Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Talkhiy-e-Halaat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Talkhiy-e-Halaat

    Aik mazmoon hai - parhney key baad raaey zaroor dijiye ga :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Talkhiy-e-Halaat

    Salam Masood,

    Sab se pehley to itna kahoon gi ke aap ke likha parh ker aisa laga aap en sirf apni nahi janey kitney insano'n ki zindagi per likh diya hia , jo kisi na kisi tarah aisey halat aisi kashmakash mei ouljhey huwey hain, sab se zada zabardast jumla, yaan baat jo is poori tehreer mei lagi wo yeh thi

    "Tanhayi wo zeher hai jo moat to deta hai magar tarpa tarpa ker"

    yeh tarap bhi wahi janta hai jo issey jeeta hai .........

    Buhut khoob likha hai aap ne :rose
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Talkhiy-e-Halaat

      jo kAHa bilkul thiik kaha....zindagi kuch aise hi hai.....
      humin lagta hai k zindagi main mushkilaat buhat ziada or asaanian buhat kam hain....ye bat darost hai per her haal main SHUKER kerna chahiye or SABAR bhi:)

      kabhi mai sochti hon k buhat c asaanion ko hum count hi nahi kerte shaid ise liye mushkilaat ziada or asaanian kam lagti hain....
      Allah ne humin ashraf-ul-makhlooqat/best of creation banaya per hum ignore kerte hain....hamare liye QURAN PAAK nazil kia take hum hidayat k raste per a jain per hum ignore kerte hain,humin Izzat bakhshi,gharon mai peda kiya per hum ignore kerte hain...wo 3 time khana khilata hai.....tann ko dhanp ker rakhta hai per hum ignore kerte hain....humin pani bakhshta hai jiska koi substitute nahi per hum SHUKER ADA NAHIIN KERTE!

      ye wo asaanian hain jo paas hone ki waja se qadar kho chuki hain:)
      jo paas nahi....usk liye hum taraste hain or jo paas hai usko kuch nahi samajhte....

      BUS ALLAH KA SHUKER HAI HUM JESE BHI HAIN!

      or Masood Bhai!
      i agree wat u rote....yahi her dil ki dastan hai:)
      KHUSH RAHIYE ALWAYS!:)

      Comment


      • #4
        Re: Talkhiy-e-Halaat

        Sabit kadmi bohat muskil baat hoti ha ...aur aksar aukat halat per masil ko chor diya jata ha.........Asay ma bohat kam jurat ka muzahira kar patay hain kiun kah muskilain khabi khabi itni par jati hain kah muqabla krna bas ma nahi rahta................ woh kahtay hai na
        Muskilain itni pari ka asaan hogai!!!!

        bohat achi baat per nazar dali ha ap nay masood bhai !!!Insaan ko insaan ka liya banaya giya ha ....dil ka bhoj halka karnay ka liya kesi bhi mutabar insaan ka sahara lay laina chaiya...
        Last edited by fari; 4 August 2006, 18:40.

        Comment


        • #5
          Re: Talkhiy-e-Halaat

          Originally posted by Masood View Post
          Aik mazmoon hai - parhney key baad raaey zaroor dijiye ga :)
          :) Buhat saada andaz mein laikin Buhat hee achi baat ....Bayshak insan moa-shrati janwar hay Sociel Animal hay .....jiss ki zaroorat ek maukhsoos mahol hay ...jo doosray loagon say janum layta hay ....Buhat soft subject ..and very softly expressed :) keep it up ..kabhi likhna na choriyay gaa! :)

          Comment

          Working...
          X