Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

** Shaheen Ki Pasand **

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Woh Pani ki Lehroon pay Kya Likhrahi thi........

    bohoot ache

    Na kabhi ye chupaya ki pyar kitna hai,
    na kabhi ye jataya ki dard kitna hai,
    bus ek hume aur uss khuda ko hai maloom
    tujhse mulakat ka intezar kitna hai.

    Comment


    • #17
      Re: *~ friends forever ~*

      Originally posted by شاھین View Post
      :salam:
      [ATTACH]34558[/ATTACH]

      ab batain kon kon mera pecha ana kaliy tayar hia ?:zuban:
      bhaaee mujhay tu muaf hi rakh main yahin theek hooon:D
      sigpic

      Comment


      • #18
        Re: *~ friends forever ~*

        Originally posted by sccorpion81 View Post
        bhaaee mujhay tu muaf hi rakh main yahin theek hooon:D
        yar tujjh sai mere yeh omeed nahi thi :a stick:

        Comment


        • #19
          Re: ** Shaheen Ki Pasand **

          bohat acha intakhab hai khas kar mujhe bachpan k dukh aur wo pani ki lihron pe ki likh rahi thi bohat ache lage.........very nice
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: ** Shaheen Ki Pasand **

            Originally posted by شاھین View Post
            dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?

            royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?


            dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
            baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?


            jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
            aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?


            dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
            tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?


            qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
            maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?


            husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
            apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?


            waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
            raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?


            haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
            jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?


            'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
            roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?


            bohat khobsurat kalam hai galib ka
            aur bohat khoob intekhaab hai aap ka !
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #21
              Re: ** Shaheen Ki Pasand **

              Tumko main bhulaaun kaise...
              yaadon ko mitaaun kaise...
              mere dil mein rehte ho..
              ghar ko main jalaaun kaise..

              tumhara gam azeez hai
              aakhir tumhari cheez hai
              ye jo dil ke daag hain...
              inko main chupaaun kaise..

              kuch bijliyon ka shor hai
              kuch aandhiyon ka zor hai
              kya karoon ab ya ilaahi...
              aashiyaa banaaun kaise..

              hoonth kaanp jaate hain
              aansoo nikal aate hain
              haal-e-dil tumko sanam
              aakhir main sunaaun kaise...

              Comment


              • #22
                Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                aahaann
                nice
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #23
                  Re: Ehsass Bohat Hoga Jab Chalay Jaengay

                  Mian Aj Pehli Dafa Apni Ray Day Raha HooN Aur :masha Bhut Acha Likha Hai.
                  Duaoon Main Yad Rakhiay Ga.Iffer :salam:

                  Comment


                  • #24
                    Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                    Originally posted by شاھین View Post
                    Tumko main bhulaaun kaise...

                    yaadon ko mitaaun kaise...
                    mere dil mein rehte ho..
                    ghar ko main jalaaun kaise..

                    tumhara gam azeez hai
                    aakhir tumhari cheez hai
                    ye jo dil ke daag hain...
                    inko main chupaaun kaise..

                    kuch bijliyon ka shor hai
                    kuch aandhiyon ka zor hai
                    kya karoon ab ya ilaahi...
                    aashiyaa banaaun kaise..

                    hoonth kaanp jaate hain
                    aansoo nikal aate hain
                    haal-e-dil tumko sanam

                    aakhir main sunaaun kaise...




                    :thmbup: very nice

                    Comment


                    • #25
                      Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                      Dar dar bhatakte hai arman ki tarha
                      Har koi milta hai anjaan ki tarha
                      Iss duniya se khushi ki aas kya rakhna
                      Yahan to gham bhi dete hai ehsaan ki tarha
                      Last edited by Shaheen; 5 April 2007, 21:15.

                      Comment


                      • #26
                        Re: Bachpan K Dukh Kitnay Achey Hotey Thay.

                        Originally posted by شاھین View Post
                        BACHPAN K DUKH........


                        Bachpan k dukh kitnay achay hotey they
                        Tab to sirf khilonay toota kartey they
                        Woh kushiyan bhi kaisey kushiyan they??
                        Titley k par noch k uchla kartey they
                        Paoun mar k khud barish k pani may
                        Apney naoo aap dooboya kartey they
                        Chotey they to makar-o-fareeb bhi chotey they
                        Dana daal k chirya pakra karteythey
                        Apney jal janey ka ehsas bhi na tah
                        Jlatey hue sholoo ko cheera kartey thay
                        Ab to aik ansoo bhi ruswa karta hai
                        BACHPAN MAY GEE BHAR KAY ROYA KARTEY THAY.
                        bohot khoob......baake collection bhi bohot pasand aae......keep sharing......:)
                        sigpic


                        Comment


                        • #27
                          Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                          محبت

                          بڑا ہی خوبصورت جذبہ ہے
                          پتہ ہی نہیں چلتا
                          کب اور کیسے
                          دل میں یوں اُبھر آتا ہے
                          جیسے
                          برسات کی اندھیری رات میں
                          جگنو جھلملا اُٹھیں
                          یا چپکے سے کوئی
                          مسجد میں دیا جلا دے

                          Comment


                          • #28
                            Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                            Us sunder see muskan k peechey
                            Kuch tootey tootey sapnay they
                            Kuch roothey roothey apney they
                            Kuch khawab they jo k toot chukey they
                            Kuch man they jo k rooth chukey they
                            Us sunder see muskan k peechey
                            Raz jo dil mein gahra tha
                            Us pay hansee ka pahra tha
                            Qahqahoon k kuch qufal bhee they
                            Adhey jin mein toot chukey they
                            Man they jo k rooth chukey they
                            Us sunder see muskan k peechey
                            Sahtey sahtey beh jatein thein ~~

                            Comment


                            • #29
                              Re: ** Shaheen Ki Pasand **


                              Aansu Jo

                              Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
                              Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

                              Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
                              Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

                              Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
                              Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

                              Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
                              Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

                              Mar gaye auroon kay liye main
                              Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do..

                              Ae dil, tu mohabbat karta kyun hai..?
                              jo karta hai to phir tadapta kyun hai..?

                              Main dhadkan hun uske dil ki,kehta tha mujhse,
                              phir aaj uska dil mere bina dharkata kyun hai...??

                              Comment


                              • #30
                                Re: ** Shaheen Ki Pasand **

                                Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                                Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                                Comment

                                Working...
                                X