Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

$$ Ghurbet $$

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • $$ Ghurbet $$

    Main taiz taiz qadam utth'tata ja raha tha..... samne dukan main latke kapray ki taraf dekhne ki khwahish ko main apni pori koshish kay bawajod na doba saka. yak-lakht hi muje sardi ka shidet say ehsaas hoa .. Shayed yeh maray ander ki sardi thi jis ki tund leharain maray La'shaoor say nikal kar maray dil-o-demagh ko mun'jamid kiye day rahi theen ...

    main ne qadam agay barh'hate hoye aik martaba pher peechay murr kar dukan ki taraf dekha muje maloom tha k jitni dafa main yeh aamal duhra'oun ga khud gharzi ka Aafriyet utna hi bharta jaye ga aur muje jakar kar be'baas kar day ga.. mager itnay saloon say aik hi jaisi machini zindagi guzartay muje apne kisi bhi aamal par koyi ikhtayaar nahi raha tha ...

    Badaloun nay Aasman ko siyah kar diya tha .. main barish shuru honay say pehlay pehlay bus main sawar ho jana chahta tha kyoonk ager meri yeh wahid patloon(pent) beegh jati tu is shidet ki sardi main iska subah tak sookhna mahal tha aur pher maray paas koyi bhi aisa kapra na tha jisay pehan kar main office ja sakta ... Rozana is waqt main sardi say teth'taherta ghar ki taraf ja raha hota hoon mager aaj milne wali salary ne meri tawaja Gird-o-Paish say bilkul khatam kar di thi .. maray zehan main kuch tha tu sirf yeh kay aaj meri jaib main itnay paise hain k main wo kapra khareed sakoon ... jis ke lams ki khwahish main pichlay kayi maah say mera dil nayay libas ke liye machla ja raha tha aur aik din tu himmat kar kay main aik dukan main dhakil ho bhi gaya tha ... kapre par haath phairte hoye Aasoo'dgi ki leharoon main huthheli kay zariye maray jism main dakhil ho kar muje Bekhud kar diya ..

    kapre ki qeemat....

    maray duss din ki mehnat ki qeemat.....

    maray shooq ki qeemat ...

    sooda kuch aisa bura tu na tha mager "majid" ke phataay hoye boot main say guzar kar uskay pa'oun main chubne wala kanta maray dil main khubh kar reh gaya........

    sardi main beghair swetar ke teth'harti hoyi "munni" nay muj par kap'kapi tari kar di .. samnay paray kapre ke thaano nay muje dangh marna shuru kar diye ..... main beikhtyaar baher lapka aur dukandar ne aik tanziya muskarahut ke saath than lapaitne shuru kar diye ...

    barish ki boondoon ne mare khyalat ka tasulsal torr diya aur main pehlay say bhi taiz chalata hoa bus stop par pohench gaya .. barish nay yuk-dum hi shidet ikhtayaar kar li thi ... bairsh ka pani maray sar say noo'charta hoa kaproon main jazb hone laga tha.......

    Aaj ghar main dakhil hotay hoye main aik khushgawar hur'rarut ameez iss'takbal ki tawqa kar raha tha mager makan bhi makeeno kay ehsasat ki tarha sard ho raha tha ... kisi nay bhi meri amud par koyi Rud-e-amal zahir na kia .. main burri
    tarha chirr kar reh gaya aur geelay kaproon sameet hi charpayyi par beeth kar boot kholne laga tu meri biwi ne bar'baratay hoye charpaye par bicha bister geela honay say bachaanay ke liye aik taraf kar diya ... us ke is tarha muuh hi muuh main bolne say mera mood mazeed kharab ho gaya ...

    pher jab Baba ne khaanste hoye apni dawa ke baray main poocha tu main ne ni'hayet talkhh ho kar jawab diya k aik din aur khans'nay say tum mar nahi jao gay ... meri bhoori(old) Maa ne kuch kehnay ke liye muuh khola mager pher chup ho kar Tasbeeh ke danay giranay lagi...

    Majid apne bister say nikla aur apne phatay hoye boot ko ulat palat kar dekhne laga main ne usay burri tarha dant diya aur wo siskiyaan laita dobara bister main guss gaya aur apna muuh phati hoyii razayi main chupa liya .....

    meri biwi ne kuch kahay sunay beghair hi khana la kar maray samne rakh diya ...main ne us ki taraf dekha aur us ka chehra muje bilkul ajnabi laga... sadiyoon ki bhook aur uske jisam main palnay wali aik nayi zindagi ne us ko bilkul nichh'chor kar rakh diya tha ... mera dil jaise kisi ne haath main le kay masal
    diya ho... kiya yeh wohi khoobsurat larki hai jo meri shareek-e-hayyat ban kar iss ghar main ayi thi ...

    Bebasi kay ehsas say meri Aankhain jalne lageen aur in main anay walay pani ko chupanay ke liye main forun khanay par jhukh gaya .. khushk roti aur chatni ka nawala maray halak main phanss kar reh gaya .. main burri tarha jhal'la utt'tha ... chatni ka pyala zor say dewar par mara aur barish main dobara nikal
    gaya...shadeed sardi ka mousam aur barish ka pani mil kar bhi maray ander sulagti aagh ko thanda na kar sakay ... main khali zehan liye tung-o-tareek galiyoon main chalta hoa janay kahaan say kahaan pohench gaya ......

    Shayed chalta hi rehta mager aik jaga roti ki manoos khushbo ne maray qadam jakar liye .. subah kay bhookay jism ne kisi bhi aur simat janay say inqar kar diya .. shayed langer taqseem ho raha tha .. loog langer bant'nay walay par tootay par rahay thay .. main agay barha tu maailay kuchailay kaproon main malboos logoon ne meri pent say mutasir ho kar maray liye rasta chor diya ..
    langer taqseem karne wala janay kia samja .. dua'ain danay laga aur kehnay laga k aap jaise Khuda tars logoon ke dam say hi yeh langer chal raha hai .. maray qadam jaise kisi ne jakar liye mager jism ka taqaza ghalib a gaya ... meri sari An'na ,. sari khud'dari khanay ki khushbo kay saath hawa main tehleel ho gaye...aur jab main ne khana laine k liye haath agay bhar'haye tu langer taqseen karne walay ke hontoon par be'ikhtyaar aik mus'karahet phaail gaye .. wohi mus'karahet jo kapre ki dukan ke malik ke chehre par ayi thi ...

    wohi mus'karahet jo HAJJ karanay ka wadda karne par "Baba" ke chehre par ayi thi...

    wohi mus'karahet jo apne zati makan ka zikar sun kar "Maa" ke chehre par aayi thi ..

    wohi mus'karahet jo aglay month nayay kapre dilanay ki khushkhabari sun'nanay kay baad meri "Biwi" ke chehray par ayii thi ...

    mera demagh jun'jana utt'tha .. main ne jaib main haath dala aur sari salary langer taqseem karne walay ke haath par thama kar taiz taiz qadamoon say ghar ki taraf chal dia .........
    :rose :rose Apna Khyal Rakhiye Ga aur Ager Ho Sake Tu Dosroun Ka bhi :rose :rose
Working...
X