phuul the baadal bhi thaa aur vo hasin suurat bhi thi
dil mein lekin aur hi ek shaql ki hasarat bhi thi
jo havaa mein ghar banaaye kaash koi dekhta
dasht mein rahte the par taamir ki aadat bhi thi
kah gayaa main saamne us ke jo dil ka mudd'a
kuch to mausam bhi ajab tha kuchh meri himmat bhi thi
ajanbi shaharon mein rahte umr sari kaT gai
go zara se fasle par ghar ki har raahat bhi thi
kyaa qayaamat hai "Munir" ab yaad bhi aate nahi
vo purane aashna jin se hamein ulfat bhi thi