Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Musaddaq Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Musaddaq Ki Choice

    v nice collection
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • Re: Musaddaq Ki Choice

      Originally posted by ahsaas View Post
      buhat nice ,,collection hai aap ki:)
      :salam:

      Comment


      • Re: Musaddaq Ki Choice

        Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
        Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya

        Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
        Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
        Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
        aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
        Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
        aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
        Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
        aaj jab dil nay bulaya tu bohot yaad aaya.
        Mere jeevan ki her khushi main wohi tha bus.
        aaj jab yaad woh aaya tu bohot yaad aaya

        Comment


        • Re: Musaddaq Ki Choice

          v.nice
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • Re: Musaddaq Ki Choice

            Main Ab b Tera Mehwar Hoon

            Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay
            very nice again

            Comment


            • Re: Musaddaq Ki Choice

              Originally posted by musaddaq View Post
              Wo Kehta Hay......

              Batao Be Sabab Kion Rooth Jatii Ho?
              Main Kehtii Hoon...
              Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lugtaa Hay

              Wo Kehta Hay
              Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?
              Main Kehtii Hoon....
              Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!

              Wo Kehta Hay....
              Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gaya Itna?
              Main Kehtii Hoon...
              Merii jaan Hadsay To Ho Hii Jatay Hain!

              Wo Kehta Hay...
              Achanak Main Tumhain Yoon Hii Rulaa Doon Tu?
              Main Kehtii Hoon...
              Mujhay Darr Hay K Tu Bhii Bheeg jaaye Ga...!

              Wo Kehta Hay...
              Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Hay?
              Main Kehti Hoon...
              K Yeh To Baadilon Ki Aankh Rotii Hay...!

              Wo Kehta Hay...
              Tumhaaray Khwaab Saaray Kion Adhooray Hain?
              Main Kehtii Hoon...
              Merii Jaan Tum Inhain Takmeel De Do Na...!

              Wo Kehta Hay...
              Batao..Chooriaan Kaisi Lageen Tum Ko?
              Main Kehti Hoon...
              Mujhay Yeh Toot Kar Takleef Deti Hain...!

              Wo Kehta Hay...
              Batao....Shaam Men Khunkii Hay Kion Itni?
              Main Kehti Hoon...
              Judaai Men Kisi Ki Aankh Rotii Hay...!

              Wo Kehta Hay...
              Karon Jab Phone Sun Nay Kion Nahii Aatii?
              Main Kehtii Hoon...
              Terii Aawaaz,Sun,K Zabtt Rota Hay...!

              Wo Kehta Hay...
              K Itnii Be Yaqeenii Kis Liye Aakhirr?
              Main Kehtii Hoon...
              K Itnii Be Yaqeenii,Sukh Men Rakhtii Hay...!

              Wo Kehta Hay...
              Udaasi Par Kabhii Kuchh Likh K Dikhlaa Do...
              Main Kehtii Hoon...

              Meray Aagay Karo Sheesha...Main Likhtii Hoon...!
              very nice Musaddaq

              Comment


              • Re: Musaddaq Ki Choice

                Woh sarey khat jala do
                Woh sari baaten bhula doo

                Woh andekhey anjane sapney
                Dil key kisi koney mein chupa do

                Jis ney hamein mayus kiya
                Woh sari umeidein mita doo

                Raat abhi buhat baqi hai
                Raat ke andhere ko mita doo

                Koi rota hoga ab bhi tanha
                Usey ja key yeh baat bhi batla doo

                Socha tha tumhein kabhi apna bananey kaa
                Woh sarey sapney ko ab duwaaan dooo

                Aaj raat buhat zoron ki barsaat hai
                Aankhon key rastey Aansooon ko baha doo

                Saat dekhey the jo sapney sab chur huye.
                Tum kabhi yaad naa Aao mujhey bas itni si dua doo

                Comment


                • Re: Musaddaq Ki Choice

                  Itna hi yaad rakha mujhe
                  Jaise Kisi kitab main
                  Bite dinoon ke dost ka
                  Aik khat para huwa mile
                  Lafz mitay mitay se hoon
                  Rang Ura Ura sahi
                  Lekin woh ajnabi Na ho
                  Uth kar tere galay laghe
                  Bhole huwe tamam dukh
                  Guzre huwe tamam such
                  Beetay huwe dinoon ki sab katha
                  Tujh se kahe aur ro pare
                  Itna hi yaad rakha mujhe
                  Beetay dinoon ke dost ka
                  Jaisay ke koei khut hoon main
                  Rakha huwa kitab main...

                  Comment


                  • Re: Musaddaq Ki Choice

                    Assalam-0-Alaikom:rose
                    buht zabardast collection hai...:thmbup:
                    buht say kalaam mairay bhi fav hain....:)

                    For New Designers
                    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

                    Comment


                    • Re: Musaddaq Ki Choice

                      Originally posted by Rida View Post
                      Assalam-0-Alaikom:rose
                      buht zabardast collection hai...:thmbup:
                      buht say kalaam mairay bhi fav hain....:)
                      WS
                      Thanx:)

                      Comment


                      • Re: Musaddaq Ki Choice

                        To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Kisi Ghulaab ki Khushboo k bikharne per b
                        Zara se Aab ke Aankhon mai utarne per b
                        Kitaab uthate hoye, Geet koi Gatey hoye
                        Sanwar k dair talak Aainey ko takte hoye!

                        To kya Tumhain Mai kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Subha ko uthtay hoye, Shaam ko Tehlte hoye
                        Neend na aaye agar Karwatein badalte hoye
                        Kabhi yun hi kisi Makhsoos Dhun ko sunte hoye
                        Faarig Auqaat mai koi Kitaab parhte hoye!

                        To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Baraste Abr mai Chhat per kabhi Khare ho ker
                        Kisi ke Rooth ke Jaane per Chirchiray ho ker
                        Kisi Saheli se bus yun hi Baat karte hoye
                        Kisi Khayal mai Bethe se uth ke chalte hoye
                        Kisi bhi Raat ko uth ker yun hi Tehlte hoye!

                        To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Akele yun hi kabhi apni Dhun main chlate hoye
                        Kisi ki Saalgira per yun hi behlte hoye
                        Kisi unchayi pe Tanha sambhal ke charte hoye
                        Utarte Chaand ka Mojon mai Aks parte hoye!

                        To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Kisi Gulaab ko Tehni se Torr ker bhi nahi??
                        Kisi Darakht ke Saaye mai beth ker bhi nahi??
                        Apne Darwaze pe Dastak koi Sun ker bhi nahi??
                        Kisi Dareecha-e-Makaan se Khaank ker bhi nahi??

                        Apni Kitab mai koi Naam dekh ker bhi nahi??
                        Yaad-e-Maazi mai kahin Door Doob ker bhi nahi??
                        Kisi bhi Shakhs ko Khamosh dekh ker bhi nahi??
                        Kisi bhi Aankh ko Namm dekh ker bhi nahi??
                        Kahin Lafzon mai koi Aah dekh kar bhi nahi?
                        Azaan hoye hi Duaaon mai bhi nahi??

                        To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?

                        Comment


                        • Re: Musaddaq Ki Choice

                          KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA

                          KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA
                          KE LAHO KI SAARI TAMAZATEIN
                          TUMHEIN DHOOP DHOOP SAMAIT LEIN
                          TUMHEIN RUNG RUNG NIKHAAR DEIN
                          TUMHEIN HARF HARF MEIN SOCH LEIN
                          KE DEYAAR-E HIJER KI TEERGI
                          KO PALAK KI NOK SE NOCH LEIN

                          KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA
                          KE DIL-O NAZAR MEIN SAMA SAKO
                          KABHI HAD SE JUB YEH JUNOO BERHAY
                          TO HAWAS BUN KE BIKHER SAKO
                          KABHI KHUL SAKO SHAB-E VISEL MEIN
                          KABHI KHOON-E DIL MEIN SANWAR SAKO
                          SIR-E RAHGUZAR JO MILO KABHI
                          NA THEHER SAKO NA GUZAR SAKO

                          MERA DARD PHIR SE GHAZAL BANAY
                          KABHI GUNGUNAO TO ISS TERHA
                          MERE ZAKHM PHIR SE GULAAB HON
                          KABHI MUSKURAAO TO ISS TERHA
                          MERI DHARKANEIN BHI LARAZ UTHEIN
                          KABHI CHOT KHAAO TO ISS TERHA

                          JO NAHIN TO PHIR BARAY SHOQ SE
                          SABHI RABTAY , SABHI ZABTAY
                          KABHI DHOOP CHAAON MEIN TOR DO
                          NA SHIKAST-E DIL KA SITAM KAHO
                          NA SUNO KISI KA AZAB-E JAAN
                          NA KISI SE DIL KI QALISH KAHO
                          YUUN HI KHUSH RAHO YUUN HI KUSH PHIRO

                          NA UJER SAKEIN NA SANWAR SAKEIN
                          KABHI DIL DUKHAAO TO ISS TERHA
                          NA SIMAT SAKEIN NA BIKHER SAKEIN
                          KABHI BHOOL JAAO TO ISS TERHA
                          KISI TAUR JAAN SE GUZAR SAKEIN
                          KABHI YAAD AAO TO ISS TERHA!!

                          Comment


                          • Re: Musaddaq Ki Choice

                            zaberdast

                            Comment


                            • Re: Musaddaq Ki Choice

                              :)

                              Comment

                              Working...
                              X