Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~**muhabbatain Jab Shumaar Karna**~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~**muhabbatain Jab Shumaar Karna**~

    muhabbatain jab shumaar karna tu saazishain bhi shumaar karna
    jo meray hissay main aae hian wo azyatain bhi shumaar karna

    jalaye rakhon gi subha tak main tumhary raston main apni aankhain
    magar kaheen zabt tout jaye tu baarishain b shumaar karna

    jo harf loh-e-wafa pay likhay howay hain ,unko bhi daikh laina
    jo raa'eegaan ho gae wo sari abaartain bhi shumaar karna

    yeh sardiyoun ka udaas mosam keh dharkanain barf hogae hain
    jab in ki yakh bastagi parakhna tamaazatain b shumaar karna

    tum apni majburiyoun k kissay zarur likhna wazahaton say
    jo meri aankhon mian jal bujhii hain to khawahishain b shumaar karna
    :rosetujhay bhoul janay ki koshishain
    kabhi kaamyaab na ho sakien.....
    teri yad shakh-e-gulaab hay ......
    jo hawa chali tu mehak uhti......:rose
Working...
X