( teraa hi bahr safiinaa ravaan bhi tera hai )
teraa hii bahr safiinaa ravaan bhi tera hai bhanvar bhi tere hain aur baad_baan bhi teraa hai
hai teri bazm mein aakhir kahan jagah mere charaagh bhi hain tere aur dhuaan bhi tera hai
mujhe to nazr bhi karane ko kuchh nahii.n apna jabeen kii Khaak teri aastan bhii tera hai
naquush-e-paa ko uthaaye kahan kahan jaaon
ke gard-e-rah bhi teri kaaravaan bhi teraa hai
diyaa hai kyon mujhe lauh-o-qalam kaa baar-e-giraan ke gardishein bhi teri aasmaan bhi tera hai
bas ek kashaakash-e-benaam aur main bebas natijaa bhi hai tera imtahan bhi tera hai
main thak ke baith rahun ya qadam badhaaye chalun
fanaa bhi teri hai naam-o-nishaan bhi tera hai
:tauba

Comment