Hijr k mosam main yeh barish ka barasna kesa,
Aik sehra sey samandar ka guzarna kesa?,

Aey mere dil na pareshan ho, tanha ho kar,
Woh terey sath chala kab tha, bicharna kesa?,

Log kehtey hain gulshan ki tabahi dekho,
Main to veeran sa jangal tha, ujarna kesa?,

Dekhney main to koi dard nahin, dukh bhi nahin,
Phir yeh aankhon main youn ashkon ka ubharna kesa?,

Be-wafa kehney ki jurrat bhi na karna us ko,
Us ney iqrar kiya kab tha, mukarna kesa?................