bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijye
kabhi aa ke mere zakhmon ka deedar kijye
ho jaaiye begaane aap shaquq se sanam
aapka humn aapka rahungee aitbaar kijye
padhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijye
na majboor kijye, k main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijye
in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijye
karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar kijye
phir sapno ka aashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khbardaar kijye
hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhooke hain hame pyaar kijye