Ishq wahid hai ............ Ishq Is'lah hai ............ Ishq Ebadet hai .......... Ishq Mizaj hai ........... Ishq Nafreen hai ..........Ishq Yakta hai .......... Ishq KHUDA hai
yeh ishq jis ka zikar bar bar kiya jata hai aur kitabain bhari hoyi hain isi say motaliq tu dar'asl yeh hai kiya ...........
Kaheen mizaj ki girani ka naam tu Ishq nahi hai ........... Kaheen Jazbat ki ravani ko tu Ishq say tabeer nahi kiya gaya ......... Kaheen ......................................
lekin yeh kaheen, kahaan hai .......... kyoon hai .......... kiya hai............ yeh sab sawalat bhi tu eham hain aur inki ehmiyat say inkar mumkin bhi nahi ............ muje aaj tak yeh samaj nahi ayi ke Sarab kiya hai aur kiya ISHQ main sarab zaroori hai, ya ishq main sab kuch Sarab hi lagta hai , ya yeh Ishq khud hi ek Sarab hai ........... lekin nahi ager ishq Sarab hai tu pher ALLAH jee say kiya gaya ISHQ kiya hoa!!! .......... ya pher Ishq, Ishq main bohut faraq hai ....... matlab ke jo ISHQ ALLAH pak say hai wo tu Ishq hai lekin jo Ishq kisi insaan say hai wo ISHQ nahi wo ............. lekin pher wo kiya hai ........................ aksir yeh suna hai ke ISHQ main wahda'niyet ka bohut amal dakhal hai ........... aur amoman ishq ki wahda'niyet ki batain bhi hoti rehti hain lekin masla yeh hai ke Wahid wo cheez hai jis ka koyi Sani nahi , jis ka koyi Maqarab nahi, jis ka koyi Ham'Asar nahi , jis jaisa koyi nahi ......... tu pher kiya Ishq ke saath Wahada'niyat ka lafz lagaya ja sakta hai ........... aur pher IShq ki intiha kiya hoyi .............. wo kehte hain na ke "Taray Ishq ki Intiha Chahta Hoon" tu kiya Ishq ki koyi intiha hai ........... kyoon ke Intiha tu uss cheez ki hoti hai jiss ke baad wo cheez khatam ho jati hai us ke agay ka koyi rasta nahi milta .................. tu ager Ishq ki Intiha hoti hai tu pher iska Matlab yeh hoa ke Ishq bhi Ikhtitam pazeer chah hai ........... aur jo cheez khatam honay wali ho usko karne say Faida ................... lekin nahi .............. Ishq apne Deen say bhi hota hai .......... Ishq NABI PAK (PBUH) say bhi kiya jata hai aur pher yehi Ishq hi tu hai jo ALLAH (SWA) say bhi hota hai aur iss tarha hota hai ke Kuhd ALLAH jee kehte hain ke main us shakhas ke haath, paoun, Zuban aur dil-0-Demagh ban jata hoon jo shakhas mera ho jata hai ............. lekin wo shakhas bhi yeh nahi keh sakta ke main ne Intiha ko choo liya hai kyoon ke Ishq ki koyi intiha nahi aur Ishq ke liye sirf aik zat hai .......... balke yoon kehna chahiye ke Fayel tu kayi ho sakte hain lekin jo Maf'ool aur jo Majhol hai wo aik hi hai............... ISHQ ke liye zaroori hi ke yeh Wahid zat say hi ho ............. kyoon ke Ishq khud Wahid hai aur iski Wahda'niyet ke liye yeh zaroori hai ke yeh ussi tarha Yakta ho jaise ke ki janay wali ZAT hai ....................................haan Ishq main kuch Had'dain zaroori hain ......... jaise ke ALLAH say ishq ki had yeh hai ke ALLAH ki qayem karda hadood-e-qyood ka khyal rakha jana chahiye ......... ab ager isi baat ko ham insaani Ishq ke Tarazoo main rakh kar tolain tu pher Insaan say insaaan ke Ishq ki had kiya hai ........... Shayed kuch bhi nahi ........... matlab ke jab insaan insaan say ishq karta hai tu na'janay usse kis kis cheez say mila daita hai aur uske hasool ke liye kaye ghalat raste bhi apnata hai kyoon ke Ishq jo tehra aur pher Hadood ki pasdari bhi nahi karta tu pher yeh Ishq jo insaan say hota hai yeh kiya hoa !!!!!! ................................... Ishq main apni Zat sab manay kho deti hai aur dosre ki Zat main dilchaspi itni bhar jati hai ke Ma'Sivaye uske kuch aur yaad hi nahi rehta aur na rehna chahiye .......... tu yaaR ager aisa hi hai tu pher kia aik insaan ko dosre insaan say Ishq karna chahiye jab ke sivaye ALLAH ke insaan sab kuch bhi bhol jaye tu parva nahi jab ke Ishq ki sharat yehi hai ke sab kuch bhool jao sivaye Mehboob aur Mohib kay ...............
Lehaza maray is Bayaan ka Hasil yeh hai ke Ishq kisi aam insaan say nahi kiya jana chahiye ya yoon keh lijiye nahi kiya ja sakta
"Meri baat say kisi ka bhi Mutafiq hona zaroori nahi lekin main choonke aisa hi soochta hoon is liye likh bhi raha hoon ..........................."