PHIR BHI LARKIYAN ADHOORI BAATEIN KEHTI HI ACHI LAGTI HEIN..........!!!
adhoori baaton ki fiza mein
adhoori baaton ka maza
chale to kabhi ab-e-hayat jaisa, kabhi haak jaisa
kabhi khwabon mein azaab jaisa, kabhi azaab mein sawaab jaisa
kabhi barishon mein khiltey ghulab jaisa
kabhi khwahishon k behtey saraab jaisa
phir b larkiyan adhoori baatein kehti achi lagti hein
aankhein kholein to lafz na kholein
dil kholein to khayal na kholein
waswason k anjaan jaziron mein
kabhi rul jayein to deir talak na bolein
adhoori baatein, bewaja baatein, bekhayaal baatein
jo shuru ho kar kabhi khatam na hoon
aankh macholi khelein, gum na hoon
adhoori benaam baatein, beqarar baatein, beshumaar baatein
hamesha benaam nahi hotien, gumnaam nahi hotien
sukh ki chadar mein lipti larkiyan hamesha sukh kineend nahi sotien
khwahishon ki moun band kaliyan munafikat hi sarzameen par
chup chup rotien, aksar khul nahi patien
adhoori baaton mein dorhti chupti adhoori khawahish
magar adhoori batein sunnana hamesha achi lagti hein
jo aankhien dier tak nahi sotien, subha jalti hein
ek makaan k bech ek makaan bana kar is mein rehte
larkiyan pal pal mein sadiyon k anokhey dukh jheylti hein
phir bhi larkiyan adhoori baatein kehti achi lagti hein