Hum Aksar Yeh Samajhte Hain,
Jisay Hum Piyaar Karte Hain,
Usey Hum Bhool Baithey Hain...
Mager Aisa Nahi Hota...
Mohabbet Daimi Such Hai,
Mohabbet Thehir Jaati Hai,
Hamari Baat Ke Ander...
Mohabbet Baith Jaati Hai,
Hamari Zaat Ke Ander...
Mager...
Ye Kam Nahi Hoti,
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein,
Kabhi Koi Zaroorat Mein,
Kabhi Anjaan Se Gham Mein,
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein,
Udaasi Ki Zaroorat Mein,
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein...
Hamari Aankh Ke Ander,
Kabhi Aab-e-Rawan Ban Kar,
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein...
Bazahir Aisa Lagta Hai,
Usey Hum Bhool Baithay Hain...
Mager,
Aisa Nahin Hota,
Magar Aisa Nahi Hota....
Ye Hargiz Kam Nahi Hoti,
Jisay Hum Piyaar Karte Hain,
Usey Hum Bhool Baithey Hain...
Mager Aisa Nahi Hota...
Mohabbet Daimi Such Hai,
Mohabbet Thehir Jaati Hai,
Hamari Baat Ke Ander...
Mohabbet Baith Jaati Hai,
Hamari Zaat Ke Ander...
Mager...
Ye Kam Nahi Hoti,
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein,
Kabhi Koi Zaroorat Mein,
Kabhi Anjaan Se Gham Mein,
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein,
Udaasi Ki Zaroorat Mein,
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein...
Hamari Aankh Ke Ander,
Kabhi Aab-e-Rawan Ban Kar,
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein...
Bazahir Aisa Lagta Hai,
Usey Hum Bhool Baithay Hain...
Mager,
Aisa Nahin Hota,
Magar Aisa Nahi Hota....
Ye Hargiz Kam Nahi Hoti,
MOHABBAT THEHIR JAATI HAI
Comment