajeen
eik mehshur meray under say utha teray baad
tujh say bichra hoon to murjha k hawa burd hua
kon deta mujhay khilnay ki dua teray baad
milnay walay kai mafhoom pehen ker aae
koi chehra bhi na aankhoon nay perha teray baad
yeh alag baat k afshaan na hua tu werna
mein nay kitna tujhay mehsoos kiya teray baad
meri dukhtee hue aankhoon say gawahee lena
mein nay soocha tujhay apnay say siwa teray baad
seh liya dil nay teray baad malamut ka azab
werna chubhtee hay rug e jaan mein hawa teray Baad